2013
Parivaaron aur Doston Jo Anth Tak Saath Ho
December 2013


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, December 2013

Parivaaron aur Doston Jo Anth Tak Saath Ho

Tasveer
Pradhaan Henry B. Eyring

Jaha kahi bhi tum raho, tumhare paas dost hai jo zyaada khushiyon ko dhoondh rahein hai jise tumne paa liya hai Ishu Masih ke punaharsthaapit susamachaar ko ji kar. Weh in khushiyon ko shabdon mein bayaan nahi kar saktein hai, magar weh tumhari jeevan ko dekh kar jaan jaatein hai. Weh in khushiyon ke buniyaad ko sikhna chahatein hai, khaaskar jab weh dekhtein hai ki tum bhi un ki tarah musibaton ko anubhao kartey aur us ke hal nikaaltey ho.

Tumne khushiyon ko mahesoos kiya hai jab Parmeshwar ke vaadon ka paalan kiya Yah aashirwaad praapt hota hai susamachaar mein jeene se (dekhiye Mosiah 2:41). Tum vishwaas se Prabhu ke aagyaon ka paalan nahi kartey taaki dosre log tumhe dekh sakein, magar jo tumhare khushiyon ko dekhtein hai weh Prabhu ke dwara taeyaar kiye gaye hai Punaharsthaapit susamachaar ke achche suchna ko sunne ke liye.

Ashirwaad jo tumhe praapt hue hai ne zimmedaariyan aur aschariyejanak aosaron ko tumhe pradaan kiya hai. Tumne Ishu Masih ke saath vaada ko banaya hai, tumhe zimmedaari praapt hui hai ki dosron ko aosar pradaan karo khushiyon ko badhaane ki, khaaskar apne doston aur apne parivaaron ke sadasyon ko.

Prabhu ne tumhare aosar ko dekha hai[susamachaar ko baatlane mein] aur tumhare zimmedari ko is tarah batlaya[susamachaar ko baatlane mein] jab usne kaha ki yah sabhi logon ki zimmedaari hai jinhe chetaaoni praapt hui hai apne padosiyon ko chetaaoni dene ke liye” (D&C 88:81).

Prabhu aagya ko pura karna saral karta hai tumhare hriday mein badlaao laakar jab tum Ishu Masih ke susamachaar ko swikaar kartey ho aur usi mein jeetey ho. Parinaam ke taur par, tumhara dosron ke liye pyaar badhta hai, jaise tumhe ichcha hoti hai ki anye log bhi wahi khushi anubhav karein jo tumne ki hai.

Ek hriday ka badlaao hai ki kiss tarah tum Prabhu ke prachaar kaarye mein madad karne ko shuruaat kartey ho. Pure-samay ke prachaarak jald hi seekh jaatey hai ki weh ek sachche badlaao ke insaan se kisi ko sikhlaane ke liye praapt kar saktey hai. Koi jo sachche tarah se badal chuka hai chahata hai ki doston aur parivaaron ke sadasyon ke saath khushiyon ko baante.

Jab tumhare ward mission neta ya prachaarakein kisi ko sikhlaane ke liye naamon ko chaahe, yeh tumhare liye bahot hi achcha hai. Weh jaante hai ki doston ne tumhare khushiyon ko dekha hai aur, isliye, un doston ko taeyaar kiya gaya hai susamachaar ko sunne aur use chunne ke liye. Aur weh jaantey hai ki tum hi wah dost ho jinka unhe zaroorat hai jab weh raajye mein prawesh karenge.

Tumhe darna nahi hai ki prachaarakon se unhe mila kar tum unhe kho do ge. Mere paas dost hai jo prachaarakon ko mana kar chukein hai magar mujhe kai saalon se dhanyewaad detein hai ki mainne unhe wah dena chaaha jo mere liye anmol tha. Tum humesha ke liye dost bana sakte ho susamachaar ko de kar, jo weh dekhte hai ne tumhe khushiyaan diya hai. Kabhi bhi kisi dost ko amantrit karne ke mauke ko mat kho aur khaaskar parivaar ke ek sadasye ko khushiyon ke yojna ko chunne ko.

Us amantran ke liye Girjaghar ke mandir se koi bhi aur achcha aosar nahi hai. Yaha Prabhu humare purwajon ko mukti ke siddhaanton ko de saktey hai jo jiwan mein use haasil nahi kar sakein. Weh swarg se tumhe pyaar aur asha ke saath dekhtein hai. Prabhu ne vaada kiya hai ki unko bhi aosar praapt hoga Uske raajye mein jaane ka (dekhiye D&C 137:7), aur Usne tumhe madad kiya hai unke liye tumhare hriday mein pyaar jagaane mein.

Tum mein se kai ne dosron ke liye mandir ke siddhanton ko kar ke khushi ko mahesoos kiya hai, usi tarah jab tum prachaarakon ko milne ke liye naamon ko detey ho. Tumne apne purwajon ke liye siddhanton ko kar ke aur bhi zyaada khushi ko mahesoos Yah Bhavishyevakta Joseph Smith ko batlaya gaya tha ki humare anant khushiyon ko praapt kiya ja sakta hai sirf agar hum apne purwajon ke liye us raastey ko pradaan karein aashirwaad ko haasil karne ke liye mandir siddhaanton ke pratinidhi ke dwara (dekhiye D&C 128:18).

Bade din ke samay humare hriday mein Uddhaarkarta aur Uski susamachaar ki khushi jo hamein praapt hui hai ko mahesoos kartein hai. Hum Use apna dhanyewaad detein hai jab hum dosron ko wahi khushiyon ko detein hai. Dhanyewaad khushi mein badalta hai jab hum prachaarakon ke naamon ko detein hai aur jab hum apne purwajon ke naamon ko mandir le jaatein hai. Yah humare dhanyewaad ke parinaam doston aur parivaaron ko ant tak ke liye bana saktein hai.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Pradhaan Eyring yah batlaatein hai ki hum Uddhaarkarta ko apne dhanyewaad, dusron ke saath susamachaar ko baeth kar de saktein hai. Tum unke saath baeth saktey ho jinhe tum sikhlaatey ho ki kis tarah susamachaar ke uphaar ne unke jiwan mein aashirwaad ko pradaan kiya hai. Prathnashilta se unhe amanrith karo yah jaanne ko ki kisse weh susamachaar ke uphaar ko baantna chahatein hai aur weh kis tarah kar saktein hai.

Chaapo