2014
Sandwich ki Prarthna
October 2014


Bachche

Sandwich ki Prarthna

Tum kis tarah jaan saktey ho ki tumhe prarthna ke dauraan kya kahana hai? Tum apne prarthna ki shuruwaat yah kahane se kar saktey ho, “Priye Swarg ke Pita,” aur khatam kar saktey ho, “Ishu Maseeh ke naam se, amen kaha kar.” Jo tum prarthna ke beech kahana chaho wah tumhari marzi hai, usi tarah jaese tum sandwich mein jo rakhna chaho.

Sandwich ki ek chitra banaao, alag alag cheezon ko chunno jo tum apne sandwich mein rakhna chaho. Bread ke tukdon par ek-ek tukda gosh ya upar rakhe cheezon par, wah ek cheez likho jiske bare mein tum prarthna karna chahatey ho. Tum yah kaha saktey ho “dhanyewaad” ashirwaadon ke liye, apne chintaaoun par baatein kar saktey ho, ashirwaadon ko maang saktey ho, ya swaalon ke liye prarthna kar saktey ho.

Tum apne sandwich ke chitra ko kaat saktey ho. Tum apne kamre mein taang saktey ho tumhare prarthna mein kahane waale cheezon ke madad ke liye.