2010
Naetik Saahas
March 2010


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, March 2010

Naetik Saahas

Maranshil jiwan ka ek lakshye hay Parmeshwar ko dikhaana ki hum Unke niyamon ka paalan karenge jab naetikta ki zaroorat padegi. Hum aatmik duniya mein is pariksha mein safal huwe the. Magar ek-tihaai swarg ke atithi ne is prastaav ke viruddh bagawat ki maranshilta mein parikshit hone ke liye jahan khatra tha asafal hone ka.

Hamare janam se pehle, hum Pita Parmeshwar aur Unke Putra, Ishu Masiha, ko vyaktigat rup se jaante the. Hum Unhein dekh sakte the aur sun sakte the jab Woh hamein sikhlaate aur protsaahit karte the. Ab ek parda aagaya hay hamare mann aur yaaddaash par. Shaetaan, jhoot ka pita, laabhprad sthiti mein hay kyunki apne aap ki sachaai ko vishwaas ki aankhon se dekhna hay, jab hamare sharir hamein yaun sambandhi laalach aur shaaririk kamzori ke aadheen karti hay.

Hamare paas badhiya sahayta hay is jiwan mein saahas dene ke liye. Sabse bada hay Ishu Masiha ka Praeschit. Unke karm ke kaaran, paap baptisma ke paani mein maaf kiya ja sakta hay. Hum us ashirvaad ko phir se yaad kar sakte hay jab hum vishwaas aur pachtaawa bhare hriday se prabhubojh grahan karenge.

Aatmik uphaar ek aur sahayta hay. Hum Masiha ka Aatma apne janam par haasil karte hay. Woh hamein shakti deta hay jaanne ke liye ki kab hamara ek chunaao hamein anant jiwan ki or le jaayega. Dharamshaastra ek bharosemand maargdarshak hay jab hum use Pavitra Aatma ke sangat mein padhte hay.

Pavitra Aatma hamein dhanyevaad dene deta hay aur prarthna mein sahayta maangne deta hay us saralta aur yakeen ke saath jiska anand hum Swarg ke Pita ke saath pehle liya karte the aur hamara hoga jab hum Unke paas waapas jaayenge. Parmeshwar ke saath woh vaartalaap hamare hriday mein se dar ko nikaalta hay jaise woh Swarg ke Pita aur Ishu Masiha ke prati vishwaas aur pyaar badhaata hay.

Pavitra purohiti hamein hamare sewa mein saahas deta hay. Uske siddhanton mein hum shakti haasil karte hay Parmeshwar ke bachchon ke liye sewa pradaan karne ke liye aur buraai ke prakop se bachne ke liye. Jab Woh hamein sewa pradaan karne ke liye pukaarta hay, hamare liye yeh vaada hay ki jo koi bhi hamein grahan karega, wahan Woh bhi hoga, kyunki Woh humse pehle wahan jaaega aur hamare daahine aur baai or rahega, aur Unki Aatma hamare hriday mein rahega, aur Unke farishte hamare aas paas rahenge, hamari raksha ke liye” (D&C 84:88).

Bhavishyevakta Joseph Smith ko apni sewa mein bhaybheet hone ka koi vajah tha. Magar Parmeshwar ne use saahas diya Swami ke is uddharan ke aashwaasan ke saath.

“Usne kaha ki agar Joseph ko kunwe mein daal diya jaaega, ya phir hatyaaron ki haathon mein, aur maut ki saza sunaai jaaye unke liye; agar use gehraai mein chod diya jaaye; agar bhadakti lehrein uske virudh ho jaaye; agar kathor hawaanye uske dushman ban jaaye; agar swarg mein andhera cha jaaye, aur sabhi tatva uske liye rukaawat ban jaaye; aur sabse badke, agar narak bhi use grahan karna chaahe, use jaanna chahiye ki yeh sab cheezein use anubhavi banaenge, aur uski achchaai ke liye hoga.

“Prabhu ne use batlaaya ki Manushye ka Putra un sab se niche utar aaya hay aur pucha ki kya tum Unse bhi mahaan ho (dekhiye D&C 122:7--8).

Parmeshwar ne hamein zaroorat se zyaada sahayta diya hay dar ko bhagane ke liye aur hamein saahas dene ke liye, chahe jiwan mein hum jo bhi cheez ka saamna karein. Jab hum Unki sahayta dhoondhenge, Woh hamein us anant jiwan tak pahuchaaega jise hum dhoondh rahe hay.

Is Sandesh mein Se Shikshan

Ishu Masiha, woh Shikshak Swami, aksar logon ko sochne aur Unke dwara sikhlaaye gaye siddhaanton ko apnaane ke liye protsaahit karte the.… Unke sawaal soch, aatma-nirikshan, aur pratigya ke liye prerit karte the” (Teaching, No Greater Call [1999], 68). Soch-vichaar karein kai sawaal utpann karne aur puchne ke liye jo vyaktiyon ko sahayta kar sakein un sachchaaiyon ko samajhne aur aazmaane ke liye jo is sandesh mein shaamil hay. Uddharan ke liye, tum puch sakte ho, “Parmeshwar ne tumhein kaisi sahayta di hay dar ko bhagaane aur tumhein saahas dene ke liye?” ya “Parmeshwar ne kaise tumhein sahayta di hay dar se vijay paane ke liye?” Vyaktiyon ko protsaahit karein apne jawaab par vichaar karne ke liye uttar dene se pehle.

Chaapo