2014
Ishu Maseeh ka Diviye Mission: Jiwan ki Roti
October 2014


Shikshan Sandesh Bhent, October 2014

Ishu Maseeh ka Diviye Mission: Jiwan ki Roti

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondne se jaano jo batlana hai.Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho?Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Ishu ne kaha, “Jiwan ki roti jo swarg se uttri main hoon: yadi koi is roti mein se khaaye,to sarwada jiwit rahega” (John 6:51). “Ishu ne hume sikhlaya hai, Uske chelon ki tarah ki, hume har din ke roti ke liye Parmeshwar se madad aur poshan ko maagna chahiye,” Barah Devduton ke Parishad Elder D. Todd Christofferson ne kaha. “Prabhu ka nimantaran … priye Parmeshwar ke bare mein, Apne bachchon ke chote se chote, zarooraton ka dekhbhaal karta hai aur ek ek karke, sabhi ko pura karta hai. Wah kahata hai ki hume vishwaas se Use maangana chahiye ‘jo bina ulaahana diye sab ko udhaarta se deta hai; aur usko dijayegi’ (James 1:5).”1 Jabki hum jaantein hai ki Ishu Maseeh humare zarooraton ke liye pradaan karega, hum Uske paas apne dhaarmik poshan ke liye waapis jaenge.

Barah Devton ke Parishad Elder Jeffrey R. Holland hume amantrith kartein hai ki “Ishu ke haal ke chelon ki tarah ke karye mein bhaag lo jinhone bhi jiwan—ke roti ki ikcha kiya tha jo waapis nahi gaye the magar jo Uske paas laut aaye the, Uske saathrahe, aur jinhone jaana tha ki surakhcha aur mukti ke liye yaha koi aur nahi tha jinke paas weh jaatey.”2

Anye Dharamshaastra

John 6:32–35; Alma 5:34; 3 Nephi 20:3–8

Dharamshaastra mein se

Ishu Maseeh 4,000 se ziyada ke beedh ke logon ko sikhla rahe the. Teen dinon ke baad,Usne Apne chelon se kaha: “Mujhe is beedh par taras aata hai, kyuki unke paas …kuch bhi khaane ko nahi:

“Aur yadi main unhein bhukha ghar bhej doon, to maarg mein thak kar rah jaaenge. …

“Aur Uske chelon ne Us ko uttar diya, ki yaha jangal mein itni roti koi kaha se laaye ki yeh khush ho?

“Aur [Ishu] ne unse pucha, Tumhare paas kitni rotiyon hai? Aur unhone kaha, Saath.”

Phir Maseeh “saath rotiyon li, aur dhanyewaad karke todi, aur apne chelon ko deta gaya ki unke aage rakhkhe; …

“Aur unke paas thodi se choti machaliyon bhi thi: aur usne dhanyewaad karke unhein bhi logon ke aage rakhne ki aagya di.

“So weh khakar, aur khush ho gaye: aur shest tokdon ke saath tokde bhar kar utaye.” (Dekhiye Mark 8:1–9).

Vivran

  1. D. Todd Christofferson, “Recognizing God’s Hand in Our Daily Blessings,” Liahona, Jan. 2012, 25.

  2. Jeffrey R. Holland, “He Hath Filled the Hungry with Good Things,” Liahona, Jan. 1998, 76.

Yeh Sochiye

Jab hum Maseeh ke paas aatein hai, Wah hume kis tarah palaan- poshan karta hai?