2011
Kriya ki Adhik Chamta
December 2011


Shikshan Sandesh Bhent, December 2011

Kriya ki Adhik Chamta

Is utpaadan ka adhyan karein, aur jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Vishwaas • Parivaar • Sahayak

Prabhu, Unka Girjaghar, parivaarein, aur samaajon ko dhaarmik mahilaaon ke prabhaao ki zaroorat hai. Vaastav mein, Elder M. Russell Ballard jo Barah Devduton ke Parishad ke hai ne sikhlaaya ki “Girjaghar ki har ek bahan jisne Prabhu ke saath vaade kiye hai ke paas ek divye zimmedaari hai jiwan ko bachaane ka, duniya ki mahilaaon ko raah dikhaane ka, Zion ke parivaaron ko mazboot karne ka, aur Parmeshwar ke raajye ko banaane ka.”1

Kuch bahane shaayad sochenge ki kya woh in unche lakshye ko praapt kar sakti hai. Magar jaise Eliza R. Snow (1804-87), Sahayak Sanstha ki dusri maha pradhaan, ne samjhaaya, “Koi bahan itni akeli nahin hai, aur uska prabhaao itna kam ki woh bahut kuch na kar paaye Parmeshwar ke raajye ke liye is dharti par.”2 Bahan Snow ne yeh bhi sikhlaaya ki Sahayak Sanstha ka aayojan hua tha “har achche aur prabhaaoshaali kaam ki purti ke liye.”3

Sahayak Sanstha mein bhaag lena hamare chamtaaon ke prabhaao ko badhaati hai har bahan ko vishwaas badhaane, parivaaron aur gharon ko mazboot karne, aur ghar aur duniya bhar mein sewa pradaan karne se. Aur saobhaagye se, hamare vyaktigat aur Sahayak Sansthaaon ki koshishein badhi nahin honi chahiye aur na ki dikhaawa ke liye, magar woh saaodhaani se aur lagataar diye jaane chahiye. Dhaarmik kriya jaise daenik vyaktigat aur parivaarik prarthna, daenik dharamshaastra adhyyan, aur lagataar Girjaghar niyuktiyon ko pura karna madad karti hai vishwaas aur Prabhu ke raajye ko badhaane ke liye.

Un bahanon ke liye jo sochti hai ki kya yeh gupt daan ka kuch faaeda hota hai, Elder Ballard pushti karta hai: “Har bahan jo sachaai aur dhaarmikta ka samarthan karti hai buraai ke prabhaao ko kam karti hai. Har bahan jo apne parivaar ko mazboot karti aur surakshit rakhti hai woh Parmeshwar ka kaarye karti hai. Har bahan jo Parmeshwar ki putri ki tarah jeeti hai auron ke liye ek uddhaaran ki raushni ban jaati hai aur dhaarmik prabhaao ke beej boti hai jinke fal kai varshon tak dikhenge.”4

Dharamshaastra mein se

1 Corinthians 12:4–18; 1 Timothy 6:18–19; Mosiah 4:27; Articles of Faith 1:13

Hamare Itihaas Se

Eliza R. Snow, jisne Sahayak Sanstha ki secretary ki sewa pradaan ki thi Nauvoo ki sthaapna ke samay, ko Pradhaan Brigham Young (1801-77) dwara niyukt kiya gaya tha Girjaghar ke sabhi shaakaon mein bhraman karne ke liye, bishop ko Sahayak Sanstha ki sthaapna apne wards mein karne ke liye.

Bahan Snow ne sikhlaaya: “Agar Israel ke kisi bhi putriyaan ya maataaen ko apni vartamaan chamtaaon ki kriya mein thodi bhi kami mehsoos hoti hai, woh ab paryaapt sambhaaona paaegi har achchaai ki shakti aur chamta ko pura karne ke liye jiski unmein bahut kaabliyat hai.… Pradhaan Young ne shuruaat ki hai ek vishaal kriya ki adhik chamta aur upyogita ki.”5

Vivaran

  1. M. Russell Ballard, “Women of Righteousness,” Liahona, Dec. 2002, 39.

  2. Eliza R. Snow, “An Address,” Woman’s Exponent, Sept. 15, 1873, 62.

  3. Eliza R. Snow, “Female Relief Society,” Deseret News, Apr. 22, 1868, 81.

  4. M. Russell Ballard, Liahona, Dec. 2002, 39.

  5. Eliza R. Snow, Deseret News, Apr. 22, 1868, 81.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Main kaise bhent kiye hue bahanon ko madad kar sakti hoon apni chamta aur kaabliyat ko pehchaanne mein ki woh ek dhaarmik prabhaao ho sakti hai?

  2. Main kaise apne anokhe uphaaron aur chamta se auron ko ashirvaad dila sakti hoon?