“Kya Aap Mujhe In Se Zyaada Pyaar Karte Hai?”
Tum kya kar sakte ho apne jiwan meh yeh darshaane ke liye ki aap sab se pahele Prabhu se pyaar karte ho?
November 2019 meh, mein aur mere dost Holy Land ka daura lagaya. Waha rahene ke dauraan, hum ne Ishu Masih ke jiwan ki dharamshaastro kiya aur usse padha. Ek subha hum Sea of Galilee ke uttar pashchimee tat par khade the jaha Ishu Apne chelon se mile honge Apne Jee Uthane ke baad.
Ishu ke Jee Uthane ke baad, hum ne padha tha John chapter 21, Peter aur annay chele bina saphalta ke raat bhar machli pakadhte rahe.1 Subha, unhone dekha ek aadmi tat par khadha hai jinho ne unko bataya ki apne jaal ko naav ki dusri taraf phenko. Woh aachambit ho gaye, jaal chamatkaarik roop se bhar gaya.2
Woh turant pahechaan gaye ki yeh aadmi Prabhu hai, aur woh Unhe namaskaar karne ke liye daude.
Jaise unho ne jaal ko kinaare ki taraf khicha, machliyon se bhari hui, Ishu ne kaha, “Aao aur bhojan karlo.”3 John ne vivaranan kiya ki “jab unhone bhojan kiya, Ishu ne Simon Peter se kha, Simon, Jonas ke putr, kya aap mujhe inse zyaada pyaar karte hai?”4
Jab mein ussi tat par khadha tha, mujhe ehsaas hua ki Uddhaarkarta ka sawal sabhse zaroori sawal hoga jo woh kissi din mujh se puchega. Mujhe lagbhag Unki awaaz sunai de rahi thi puchte hue. “Russell, kya aap mujhe in se zyaada pyaar karte hai?”
Kya aap sochte ho ki Ishu kis ka ishaara kar rahe the jab Unho ne Peter se pucha, “Kya aap mujhe in se zyaada pyaar karte ho?”
Is sawal ko kudh se aaj ke din sambandhit karte hue, Prabhu hum se puch rehe honge ki hum kitne vyast hai aur kitni achaai aur buraai ke beech mukabla kar rahe hai humaare dhyaan aur waqt ke liye. Woh hum har ek se puch rahe honge agar hum Unse iss duniya ke cheejon se zyaada pyaar karte hai Yeh sawal is ke upar hai ki hum jiwan me sabse zyaada kis cheej ki keemat karte hai, hum kiski aagya karte hai, aur hum apne parivaar aur padhosi ke saath kaisa rishta dekhte hai. Ya fir Woh puch rahe hai ki hume kis se sach meh aanand aur khushi milti hai.
Kya is duniya ki cheejen hume aanand, khushi, aur shaanti deti hai jo Udhaarkarta ne apne chelon ke diya aur jo Woh hume dete hai? Sirf Woh hi hume sacha aanand, khushi aur shaanti de sakti hai Unko pyaar aur Unki sikhshaon ke dwara.
Mein kaise iss sawal ka uttar denge “Kya aap mujhe in se zyaada pyaar karte hai?”
Jab hum is sawal ka pura matalb jaante hai, hum ache parivar janak, padhosi, nagrik, Girjaghar ke sadasye, aur Ishwar ke bete aur betiya ban sakte hai.
Mere umar par, mein ne kai antim sanskar meh bhaag liya hai. Mujhe yakin hai aap meh se kai saare ne dhyaan diya hai jis par mein ne bhi dhyaan diya hai. Jab kisi mrtak parivar janak ya padhosi ki zindagi manaate hai, ya bahut durlabh ki baat hai ki koi bhaashan dete samay ya baat kare ki unka ghar kita badha, kitni gaadiya, ya bank meh kitne paise hai ke baare meh baat kare. Woh zyadatar social media ke posts ki vishay par baat nahi karte. Zyaada tar antim sanskaar ke samay, woh apne pyaar karne waalon ke rishte, auro ki sahiyog, jiwan ke sabak aur anubhauv, aur Ishu Masih ke prati apne pyaar ke baare meh dhyaan dete hai.
