2013
Prernaaon ko Sunna
January 2013


Yuva

Prernaaon ko Sunna

Ek raat meri chacheri bahan ghar se bhaag gayi, isliye main jald se gayi use dhoondhne. Gaadi chalate samay, mainne Aatma ke madad ke liye prarthna kiya. Main jaanti thi ki Parmeshwar mujhe jawaab dega aur nirdesh karega, aur mainne Aatma ke prerna ko sunne ki koshish ki. Magar jab main kuch nahin sun paayi, main utsuk hone lagi aur mehsoos karne lagi ki Aatma mujhe prerit nahin kar rahi hai.

Aysa hone par bhi main aur door dhoondhne jaana chahati thi, mainne mehsoos kiya ki mujhe mere chachere bahan ke ghar ke aaspaas rehna chahiye. Isliye mainne usi ilaake ke kareeb gaadi lejaane ka nirnay kiya. Jab main ek chauraahe par ruki, mainne ek jawaan ladki ke chaaya ko chalte dekha. Mainne apne chachere bahan ko dhoondh nikala tha!

Jab main gaadi se baahar utri aur uske or daudi, mainne jaana ki Aatma mujhe prerit kar rahi thi pure samay mujhe yeh batlakar ki mujhe usi ilaake mein rehna hai. Kyunki main ek shaant awaaz ka intazaar kar rahi thi, mainne to Aatma ke prerna ko nazarandaaz hi kar diya tha. Tab mainne samjha ki kai baar hum ek awaaz ko nahin sunenge, magar hamein apne hriday mein uske dhaarna mehsoos honge.

Main Aatma ke maargdarshan ke liye bahut abhaari thi. Sach mein to Woh har jagah hota hai! “Dharamshaastra hamein batlaata hai ki Pavitra Aatma hamara har samay ka saathi hoga” (D&C 121:46).

Agar hum Aatma ke maargdarshan ke liye yogye hai aur hum dhyaan dete hai, hum Parmeshwar ke haathon mein aozaar ho sakte hai kai logon ke liye achchaai karne ke liye. Aatma ke lagataar saath ke saath, hum jaanenge hamein kis maarg par chalna hai.

Chaapo