2014
Apni Aji ko Achchi Tarah se Janna
July 2014


Yuva

Apni Aji ko Achchi Tarah se Janna

Lekhak ab Virginia, USA mein rehti hai.

Meri ek Jawaan Mahilaaon ka project mein, mainne swanyeichcha se apni aaji ko uske purwajon ko dhoondhne mein madad karne ki sochi parivaar itihaas kendra Mesa, Arizona, USA mein microfilm ke panno ko jaanchne se. Hum dono jab saath baeth kar hamare parivaaron ko dhoondh rahe the, main sochne lagi: “Kya main apne aji ke baare mein paryaapt jaankari rakhti hoon jo abhi mere paas hai?”

Humne kayi parivaar sadasyon ko dhoondha, unke jaankari ko ikattha kiya, aur Mesa Arizona Mandir jaakar unke baptisma aur swikriti kiye. Uske thode dinon baad, meri aji ne mujhe apne parivaar itihaas ka sampurn hisaab diya kitaab ke rup mein.

Kyunki woh rhuematoid arthritis(gathiya rog) se peedit thi, meri aaji ko taip karne mein bahut peeda hoti thi. Main usko kamputar mein madad karna pasand karti hoon. Saath, hum kahaniyaan likhte unke jiwan ki hamare parivaar ke dhaarmik faede ke liye. Mujhe uske jiwan ka bhaag banna aur ek saath kaam karke Girjaghar itihaas ke baare mein itna kuch seekhna pasand hai.