2013
Na To Main Tujhe Dhokha Dunga, Na Tujhko Chodunga
November 2013


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, November 2013

“Na To Main Tujhe Dhokha Dunga, Na Tujhko Chodunga”

Hamare Swarg ke Pita … jaante hai ki zaroori musibaton ko jhel kar hum seekhte aur badhte aur mazboot hote hai.

Aaj raat main apne jernal mein, likhunga, “Maha sammelan ka yeh sabse prerna se bhara sabha tha jismein aaj main shaamil tha. Sab kuch badhiya aur bahut dhaarmik prakriti ka tha.”

Bhaaiyon aur bahanon, cheh mahine pehle jab hum apne maha sammelan mein mile the, meri pyaari patni, Frances, aspataal mein bharti thi, kuch din pehle buri tarah se girne ke baad. May mein, hafton tak himmat se apne choton mein tadapti hui, woh anantta mein chali gayi. Mujhe woh bahut yaad aati hai. Uski aur meri shaadi Salt Lake Mandir mein October 7, 1948 mein hui thi. Kal hum donon ke shaadi ka 65th saalgira hota. Woh mere jiwan ka pyaar tha, mera bharosemand saathi, aur mera kareeb ka dost. Yeh kehna ki woh mujhe yaad aati hai mere bhaaona ke gehraai ko nahin dikhlaata.

Pradhaan David O. McKay ne mujhe isi sammelan mein 50 varsh pehle Barah Devduton ke Parishad mein niyukti di thi. In beete huwe saalon mein mainne aur kuch nahin par apne priye saathi ka pura aur sampurn samarthan mehsoos kiya hai. Usne kayi tyaag kiye taaki main apna niyukti nibha sakun. Kabhi bhi mainne usse ek shikayat ka shabd nahin suna jab mujhe kayi din aur kabhi kabhi hafte usse aur hamare bachchon se dur rehna pada. Woh vaastav mein ek swarg dut ke samaan thi.

Main apni or se dhanyevaad dena chahata hoon, aur apne parivaar ki or se bhi, Frances ke guzarne se ab tak us anokha pyaar ke liye jo hamein mila hai. Saekdo card aur patra duniya bhar se bheje gaye the uski shraddha mein aur hamare parivaar ke liye sahanubhuti dene ke liye. Hamein bahut badi sankhya mein sundar phool ke guldaste mile. Hum un unginit daan ke liye abhaari hai jo uske naam par Girjaghar ke Maha Prachaarak Bhandaar mein diya gaya hai. Un sab ki taraf se jinko piche chod gayi hai, main apna abhaar prakat karta hoon aapke dayalu aur haardik daan ke liye.

Is naazuk samay mein mere liye sabse sahanubhuti dene waali cheez mera gawahi raha hai Ishu Masih ke susamachaar ka aur mera gyaan ki Frances ab bhi jiwit hai. Main jaanta hoon ki hamara judaai thode samay ka hai. Hum Parmeshwar ke ghar mein bandhe the unke dwara jiske paas dharti aur swarg mein baandhne ki shakti hai. Main jaanta hoon ki ek din hum phir se milenge aur phir kabhi na juda honge. Yahi gyaan mujhe shakti deta hai.

Bhaaiyon aur bahanon, surakshit rup se yeh maana ja sakta hai ki koi bhi vyakti kabhi bina kasht aur dukh ke nahin jiya hai, na to kabhi manushye ke itihaas mein aysa samay tha jab usmein musibat aur sankat nahin tha.

Jab jiwan ka maarg ek kathor mod leta hai, tab yeh sawaal karne ka behkaawa aata hai “Kyun main?” Kabhi kabhi surang ke ant mein koi raushni nahin hoti, raat ke andhera ka koi subha nahin hota. Hum bikhre sapno aur ojhal aashaaon ke niraasha se ghire mehsoos karte hai. Hum dharamshaastra ke niwedan ko dohraaye, “Kya Gilead desh mein kuch balsaan(balm) ki aoshadi nahin?”1 Hum tyaaga hua, atyant dukhi, tanha mehsoos karte hai. Hum zyaadatar apne durbhaagye ko niraasha ke nazariye se dekhne lagte hai. Hum besabra ho jaate hai apne samasyaaon ka hal dhoondhte dhoondhte, yeh bhool kar ki dhaerye ka swargiye sadgun zaroori hai.

Jo kathinaaiyaan humpar aati hai hamare sahan shakti ka sachcha pariksha hota hai. Ek avashyak sawaal ka jawaab ab bhi dena zaroori hai: Kya main hichkichaaun, ya main khatam karun? Kuch log hichkichaate hai jab woh khud ko chunaotiyon se uthte nahin dekhte. Khatam karne ka matlab hai jiwan ke ant tak jhelna.

