2014
Maine Phir Se Sewa kiya
September 2014


Yuva

Maine Phir Se Sewa kiya

Lekhak Rio Grande do Norte, Brazil mein rehti hai.

Ek din, ek sewa pariyojan ko samaapt karne ke baad, mai hamare sabhaghar ke paas se guzar rahi thi aur do bahanon ko imaarat ko saaf karte dekha. Mere mukh se yeh shabd turant nikal pade: “Bahanon, kya tumhe kuch madad chahiye?” Unmein se ek ne mujhe dekh muskurayi aur kaha ki mai samay par aayi hoon kyunki sirf woh donon hi wahan safaai kar rahe the aur woh bahut thak gayi thi. Usne kaha ki usne prarthna ki thi ki Prabhu kisi ko madad ke liye bhej dein. Mai bahut khush thi ki mai kisi ke prarthna ka jawaab thi. Mai abhi hi kisi aur ke liye sewa karke aayi thi aur thaki hui thi, magar maine apne dil ki suni aur sewa karne chali gayi.

Khushi ke saath kaam karna ek aagya hai (dekhiye D&C 24:7). Jab hamare paas sabhi samay par sewa pradaan karne ki ichcha ho, hum anye logon ke jiwan mein chamatkaar laane mein madad kar sakte hai. Hamara jiwan aur arthpurn ho jaata hai jab hum sewa karte hai. Prabhu sach mein humse prem karta hai, Woh Apne har ek bachche ki sahayta karta hai, aur Woh hamein sewa pradaan karne ki shakti dega.

Chaapo