Mujhe galat mat samajhna. Mein yeh nahi kahe raha ki acha ghar hona ya achi gadhi hona ya social media ko istemaal karna buri baat hai. Jo mein kahe raha hu woh ye hai ki anth meh, yeh saari cheejen Uddhaarkarta ko pyaar karne ke aage bahut choti hai.
Jab hum Unko pyaar karte hai aur Unke udesh ka paalan karte hai, hamara vishwaas Un meh hai. Hum paschataap karte hai. Hum Uske udhaaran ke paalan karte hai aur baptisma lete hai aur Pavitr Aatma ko prapt karte hai. Hum anth tak sahete hai aur vacha path par rahete hai. Hum parivaar waalo aur padhosiyon ko maaf karte hai apne dilon ki shikayat ko mita kar. Hum log imaandaari se pryaas karte hai Parmeshwar ke aagyaaon ke paalan kare ke. Hum aagyakaari bane ke pryaas karte hai. Hum vaadein karte aur unhe nibhate hai. Hum apne mata-pita ka sammaan karte hai. Hum duniya ki buraaiyon ko bagal kar dete hai. Hum khud ko Uske Dusre Aagman ke liye taeyaar karte hai.
“The Living Christ: The Testimony of the Apostles,” meh padhte hai: “[Masih] kisi din dharti par vaapas aayenge. … Woh Rajaao ka Raja banega aur shaasan karega Prabhuwon ke Prabhu ka, aur har koi khutna tekenge aur har ek jeeb Unke aage jayjaykaar karegi. Har koi khadha hoga nayaye kiya jaane ke liye hamare karmon ke anusaar aur hamare hriday ke ichchaon ke anusaar.”5
Ek Apostle “The Living Christ” document sign karne ke mutabik, mein kahe sakta hu ki ye jaante hue ki Ishu “duniya ki roshni, zindigi, aur umeed hai”6 mujhe aur ichcha deti hai Unhe har din aur zyaada pyaar karne ki.
Hum gawahi deta ki Swarg ke Pita aur Ishu Masih jeewit hai. Main gawahi deta hoon ki Woh hum log se pyaar kare hai Dharamshaastra hum log ke sikhaay hai ki “Parmeshwar ne jagat se aysa pyaar kiya, ki usne apna iklauta Putra diya, taaki jo koi uspe vishwaas kare woh naash na howe, parantu anant jiwan paaye.”7 Dharamshaastra hume yeh bhi sikhaay hai ki Ishu Masih, “jagat se aysa pyaar kiya ki usne apna hi jiwan daan diya, taaki jo koi uspe vishwaas kare Parmeshwar ke bachche banenge ”8
Swarg ke Pita hum log se itna pyaar karis ki Usne miktidaan ke liye ek yojna banais ek Uddhaarkarta ke us ke pramukh bhaag rakhis. Aur Ishu hum log se itna pyaar karis ki Swarg ke mahan Parishad meh, Jab Swarg ke Pita puchis, “Hume kisko bhejna chahiye?” Ishu, jo Pita ke Pahele janme the sabhi aatmik baccho ke beech, ne jawab diya, “Yeha hu mein, mujhe bhejo.”9 Usne Pita se kaha, “Pitaji aapki ichcha puri hogi, aur aapki mahima sadev rahegi ”10 Ishu ne apne aap humaare Uddhaarkarta aur Muktidaata banane ki ichcha prakat ki taaki hum Unke jaisa ban sake aur Unke upastithi me laut sake.
Yeh do dharamshaastra yeh bhi sikhaati hai ki Unke upastithi meh lautne ke liye hume zaroori haibharosakarna. Hume Ishu aur Parmeshwar ki khushi ki yojna meh bharosa karni chahiye. Bharosa rakhne ka arth hai ki Uddhaarkarta ko pyar aur palaan kare aur niyamo ko nibhaye, pareekshan aur sangharsh ke bhi dauran.
