2010
Mere Vishwaas ka Prayog(Experiment)
April 2010


Yuva

Mera Vishwaas ka Prayog

Jab main 13 varsh ka tha, mainne Mormon Dharamshaastra har din padhna shuru kiya, aur mujhe us din se aaj tak ashirvaad mile hay.

Hamare 13-varshiye Raviwaar Kaksha ke bachchon ko unke dhaarmik aadar ke liye nahin jaana jaata tha. Haalaanki, hamare paas ek prashansniye shikshak thi jo Aatma dwara shikshan dene ki koshish karti thi. Ek aysa shikshan tha dharamshaastra padhne par.

Shikshan ke samaapti par usne hamein ek chunaoti di. Woh chunaoti hum sab ke liye thi, magar kisi kaaran woh sidha mujhe dekh rahi thi jab usne kaha, “Main aapko chunaoti deti hoon ki aap har din Mormon Dharamshaastra mein se padhenge!” Main ne apne aap mein socha, “Main aapko dikhaaunga. Main waisa hi karunga!”

Mainne usi raat 1 Nephi adhyaaye 1 padhna shuru kiya aur har din padhna jaari rakhkha. Shaayad jab mainne shuruaat ki to achcha vyavahaar nahin tha, magar jaise samay beetta gaya mujhe woh ehsaas achcha lagne laga jo Mormon Dharamshaastra padhne se milta tha. Har raat ko padhna ek pasandida aadat ho gaya tha.

Mahino baad main Alma 32 padh raha tha aur prasann hua vishwaas prayog ke sujhaao se. Paathshaala mein humne haal hi mein scientific prayog ke rahasye jaane the, phir main ghutnon par hua aur Swarg ke Pita se batlaaya ki main prayog shuru kar raha hoon. Mainne pucha ki main jaan sakunga ki Mormon Dharamshaastra sachcha hay.

Ab us anubhav ko yaad karte hue, main jaanta hoon ki Swarg ke Pita ne kai baar mere prarthnaaon ka jawaab diya. Har din Mormon dharamshaastra mein se padhne se meri buraai se bachne ki chamta badh gayi thi. Main apne Swarg ke Pita ke kareeb mehsoos karta tha. Mujhe laga ki Pavitra Aatma ki shakti se mujhe kathinaaiyon se bachne mein shakti mili hay. Jo Alma ne kaha tha Parmeshwar ke shabd se prayog karne ke baare mein sach hay: “Woh meri aatma ka vikaas karti hay; haan, usne mere vivek ko badhaana aarambh kiya aur iska swaad mujhe achcha lag raha hay” (Alma 32:28).

Chaapo