“Pavitra Aatma ke liye Apna Hrday Kholen,” For the Strength of Youth, Apr. 2023.
For the Strength of YouthHar Mahine Ka Sandesh, April 2023
Pavitra Aatma ke liye Apna Hrday Kholen
Ek April 2018 maha sammelan bhaashanse.
Easter ke is mausam me, main apne Swargiye Pita ko Unke Priye Putr ke upahaar ke liye dhanyevaad deta hoon, jo svechchha se prithvee par hamare Muktidaata banane ke liye aae the. Main yah jaankar aabhaari hoon ki Unhonne hamare paapon ka praeschit kiya aur Punarjiwan me jee uthe. Har din main yah jaankar dhanye ho jaata hoon ki, Unke praeshchit ke kaaran, main kisi din ek prempurn parivaar me hamesha ke liye jeene ke liye punarjeevit ho sakta hoon.
Main un cheejon ko kewal usi tarah se jaanta hoon jis tarah se ham me se koi bhi unhen jaan sakta hai. Pavitr Aatma ne mere dilo-dimaag se kaha hai ki weh sach hain—sirf ek baar nahin balki baar-baar.
Hamare paas saathi ke roop me Pavitr Aatma ki amooly pratigya hai Hamara kam hai ki ham jiwan bhar Pavitr Aatma ke maadhyam se nirantar aadhyaatmik disha aur aaraam praapt karne ke liye apne hrdayon ko kholna chunen.
Paheli chunav Parmeshwar ke saamne vinamar hona hai.
Dusra hai PrabhuIshu Masih me vishwaas ke saath praathna karna.
Teesra hai theek-theek paalankarna.
Aur chautha hai dusron ki zarooraton aur hrdayon ko jaanne ke liye prarthana karna aur Prabhu ke liye unki madad kaise karen.
Main pure dil se prarthana karta hoon ki aap Aatma ki aavaaj sunenge, jo aapko itni udaarata se bhejee gai hai. Aur main prarthana karta hoon ki aap Aatma ko praapt karne ke liye hamesha apna hrday kholenge taaki aap Use apne saathi ke roop me apne saath rakhne ka aanand praapt kar saken.
© 2023 by Intellectual Reserve, Inc.Sabhi adhikaar surakshit. USA me chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/19. Anuwaad swikriti: 6/19. Monthly For the Strength of Youth Message, April 2023ka anuwaad. Language.19006 298