Kaisi cheezein hamare saath ho sakti hai par sochte huwe, hum pehle ke Job ke saath keh sakte hai, “Manushye kasht bhogne ke liye utpann huwa hai.”2 Job ek “khara aur sidha” purush tha jo “Parmeshwar ka bhay maanta tha, aur buraai se dur rehta tha.”3 Achche swabhaao ka, dhanwaan, Job ko aysi pariksha se guzarna pada jo kisi ko barbaad kar sakta tha. Apne sampati ko khokar, doston se dhikaara gaya, apne kasht ko jhela, apne parivaar ko khokar dukhit hua, usse kaha gaya “Parmeshwar ki ninda kar, aur chaahe mar jaa.”4 Who behkaawon se bacha aur usne kaha apne achche hriday ke gehraai se:

“Ab bhi, swarg mein mera saakshi hai, aur mera gawaah upar hai.”5

“Mujhe nishchay hai ki mera muktidaata jiwit hai.”6

Job ne vishwaas nahin choda. Hum bhi waisa karenge jab hamein is tarah ke chunaotiyon ka saamna karna padega?

Jab bhi hamein lage ki hum jiwan ke prabhaawon se dabe huwe hai, hum yaad rakhe ki anye log aysa bhugad chuke hai, jhel chuke hai, aur phir vijayi huwe hai.

Girjaghar ka itihaas is, samay ki sampurnata ke yug mein, un logon ke anubhavon se bhare hai jinhonne musibat jhela aur phir bhi dridh aur prasann rahe. Uski vajah? Unhonne Ishu Masih ke susamachaar ko apne jiwan ka mukhye kendra banaya hai. Yahi hamein har aane waali musibat se nikaalega. Hum phir bhi kathin chunaotiyon ka saamna karenge, magar hum unhein jhel paaenge, saamna kar sakenge, aur vijayi saabit honge unmein.

Peeda ke khaat se, bhige ansuwon ke takiye se, hum swarg ki or dekhte hai us divye ashwaasan aur anmol vaade ke saath“Na to main tujhe dhokha dunga, na tujhko chodunga.”7 Aysi sahanubhuti anmol hai.

Apni niyukti ki zimmedaari ko pura karte huwe jab mainne duniya bhar yaatra ki hai, mainne kayi cheezein seekhi hai—jismein yeh sachchaai shaamil hai ki har koi dukh aur kasht ko anubhav karta hai. Main nahin batla sakta kitna atyant dukh aur shok mainne dekha hai jab mainne un logon se bhent kiya jo maatam, beemaari, taalaakh, bigda huwa beta ya beti ka sangharsh, ya paap ke prakop ko jhelte huwe logon se mila. Parchi aur badi ho sakti hai, kyunki kayi tarah ke musibat hum par aa sakte hai. Sirf ek uddharan ko nikaalna kathin hai, aur phirbhi jab bhi main chunaotiyon ke baare mein sochta hoon, mere soch Bhaai Brems ki or jaata hai, mera bachpan ka Raviwaar Kaksha ka shikshak. Woh Girjaghar ka ek vishwaasi sadasye tha, sone ka dil rakhne waala vyakti. Woh aur uski patni, Sadie, ke paas 8 bachche the, unmein se kayi hamare parivaar ke bachchon ke umra ke the.

Jab Frances aur main shaadi karke ward chod diye the, hum ne Bhaai aur Bahan Brems aur unke parivaar ke sadasyon ko shaadiyon aur marniyon, tatha ward ke punmilan samahron mein dekha.

1968 mein, Bhaai Brems ki patni, Sadie guzar gayi thi. Unke 8 bachchon mein se 2 beete varshon mein guzar gaye the.

Ek din lagbhag 13 varsh pehle, Bhaai Brem ki sabse badi poti ne mujhe phone kiya. Usne batlaya ki uske aja apna 105th janam din pahunch gaya hai. Usne kaha, “Woh ek chote se dekhbhaal kendra mein rehta hai magar apne pure parivaar se har Raviwaar ko milta hai, jahan woh ek susamachaar ka paath padhata hai.” Usne aur kaha, “Is pichle Raviwaar ko, Aja ne hamein bataya, ‘Mere priyon, main isi hafte marne waala hoon. Kya tum kripya Tommy Monson ko bulaaoge. Woh jaanta hai kya karna hai.”

