Pratham Adhyakshta ka Sandesh, January 2011
Prabhu ko Prachaarakon ki Zaroorat Hai
Pichle October ke sammelan mein mainne aur zyaada prachaarakon ko mission par jaane ki aagya di. Har yogye, kaabil jawaan purush ko prachaar kaarye ki sewa par jaane ki tayyaari karni chahiye. Prachaar kaarye ki sewa ek purohiti kartavye hai---ek zimmedaari jo Prabhu humse chahata hai jinko bahut kuch diya gaya hai. Jawaan purush, main tumhe salaah deta hoon ki tum prachaar kaarye ki sewa ki tayaari karo. Apne aap ko saaf aur pavitra aur yogye rakho Prabhu ke kaarye ke liye. Apna swaasth aur shakti ka khayaal rakho. Dharamshaastra ka adhyan karo. Jahan uplabdh hai, wahan Seminary aur Institute mein bhaag lo. Apne aapko prachaarak kitaab, Preach My Gospel, se parichit karo.
Bahanon, jabki tumhara jawaan purushon ki tarah ka purohiti zimmedaari nahin hai pure-samay ke prachaar kaarye mein bhaag lene ka, tum bhi prachaarak hokar mulya ka yogdaan doge, aur hum aapko is sewa mein swaagat karte hai.
Girjaghar ke buzurg bhaaiyon aur bahanon ke liye, main aapko yaad dilaata hoon ki Prabhu ko aur zyaada tum jaise pure-samay ke prachaarak chahiye. Agar tum abhi pure-samay ke dampati sewa ke umra ke nahin ho, main tumse vinti karta hoon ki us din ke liye aaj tayyaari karo, jaise bhi paristhitiyaan mauka dein, jab tum aur tumhara saathi aisa karenge. Tumhare jiwan mein kuch ayse samay hai jab tumhe anand hoga pure-samay ke sewa ke madhur aatma aur santushti paakar Swaami ke kaam mein.
Aysa bhi ho sakta hai, ki tum mein se kuch log sharmile hoge ya apne aap ko ‘call’ apnaane ke yogye nahin samajhte hoge. Yaad rakhiye ki yeh Prabhu ka kaarye hai, aur jab hum Prabhu ke kaam kar rahe hote hai, hamein uski madad par hak hai. Prabhu peeth ko waisa banaega jisse bojh uspar rakhkha ja sake.
Anye log, bhale hi woh sewa pradaan karne ke yogye rahenge, mehsoos karenge ki unke paas anye zaroori kaam hai karne ke liye. Kya mujhe Prabhu ka vaada yaad hai: “Jo mera aadar karenge main unka bhi aadar karunga” (1 Samuel 2:30). Hum apne Swarg ke Pita aur apne Uddhaarkarta ka aadar ek samarpit, aur shaokeen prachaarak jaisi sewa se kar sakte hai.
Is tarah ke sewa ka uddharan tha Juliusz aur Dorothy Fussek ka prachaarak anubhav, jinhe Poland mein mission kaarye diya gaya tha. Bhaai Fussek Poland ka janma tha. Use woh bhaasha aati thi. Woh logon se prem karta tha. Bahan Fussek England ki janmi thi aur Poland ke baare mein bahut kam jaanti aur uske logon ke baare mein to kuch bhi nahin jaanti thi. Prabhu par bharosa karke, woh apne batlaae gaye kaarye ki shuruaat kiye. Kaam se bahut akelapan mehsoos hota tha, par wahan bahut kaam tha karne ke liye. Poland mein mission ki shuruaat nahin hui thi us samay. Fusseks ka kaam tha tayyaari karna ki ek mission wahan sthaapit ho sake.
Kya Elder aur Bahan Fussek ne haar maani apne zyaada kaam ke kaaran? Ek pal ke liye bhi nahin. Woh jaante the unki niyukti Parmeshwar dwara di gai thi. Unhonne Unke divye sahayta ke liye prarthna ki, aur unhonne apna sab kuch is kaam ke liye samarpit kiya.
Samay aaya jab Elder Russell M. Nelson jo Barah Devduton ke Parishad ke the; Elder Hans B. Ringger, us samay ke Sattar ke the; aur main, Elder Fussek ke saath, Poland ke sarkaar ke dhaarmik kaaryon ke mantri, Adam Wopatka, se mile. Humne use kehte suna, “Tumhare girjaghar ka yahan par swaagat hai. Tum apne imaarat yahan bana sakte ho; tum apne prachaarak yahan bhej sakte ho. Yeh vyakti,” Juliusz Fussek ki or ishaara karte hue, “ne tumhare girjaghar ki achchi tarah sewa ki hai. Tum uske uddhaaran aur kaam ke liye abhaari ho sakte ho.”
Fusseks ki tarah, hum bhi wahi karein jo hamein karna hai Prabhu ke kaam mein. Phir hum, Juliusz aur Dorothy Fussek ke saath, is Psalm ko dohra sakenge:
“Meri sahayta Prabhu se milti hai, jisne swarg aur dharti banaya.
“… Jo tumhari raksha karega woh chukega nahin.
“Dekho, jo Israel ki raksha karega na chukega aur na soega” (Psalm 121:2--4).
© 2011 Intellectual Reserve, Inc dwara. Sabhi adhikaar surakshit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/10. Anuwaad swikriti: 6/10. First Presidency Message, January 2011 ka anuwaad. Fiji Hindi. 09761 298