Shikshan Sandesh Bhent, September 2014
Ishu Maseeh ka Divye Mission: Sahayak
Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.
Ishu Maseeh ne vaada kiya, “Mai tumhe anaath nahin choduga: mai tumhare paas aata hoon” (John 14:18). Woh hamein “raakh ke bajaae sundarta dega, shok ki jagah khushi ka tel” dega (Isaiah 61:3). Kyunki Maseeh ne hum sab ke liye Praeshchit ko jhela, Woh hamein nahin bhulega. “Hamare Uddhaarkarta ne Apne upar … hamare peedaaon aur hamare dukh aur takleefon ko liya taaki Woh jaan sakein hum kya mehsoos karte hai aur woh kaise hamein sahayta kar sakta hai,” kaha Linda S. Reeves ne, jo dusri salaahkaar hai Sahayak Sanstha maha adhyakshta mein.1
Yeh jaanna ki Maseeh hamein sahayta karega hamein shaanti de sakta hai aur hamein prerit kar sakta hai Unke uddharan par chalke auron ki dekhrekh karne mein. Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha: “Susamachaar ka hamara gyaan aur hamare Swarg ke Pita aur hamare Uddhaarkarta ke prati hamara prem hamein sahanubhuti dega aur hamein jiwit rakhega aur hamare hriday mein khushiyaali laaega jab hum achcha kaam karenge aur aagyaaon ka paalan karenge. Duniya ki koi bhi cheez hamein hara nahin paaegi.”2
Dharamshaastra mein se
John 14:18, 23; Alma 7:11–13; Doctrine and Covenants 101:14–16
Hamare Itihaas Se
Elaine L. Jack, 12th Sahayak Sanstha maha adhyaksh, ne kaha: “Bhent shikshan mein hum ek dusre ki or badhte hai. Aksar haath woh kehte hai jo zubaan nahin kehta. Gale milne se prem ki kayi bhaavnaaein umadti hai. Ek saath hasne se hum ekta mehsoos karte hai. Thodi der ke liye baatein karne se hamare hriday taaza ho jaata hai. Hum musibat mein pade logon ke bojh hamesha nahin utha sakte, magar hum use sahayta de sakte hai ki woh use achchi tarah se seh sake.”3
Hamare pravartak Sahayak Sanstha bahano ne “ek dusre ke prem aur daya mein aatmik shakti paayi. … Jab woh beemaari aur mrityu ke musibaton se guzar rahein the, unhonne ek dusre ke liye vishwaas ke saath prarthna kiya aur ek dusre ko sahanubhuti di. ‘Parmeshwar ka prem ek hriday se dusre hriday faelta raha,’ likha Helen Mar Whitney ne, ‘jab tak ki virodhi kamzor dikhne laga apne koshishon mein Prabhu aur hamare beech aane mein, aur uske kathor waar, kabhi kabhi, kuch bhi dukh nahin pahuncha paata hai.’”4
© 2014 dwara Intellectual Reserve, Inc. Pure adhikaar surakshit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/14. Anuwaad swikriti: 6/14.Visiting Teaching Message, September 2014. Hindi, Fiji. 10869 298 ka anuwaad