2013
Kya Main Mormon ki Dharamshaastra ko Baant Sakta hoon?
December 2013


Yuva

Kya Main Mormon ki Dharamshaastra ko Baant Sakta hoon?

Lekhak Utah, USA mein rehta hai.

Mere high skool ke pehle saal ke daoraan, mere seminary ke shikshak ne humare kaksha ko Mormon ki Dharamshaastra ko jo dost sadasye nahi hai ko dene ko kaha. Bhale hi main sharmila tha, mainne nimantaran ko swikaar kiya.

Mujhe kuch din lage himmat ko jutane mein, magar mainne apne dost Britny ko kitaab barah baje bhojan ke samay diya aur ek chote se gawahi kaha. Britny ne mujhe kitaab ke liye dhanyewaad diya.

Us saal skool ke anth mein, Britny chali gayi, magar hum sampark se jude rahe. Usne mujhe apne naye skool ke baare mein batlaya aur kis tarah uske sabhi dost Girjaghar ke sadasye the, magar usne mujhse kabhi bhi koi dhaarmik baat nahi kiya.

Wah badli mere mission par jaane se pahale. Mujhe Britny se sandesha mila ki mere liye ek zaroori sandesh hai: wah baptisma lene waali thi, aur wah mujhe dhanyewaad dena chahati thi uske dost hone ke liye aur ek achche uddhaaran ke liye.

Parmeshwar ne koi bhi parchaar anubhao ke bina ek sharmile 15-saal-umar ladke ko liya aur use maargdarshan diya susamachaar ko baantne mein uske saath jise Wah jaanta tha ki swikaar karega. Main jaanta hoon ki Aatma ko sunne se, hum sab un logon ko apne ird-gird pa saktein hai jo punaharsthapit susamachaar ke baare mein sikhne ka intazaar kar rahein hai. Main jaanta hoon ki agar hum madad karein Prabhu ke paas ek insaan ko lejaane mein, “humare khushi bahot badi hogi us insaan ke saath Pita ke raajye mein!” (D&C 18:15).

Chaapo