Dharamvidhiyaan aur Ghoshnaaen
Parivaar: Duniya Mein Susamachaar ki Ek Aupchaarik Ghoshna


Parivaar

Duniya mein Susamachaar ki Ek Aupchaarik Ghoshna

Ishu Masiha ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka ke Pratham Adhyakshta aur Barah Purohiton ke Parishad.

Hum, Pratham Adhyakshta aur Barah Purohiton ke Parishad Ishu Masiha ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ka, aupchaarik aur pavitra rup se aupchaarik ghoshna karte hain ki purush aur aurat ke beech vivah Ishwar ki niyukti hay aur parivaar avashyak hay Shrishtikarta ke yojna ke anusaar taaki anant manzil ki praapti ho unke bachchon ko.

Sabhi maanav—purush aur aurat—Ishwar ki chaaya mein banaae gaye hain. Har ek aatmic putra ya putri swargiye pita-maata ke liye priye hay, aur, isi kaaran, har ek ke paas Ishwariye gun ya swabhav hay aur Ishwariye kismet. Purush ya Aurat avashyak visheshta hay vyakti ke maranshil se pahle, maranshil aur anant jivan ki pahchaan aur prayojan ke liye.

Maranshil jeevan mein, aatmik putra aur putriyaan jaante the aur Ishwar ki upaasna karte the apne Swargiye Pita ki tarah aur unki yojna ko swikaar karte the jisse, unke bachche maanav jiwan praapt karein aur prithvi ke anubhav praapt karein taaki pragati kar sakein purti ke liye aur ant mein apne Ishwariye bhaagye ya kismat praapt kar sakein anant jiwan ke raajye ke liye. Kushiyaali ki divye yojna paarivaarik sambandhon ko mrityu ke baad bhi kaayam rakhti hay. Pavitra dharamvidhiyaan aur vaade jo pavitra mandiron se uplabdh hain logon ke liye sambhav kar dete hain Ishwar ke samaksh lautne ke liye aur parivaaron ko anant rup se ektaa me laate hain.

Ishwar ne Adam aur Hauwa ko pratham adesh jo diya tha woh tha unke pati-patni hote hue maata-pita banne ki chamta. Hum ghoshna karte hain ki Ishwar ke adesh unke bachchon ke liye ki unki sankhya badhe aur bharpur rahe prithvi par aaj bhi laagu hain. Hum aur bhi yah ghoshna karte hain ki Ishwar ki pavitra shaktiyaan ki rachna sirf purush aur aurat ko di jaati hay, jo kaanooni rup se vivaah karein pati aur patni ki tarah.

Hum ghoshit karte hain ki kis tarah se prithvi par maranshil jiwan ki shrishti ki jaati hay woh Ishwar ke nirdesh dwara hay. Hum pushti karte hain ki jiwan pavitra hay aur Ishwar ki anant yojna mein mahatva rakhta hay.

Pati aur Patni ke paas pavitra zimmedaari hay pyaar karne ki, ek doosre ki dekhbhaal ki aur unke bachchon ke liye. “Bachchen Ishwar ke viraasat hain” (Psalm 127:3). Maata-pita ke paas pavitra kartavye hay apne bachchon ki parvarish karein pyaar aur imaandaari se, unke shaaririk aur aatmik zarooraton ke liye pradaan karna, unhein sikhlaaye ek doosre se pyaar karein aur ek doosre ki sewa karein, Ishwar ke adeshon ka aadar karein, desh ke kaanoonon ka adar karne waale naagrik banein chahe jahan bhi woh rahein. Pati aur patniyaan—maata aur pita—Ishwar ke samaksh uttardayi rahenge in zimmedaariyon ki purti karne mein..

Parivaar Ishwar dwara niyukt kiye jaate hain. Uski anant yojna ke liye purush aur mahila ke beech viwaah avashyak hay. Bachchon ka adhikaar hay ki woh vivaahit maata-pita se janam le, aur un maata-pita dwara unki parvarish ho jo vivaah ke vaadon ko pure vishwaas se maane aur paalan karein. Khushiyaan paarivaarik jiwan mein tab praapt ho sakti hay jab Ishu Masiha ke sikh par aadhaarit ho. Kaamyaab vivaah aur parivaar ki sthaapna vishwaas ke siddhaant, prarthna, pashchataap, maafi, aadar, pyaar, daya, karma, aur pure manoranjan sambandhi gatvidhiyaan par nirbhar hay. Ishwar ki yojna dwara, pita apne parivaaron mein pyaar aur imaandaari se adhyakshta karein aur apne parivaaron ke jiwan ke avashyak cheezon ko pradaan karne aur unki raksha karne ke liye zimmedaar hay. Maataen khaaskar bachchon ke paalan-poshan ke liye zimmedaar rahti hain. In pavitra zimmedaariyon mein, pita aur maata ek dusre ki madad karte hain barabar ke zimmedaariyaan hain dono ki. Ayogyata, maut, ya anye stithiyaan yeh avashyak kar sakti hay ki woh in bhumikaaon ko badal kar parivaar ki dekhbhaal karein. Parivaar ke anye sadasye ko madad karni chahiye jab avashyak ho.

Hum un vyaktiyon ko chetaaoni dete hain jo naytik shuddhtta ke vaadon ko bhang karte hain, jo apne saathiyon aur bachchon par atyachaar karte hain, ya jo parivaar ki zarooraton ki purti karne mein asafal ho jaate hain ek din Ishwar ke samaksh utardaayi rahenge. Aur, chetaaoni di jaati hay ki jo vyakti, samaaj, ya desh parivaar ko todenge unpar bahut musibatein ayengi jo prachin aur aaj ke bhavishyevaktaaon dwara batae gaye hain.

Hum un sabhi zimmedaar naagrik aur sarkaar ke afsaron se kehte hain ki logon se un cheezon ko karne ko kaho jisse parivaar ko kaayam aur majboot rakha ja sake samaaj ke mul ang bana kar.