For the Strength of Youth(Yuvaaon ke Shakti ke Liye)
Jab ham baptisma lete hain to ham vaastav mein kya vaada karte hain?
June 2024


“Jab ham baptisma lete hain to ham vaastav mein kya vaada karte?,” For the Strength of Youth, June 2024.

Har Mahine Ka For the Strength of Youth Sandesh, June 2024

Jab ham baptisma lete hain to ham vaastav mein kya vaada karte hain?

Tasveer
baptisma

Baptisma, Annie Henrie Nader ne tasveer banae

Dharamshaastra hamen sikhaate hain ki jab ham baptisma lete hain, to ham Ishu Masih ka naam apne oopar lene, Parmeshwar ki sewa karne aur Unki aagyaon ka paalan karne ke liye taeyaar rehne ka anubandh (ya vaada) karte hain (dekhiye Mosiah 18:10; Doctrine and Covenants 20:37, 77).

Ham dharamshaastra mein yah bhi seekhte hai ki baptisma hamein “Parmeshwar ke paas aane aur unke log kehlaane” ki hamari ichcha ko poora karne me madad karta hai.” (Mosiah 18:8). Dusre shabdon mein, hamare baptisma lene ka ek kaaran yah hai ki ham Ishu Masih ke Girjaghar me shaamil hona chahate hain aur us prem aur apanepan ka aanand lena chahate hai jo Masih mein ekjut hone se milata hai.

Prabhu ki sewa karne aur Unki aagyaon ka paalan karne ki pratibaddhta me hamare jiwan bhar me kai cheezein shaamil ho sakti hain. Jab hum log baptisma leta, hum log waada karta hai “unke dukh se dukhi hone ko taeyaar ho jo dukhi hai; … unhe dilaasa dena chahate ho jinhe dilaase ki zaroorat hai, aur sabhi maoko par aur sabhi baato me Parmeshwar ke gawaah ke rup me khade hona chahate ho” (Mosiah 18:8–9).

Chaapo