2011
Ghar mein Pyaar—Hamare Bhavishyevakta se Salaah
August 2011


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, August 2011

Ghar mein PyaarHamare Bhavishyevakta se Salaah

Aashirvaadon se Bhari Parivaarik Zindagi

“Jab humne duniya mein bahut kuch anubhav kar liya hai aur dekha ki kitna thode samay ka aur kabhi kabhi avaastavik yeh duniya hai, hamari aabhaar us saobhaagye par badh jaata hai ki hum us cheez ka bhaag hai jispar hum bharosa kar sakte hai—ghar aur parivaar aur priyejanon ki wafadaari. Hum jaan lete hai zimmedaari, aadar, apnapan se jude rehne ka arth kya hai. Hum yeh seekh lete hai ki kuch bhi puri tarah se aashirvaadon se bhari paarivaarik zindagi ka sthaan nahin le sakti.”1

Hamare Pyaar ko Baatna

“Apne bachche ki badhaai karo aur use gale lagaao; kaho, ‘main tumse pyaar karta hoon’; hamesha apne abhaar ko zaahir karo. Kabhi aesa na ho ki samasya ko suljhana zyaada zaroori ho ek vyakti ko pyaar karne se. Mitra door ho jaate hai, bachche bar jaate, pyaar karnewaale mar jaate hai. Bahut saral hai dusron se faida uthana, jab tak woh hamari zindagi se chale nahin jaate aur hamare paas sirf ehsaas reh jaate hai ‘kya agar’ aur ‘agar sirf.’ …

Hamein zindagi ko khushi se jeena chahiye, yaatra mein khushi paana chahiye aur mitron aur parivaaron se pyaar badhaana chahiye. Ek din, hamare paas kal nahin rahega. Hum use nahin andekha kar sakte jo sabse zaroori hai.”2

Hamare Pyaar ko Dikhaana

“Bhaaiyon, hum apni patniyon ke saath aadar aur sammaan se pesh aaye. Woh hamari anantta tak ki saathi hai. Bahanon, apni patiyon ka sammaan karo. Unhein achche shabd sunne ki zaroorat hai. Unhein mitrata ki muskaan chahiye. Unhein sacha pyaar ko mehsoos karne ki zaroorat hai. …

“Tum sab ke liye jo maata-pita ho, main kehta hoon, ki apne bachchon ko pyaar dikhlaao. Tum jaante ho ki tum unse pyaar karte ho, magar aesa karo ki woh bhi jaane. Woh bahut anmol hai. Unhein jaanne do. Hamare Swarg ke Pita se madad mango har din unki dekh-rekh aur zarooraton ke liye aur saare chunaotiyon ke liye jo hamein jhelne padhte hai maata-pita hone ke kaaran. Hamein bhachchon ko aage badhaane ke liye apne gyaan se bhi zyaada chahiye.”3

Hamare Pyaar ko Dikhaana

“Tum maata-pitaon ke liye, apna pyaar bachchon ko mehsoos karaao. Unke liye prarthna karo ki woh duniya ke buraaiyon se bach sake. Prarthna karo ki woh vishwaas aur gawahi mein badhe. Prarthna karo ki woh achchaai aur dusron ki sewa ka jeewan bitaae.”

“Bachchon, apne maata-pita ko batlaao ki tum unse pyaar karte ho. Unse yeh batlaao ki unhonne tumhare liye jo kiya hai aur jo kar rahein hai ke liye tum kitna abhaari ho.”4

Sab se Zaroori Kya Hai

“Jo sabse zaroori hota hai hamesha hamare aas-paas ke logon ko shaamil karta hai. Aksar hum kalpana karte hai ki woh jaante honge hum unse kitna pyaar karte hai. Magar hamein kabhi aysi kalpana nahin karni chahiye, hamein unse batana chahiye. William Shakespeare ne likha, ‘Woh pyaar nahin karte jo apne pyaar ko dikhlaate nahin.’ Hum kabhi bole gaye pyaar bhare shabd ya diye gaye dulaar par pachtaaenge nahin. Balki, hamein pachtaawa hoga agar aysi cheezein apne priyejanon ke saath hamare rishton mein se nikaal diye jaaye.”5

Swarg Ko Kareeb Laana

“Hum aasha karte hai ki hamare parivaar aur ghar pyaar se bhare ho: ek dusre ke liye pyaar, susamachaar ke liye pyaar, insaan se pyaar, aur Uddhaarkarta se pyaar. Is ke kaaran, swarg hamare kareeb yahan dharti par hoga.

“Hum apne gharon ek pavitra jagah banaye ki hamare parivaar ke sadasye hamesha ghar lautna chahe.”6

Parivaaron ke liye Ek Prarthna

“Jaise aaj ki duniya mein parivaar dal par aakraman hota hai, aur pavitra maani jaane waali kai cheezon ki khilli hoti hai, hum Aapse puchte hai, hamare Pita, hamein hamare chunaotiyon ke samaanye banaye, ki sthir kadhe rahein sachchaai aur dhaarmikta ke liye. Hamare ghar shaanti, pyaar aur dhaarmikta ka sthaan bane.”7

Vivaran

  1. “A Sanctuary from the World,” Worldwide Leadership Training Meeting, Feb. 9, 2008, 29.

  2. “Joy in the Journey” (Brigham Young University Women’s Conference, May 2, 2008), http://ce.byu.edu/cw/womensconference/archive/transcripts.cfm.

  3. “Abundantly Blessed,” Liahona, May 2008, 112.

  4. “Until We Meet Again,” Liahona, May 2009, 113.

  5. “Finding Joy in the Journey,” Liahona, Nov. 2008, 86.

  6. “A Sanctuary from the World,” 30–31.

  7. The Gila Valley Arizona Temple ka Sthaapna ka prarthna, May 23, 2010; “The Gila Valley Arizona Temple mein: ‘Wilt Thou Hallow This House,’” Church News, May 29, 2010, 5.

Is Sandesh Mein Se Shikshan

“Ek vichaar vimarsh karne ki gatividhi mein, adhyapak ek sawaal puchta hai ya stithi batata hai aur vidhyaartiyon ko thoda sa samay deta hai jawaab ya sujhaao batlaane ke liye” (Teaching, No Greater Call [1999], 160). Jab tum is lekh ko parivaar ke saath padhoge, unhein bataao ki woh salaah ya tippaniyon ko sune jo unhein achcha lagta hai. Phir parivaar ke sadasye vichaar vimarsh kar sakte hai kin tariko se apne ghar mein pyaar badhaae. Parivaar ko amantrit karein ki aane waale gharelu shaam sabha mein apne tippani phir bataae.