Aaj ki duniya asthir hai. Yeha niraashaon, asahamati, sankat, aur vyaakulta hai.
President Dallin H. Oaks, 2017 meh baat karte samay, vihkyaat kiya: “Yeh chunauteepoorn samay hai, bahut badhi chintaon se bhari: jung aur jung ki aphavaahen, sambhavit mahaamaree sanraamak rog, sookha, baadh, aur dharti ke vatavaran ka taatman ”11
Hum log apna pyaar aur umeed Ishu meh kho nahi sakte, bhale hi hume kathin se kathin chunautiyon ka saamna karna padhe. Swarg ke Pita aur Ishu hume kabhi nahi bhoolenge. Woh humse pyaar karte hai.
Pichle October meh, President Russell M. Nelson ne sikhaaya hai Swarg ke Pita aur Ishu Masih ko apne jiwan meh pratham rakhne ka mahatav. Pradhaan Nelson ne hume sikhaaya hai ki is sabd Israel ka matlab hai “Parmeshwar ko prachalit hone do.”12
Unho ne hum sab se yeh sawal kiye: “Kya aap apan jiwan me Parmeshwar ko prachalit karne doge? Kya aap apan jiwan me Parmeshwar ko sabse mahatwapurn prabhaao hone dena chahate hai? Kya aap Uske shabdo, Uske aagyaaon, aur Uske vachano ko maoka denge apne har din ke kaarye ko prabhaawit kare ke? Kya aap Uske aawaaz ke aur kisi aawaaz ke aage sabse pehle sunenge? Kya aap taeyaar hai woh sab jo Woh chahata hai aap kare uss se zyaada zaroori ho jiwan me jo aap karna chahaate hai? Kya aap taeyaar hai apna ichcha Unke ichcha me leen hone denge?”13
Hume humesha yaad rakhna chahiye ki sachchi khushi hamaare Parmeshwar, Ishu Masih, aur ek dusre ke saath sambandh par nirbhar hai
Ek tarika jis se hum apna pyaar darsha sakte hai woh hai parivaar, dosto, aur padhosiyon se judh kar choti choti cheejen kar ke ek dusre ki achi sewa kare. Aise kaarye kare jo is duniya ko aur achi jagah banaye.
Tum kya kar sakte ho apne jiwan meh yeh darshaane ke liye ki aap sab se pahele Prabhu se pyaar karte ho?
Hum jaise dhyaan lagaate hai apne padhosiyon se aisa pyaar karne ka jaisa Woh unse karte hai, hum sach meh unko pyaar karte hai jo humaare aas paas hai.14
Mein dobaara puchta hu, aap kaise Uddhaarkarta ke sawal ka javaab dete “Kya aap mujhe in se zyaada pyaar karte hai?”
Jaise aap is sawal par vichaar kare jaisa mein ne kiya hai, mein prarthana karta hu aap jawab de jaisa Peter ne bahut pahele kiya tha, “Haa, Prabhu; aap jaante ho ki mein aapse pyaar karta hu”15aur phir yeh dikhaao Parmeshwar ko pyaar karke aur jo aap ke aas paas hai unki sewa karke.
Mein gawahi deta hu ki hum khushnaseeb hai ki humaare paaas Ishu Masih ka susmachaar hai hume maarg dikhaane ke liye hum jaise jeete hai aur ek dusre ke saath vayvhaar karte hai. Unme, hume pata chalta hai ki har ek aatma kimti hai Unki nazar meh.
Hum apan gawahi deta hai ki Ishu Masih hamare Uddhaarkarta hai. Woh Parmeshwar ka Ekh Lauta Putra hai. Aur mein is gawahi ko vinamratapoorvak sahan karta hoon Unke pavitr naam se, yaha tak ki Ishu Masih, amen.