2014
Dilon ke Mudne ka Vaada
July 2014


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, July 2014

Dilon ke Mudne Ka Vaada

Pradhaan Henry B. Eyring

Meri maata, Mildred Bennion Eyring, Granger, Utah, USA ke kheti baari ke samaaj mein badhi hui thi. Uska ek bhaai, Roy, ne parivaar ke bhedhon ko paalne ke vyapaar ko jaari rakkha. Ek jawaan purush ke umra mein woh kai hafte ghar se dur raha. Jaise jaise samay beeta woh Girjaghar mein kam dilchaspi lene laga. Baad mein woh Idaho, USA, mein basne chala gaya, shaadi ki, aur uske teen bachchein hai. Woh 34 saal ke umra mein guzar gaya jab uski patni 28 saal ki thi aur uske bachche chote the.

Bhale hi Roy ka chota sa parivaar Idaho mein tha aur meri maata unse 2,500 meel (4,025 km) dur rehti thi New Jersey, USA mein, woh aksar unhein pyaar aur protsaahan ke khat likhti. Mere chacha ka parivaar meri maata ko pyaar se “Aant Mid” kehte the.

Kayi saal guzar gaye, aur ek din mujhe mere ek chachere bhai ne phon kol kiya. Mujhe batlaya gaya ki Roy ki vidhwa mar chuki thi. Mere chachere bhai ne kaha, “Aant Mid chahati thi tum yeh jaano.” Aant Mid ko guzre to kitne din ho gaye the, magar woh parivaar aaj bhi uska prem mehsoos karte the aur isliye mujhe itlaah kiya.

Mujhe ashcharye hua is baat se ki meri maata ne apne parivaar mein ek aesi bhumika nibhaai thi jaisa Nefaiti bhavishyevaktaaon ne apne parivaaron mein nibhaya tha un rishtedaaro ke kareeb rehke jinhe woh Ishu Maseeh ke susamachaar mein laana chahate the. Nephi ne itihaas likha is aasha se ki woh apne bhaaiyon ke bachchon ko prabhaawit kar sakein apne kulpati, Lehi ke dharam mein aane ke liye. Mosiah ke putron ne bhi isi tarah ka prem dikhaaya jab unhonne Lehi ke peedhi ko susamachaar prachaar kiya.

Prabhu ne hamare liye raaste tayyaar kiye hai jisse hum parivaaron mein hamesha prem mehsoos karein. Aaj Girjaghar mein jawaan log mehsoos kar rahe hai ki unke dil unke parivaaron ke or mud rahe hai. Woh parivaar ke sadasyon ke naam dhoondh rahe hai jinhe mukti ke dharamvidhiyaan is jiwan mein paane ka mauka nahin mila tha. Woh un naamon ko mandir le jaate hai. Jab woh baptisma ke paani mein jaate hai, unhein aosar milta hai Prabhu ke prem ko mehsoos karne ka aur un parivaar sadasyon ka jinke liye woh kaam karte hai.

Mujhe ab bhi yaad hai woh prem jo mere chachere bhaai ke aawaaz mein tha jab usne kol kiya aur kaha, “Hamari maata guzar gayi hai, aur Aant Mid chahegi ki tum yeh jaano.”

Aap mein se jo log parivaar sadasyon ke liye dharamvidhiyon ko karte ho prem se aage badhte ho, jaise Mosiah ke putron aur bhavishyevakta Nephi ne kiya tha. Unki tarah, tum bhi khushi mehsoos karoge unke liye jo tumhara bhent apnaaenge. Tumhe bhi Ammon ki tarah mahaan santushti milegi, jisne dur ke parivaar ke beech ke apne prachaarak sewa par kaha tha:

“Isliye, aao hum jayjaykaar karein, haan, hum Prabhu ki jayjaykaar karenge; haan, hum anand manaenge, kyunki hamara anand sampurn hai; haan, hum apne Parmeshwar ki prashansa hamesha karenge. Bataao, kaun Prabhu mein zyaada jayjaykaar kar sakta hai? Haan, kaun batla sakta hai uski mahaan shakti, aur uski daya, aur uske kasht-sahan ko manushye ke bachchon ke prati? Dekho, main tumse kehta hoon, main jo mehsoos kar raha hoon uska thoda bhi bhaag bhi nahin kehta” (Alma 26:16).

Main gawahi deta hoon ki tumhare andar jo prem ki bhavna hai apne parivaar sadasyon ke liye—jahan kahi bhi woh ho—Elijah ke aane ke vaade ki purti hai. Woh to aaya tha. Bachchon ke dil unke pitaaon ki or mud rahe hai, aur pitaaon ke dil unke bachchon ke or mud rahe hai (dekhiye Malachi 4:5–6; Joseph Smith—History 1:38–39). Jab tum apne purvajon ke naam dhoondhne ke prerna ko mehsoos karoge aur un naamon ko mandir lejaaoge, tum us bhavishvaani ki purti anubhav kar rahe ho.

Yeh ek ashirwaad hai ayse samay mein jina jab dilon ke mudne ka vaada pura ho raha hai. Mildred Bennion Eyring ne is utejna ko apne dil mein mehsoos kiya. Woh apne bhaai ke parivaar se prem karti thi, aur usne unse sampark banaye rakha. Unhonne mehsoos kiya ki unke hriday Aant Mid ki or prem mein mud rahe hai kyunki woh jaante the ki woh unse prem karti hai.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Tum shaayad Elijah ke aatma ki baare mein bhavishyvaani ko padhna chahoge bhentne waalon ke saath (dekhiye Malachi 4:5–6; Joseph Smith—History 1:38–39). Un tariko par charcha karein ki kaise parivaar itihaas mein haath bata sakein, jismein shaamil hai darj karne, tasveer lene, aur internet par daalne jaise kaarye. Agar jinhe tum bhent karo inse waakif nahin FamilySearch.org, par kuch samay bitaae unhe batlaane mein.