Mainne Bhaai Brems ko agle hi shaam ko bhent kiya. Mainne use kuch dinon se nahin dekha tha. Main unse baat nahin kar sakta tha, kyunki woh sunn nahin sakta tha. Main use sandesh likhkar nahin de sakta tha, kyunki use dikhaai nahin deta tha. Mujhe bataya gaya ki uska parivaar jab use kuch batlana chahata woh unke daai haath ke ungli ko lekar uske baai hatheli par bhent karne waale ka naam likhte. Koi bhi sandesh isi tarah se dena padta tha. Mainne wohi tarika apnaaya aur uski ungli pakad kar likha T-O-M-M-Y M-O-N-S-O-N, jo naam se woh mujhe jaanta tha. Bhaai Brems khush hua aur, usne mera haath liya, apne sir par rakha. Main uski ichcha jaanta tha purohiti ka ashirvaad paane ka. Jis aadmi ne mujhe dekhbhaal kendra le gaya tha ne mere saath milkar Bhaai Brems ke sir par haath rakha aur ichcha anusaar ashirvaad diya. Baad mein, aansoon girne lage uske andhe aankhon se. Usne abhaar prakat karne ke liye hamare haath pakad liye. Bhale hi usne di gayi ashirvaad ko nahin suna tha, Aatma mazbooti se mehsoos ki gayi thi, aur main vishwaas karta hoon ki woh jaan gaya tha ki humne uski zaroorat ka ashirvaad de diya tha. Yeh pyaara aadmi ab dekh nahin sakta tha. Woh ab sunn bhi nahin sakta tha. Woh raat aur din dekhbhaal kendra ke ek chote kamre mein band rehta. Aur phir bhi uske chehre ka muskaan aur jo shabd usne kahe ne mere hriday ko chu liya. Usne kaha, “dhanyevaad aapko”. “Mera Swarg ka Pita kitna achcha tha mere liye.”

Ek hi hafte mein, jis tarah Bhaai Brems ne kaha tha, woh guzar gaya. Woh kabhi apne kamzoriyon ki nahin sochta; balki, woh hamesha bahut abhaari hua karta tha apne kayi ashirvaadon ke liye.

Hamare Swarg ke Pita, jo hamein itna kuch deta hai khush hone ke liye, yeh bhi jaanta hai ki hum apne musibaton ko jhelte samay seekhte aur badhte aur mazboot hote hai. Hum jaante hai ki ayse bhi samay hote hai jab hum atyant dukh anubhav karte hai, jab hum shok manate, aur jab hamare parikshaon ki had hoti hai. Haalaanki, aysi musibaton se hum achchaai ke liye badalte hai, apne jiwanon ko Swarg ke Pita ke sikhlaaye tarike se jeete, aur pehle se kuch alag bante hai—pehle se behtar, pehle se zyaada samajhdaar, pehle se zyaada samanubhuti rakhne waala, pehle se zyaada mazboot gawahi rakhne waala.

Yahi hamara lakshye hona chahiye—date rehna aur jhelna, haan, magar zyaada dhaarmik banna khushiyaali aur dukh se guzarte samay. Agar chunaotiyon ko jhelne aur samasyaaon ko hal karne ki baat na hoti, hum pehle ki tarah rehte, bina anant jiwan ke lakshye ki or pragati kiye. Shaayar ne yahi vichaar in shabdon mein likha hai:

Achchi lakdi aasaani se nahin ugti,

Jitne mazboot hawa, utna mazboot ped us hawa mein badhta hua.

Jitna dur aasmaan, utna hi lamba hoga ped.

Jitne adhik toofaan, utni zyaada shakti.

Suraj aur thand se, baarish aur barf se,

Pedon aur manushyon mein achchi lakdiyaan ugti hai.8

Sirf Swami hamare musibaton, hamare peeda, aur hamare dukh ki gehraai ko jaanta hai. Wohi hamein anant shaanti deta hai kathin samay mein. Wohi hamare dukhit hridayon ko Apne sahanubhuti ke shabdon se theek karta hai:

“He sab parishram karne waale aur bojh se dabe huwe logon, mere paas aao, main tumhe vishraam dunga.

“Mera jwata apne upar utha lo, aur mujhse seekho; kyunki main namra aur mann mein deen hoon: aur tum apne mann mein vishraam paaoge.

“Kyunki mera jwata sahaj aur bojh halka hai.”9

Chahe woh sabse behtar samay ho ya sabse bura samay, Woh hamare saath hai. Usne vaada kiya hai ki yeh kabhi nahin badlega.

Mere bhaaiyon aur bahanon, hum hamare Swarg ke Pita se aysa vaada kare jo kabhi dagmagaae nahin aur hamare jiwanon ke varshon ya dukhon mein barkaraar rahe. Hamein Unhe yaad karne ke liye kathinaaiyon ko anubhav nahin karna chahiye, aur hamein vinamra banaya nahin jaana chahiye Unhe apna vishwaas aur bharosa dene se pehle.

Hum hamesha apne Swarg ke Pita ke kareeb rehne ki koshish karein. Aysa karne ke liye, hamein har din Unse prarthna karni chahiye aur Unki sunni chahiye. Hamein sach mein har ghante Unki zaroorat hai, chaahe woh achche ya bure samay ho. Hamein Unke vaade ko hamesha yaad rakhna chahiye: “Na to main tujhe dhokha dunga, na tujhko chodunga.”10

Apne hriday ki puri shakti se, main gawahi deta hoon ki Parmeshwar jiwit hai aur hamein prem karta hai, ki Unka Ek Lauta Putra hamare liye jiya aur mara, aur ki Ishu Masih ka susamachaar woh raushni hai jo hamare jiwan ke andhero ko bhi paar karta hai. Aysa hamesha ho, main prarthna karta hoon Ishu Masih ke naam se, amen.