2012
Swatantra Zindagi Jeena
January 2012


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, January 2012

Swatantra Zindagi Jeena

Ek naye saal ke shuruwaat mein, main sabhi jagah ke Antim-dinon ke Santon ko vyaktigat rup se bira ko uthaane ke liye chunaoti deta hoon, parishrami, mahatav talaash jisse main swatranta ki zindagi kahata hoon-ek zindagi jo bahutaayat ke safalta, achchaai, aur ashirvaadon se bhari ho. Usi tarah se jaise humne mul gyaan ko paathshaala mein sikhe the, main apne banaaye huwe mul siddhaant ko pesh karta hoon taaki hum sab ko madad mile swatantra ki zindagi ko paane ke liye.

Sidha Vichaar Bhaao ko Rakhe

Pehla mul hai vichaar bhaao. William James, jo American psychologist aur philosopher ke aguwa the, ne likha, “Hamare peedi ka sabse badha kraanti ka khoj hai ki maanav, apne man ke andar ke vichaar bhaao ko badalne se, apne zindagiyon ke baahar ke swarup ko bhi badal sakte hai.”1

Bahut kuch hamare zindagi mein vichaar bhaao par nirbhar hai. Hum kis tarah se chunte hai cheezon ko dekhne aur dusron ko jawaab dene mein yahi sabhi cheezon par prabhaao daalta hai. Agar hum puri koshish karein aur phir hum apne paristhiti par khush hone ka chunaao karte hain, chaahe koi bhi parasthiti ho, hamein shaanti aur prasanta mil sakti hai.

Charles Swindoll—lekhak, prachaarak, aur Isai paadri—ne kaha: “Mere liye, vichaar bhaao, … beete hue dinon, … paese, paristithi, asafalta, safaltaaon, aur manushye kya sochte aur kehte karne ko se bhi zyaada zaroori hai. Woh hamare dikhaawe, gun, ya nipunta se zyaada zaroori hai. Yeh ek kaarobaar, ek girjaghar, ek ghar ko banaega ya barbaad karega. Asadhaaran baat yeh hai ki hamare paas har din ek chunaao hoga ki hum kaun se vichaar bhaao ko rakhenge us din ke daoraan.”2

Alankaarikh, hum apne ird-gird ke duniya ka shaasan nahin kar sakte magar hum duniya se kaise pesh aate hai ka shaashan kar sakte hai. Sab se zyaada khushi, shaanti, aur prasanta ke liye, hum sidhe vichaar bhaao ko chunn sakte hein.

Apne Aap Par Vishwaas Karein

Dusra mul hai ki hum apne aap mein, jo hamare ird-gird hai unmein, aur jo anant siddhaanton mein hai par vishwaas karein.

Apne aap se, dusron se, aur apne Swarg ke Pita se imaandaari rakkhe. Ek jo Ishwar ke saath imaandaar nahin tha jabki bahut der ho chuki thi tha Cardinal Wolsey jo, Shakespeare ke anusaar, bahut samay bitaya teen shasak ki sewa mein aur paese aur shakti se anand praapt kiya. Ant mein, ek ashaant raja ne uski shakti aur adhikaar ko cheen liya. Cardinal Wolsey rone laga:

Agar mainne sirf apne Parmeshwar ki sewa kiya hota aadhe josh ke saath

Mainne apne raaja ki sewa kiya, Woh mujhe is umra mein

Apne dushmanon ke saamne nihatta chod gaya.3

Thomas Fuller, ek Angrezi girjaghar ka aadmi aur itihaasi jo 17th sadi mein tha, ne is sachchaai ko batlaya: “Jo apne vishwaas ke saath nahin jeeta woh vaastav mein vishwaas nahin karta.”4

Apne aap ko sima se math bandho aur dusron se apne aap ko yah na raazi karne do ki tum sima ke baahar kuch nahin kar sakte. Apne aap par vishwaas rakkho aur phir jio apne sambhaota ko haasil karne ke liye.

Tum woh haasil kar sakte ho jo tum karne ko vishwaas karo. Bharosa karo aur maano aur vishwaas rakkho.

Chunaotiyon ka Himmat se Saamna Karo

Himmat laabhkaar aur arthpurn sadgun banta hai jab usse shurveer ki tarah marne ki ichcha nahin par sahi dhang se jeene ki ichcha samjha jaata hai.

American kahanikarak aur shaayar Ralph Waldo Emerson ne kaha: “Chahe tum kuch bhi karo, tumhe himmat ki zaroorat hai. Chahe tum kuch bhi karne ki socho, wahan par har samay koi hai jo tumhe batlata hai ki tum galat ho. Wahan par har samay musibatein aati hai jo tumhe behkaati hai ki tum vishwaas karo ki tumhare alochak sahi hai. Ek stithi ko dekhne ke liye aur use anth tak khatam karne ke liye wahi himmat chahiye jo ek sainik chahata hai. Shanti mein vijay hai, magar usse shaktishaali aadmiyon aur auraton ki madad chahiye vijay paane ke liye.”5

Kuch aesa samay bhi honge jab tum ghabraaoge aur himmat chod doge. Tum aesa mehsoos karoge ki tum haar gaye ho. Vijay haasil karna mushkil lagega. Kabhi kabhi tum aesa bhi mehsoos karoge jaisa David ne Goliath ko ladte samay kiya tha. Magar yaad karo—David ne hi vijay praapt kiya tha!

Himmat ki zaroorat hai safalta ko haasil karne ke liye, magar aur zyaada himmat chahiye jab ek gir jaata hai aur dusri koshish karni padti hai usse haasil karne ke liye.

Aage badhne ka iraada karein, ek yogye lakshye ke liye kaam karne mein ek soch rakhe, aur himmat karein us chunaotiyon ka saamna karne ke liye jo bin batlaaye aati hai magar dusri baar koshish karne mein bhi, agar is ki zaroorat ho. “Kabhi kabhi himmat woh choti si awaaz hoti hai din ke anth mein jo kehti hai, ‘Main kal phir koshish karunga.’”6

Hamein in mul siddhaant ko yaad karna chaahiye jab hum apna safar shuru karein naye saal mein, sidha vichaar bhaao ko karte rahein, ek vishwaas jisse hum apne laksh aur jawaabon ko praapt kar sake, aur himmat mile un chunaotiyon ka saamna karne ke liye jo hamare raste mein aati hai. Phir swatantrata ki zindagi hamari hogi.

Vivaran

  1. William James, Lloyd Albert Johnson, comp. mein, A Toolbox for Humanity: More Than 9000 Years of Thought (2003), 127.

  2. Charles Swindoll, Daniel H. Johnston mein, Lessons for Living (2001), 29.

  3. William Shakespeare, King Henry the Eighth, act 3, scene 2, lines 456–58.

  4. Thomas Fuller, H. L. Mencken, ed. mein, A New Dictionary of Quotations (1942), 96.

  5. Ralph Waldo Emerson, Roy B. Zuck mein, The Speaker’s Quote Book (2009), 113.

  6. Mary Anne Radmacher, Courage Doesn’t Always Roar (2009).

Is Sandesh Mein Se Shikshan

Parivaar sadasyon ko amantrit karein kuch vyaktigat anubhavon ko baantne ke liye jab ek sidha vichaar bhaao, apne aap mein vishwaas, ya himmat ne unhein sahayta di thi. Ya unhein amantrit karein dharamshaastra mein se in siddhaanton ke uddhaaran nikaale. Tum shaayad sikh dene ki tayyaari karoge prarthnapurn tarike se apne dharamshaastra ke paath ya anubhavon ko yaad karke.