Yuva
Prarthna karne se pahale tum Taeyaari karo
Pradhaan Eyring hume yaad dilatein hai ki prarthana “Parmeshwar aur Uske bachchon ke beech ek dosre se waartalaabh ka zariya hai.” Humare prarthna ke liye samay nikaalne se ek dosre se waartalaabh ho sakta hai. Tum apne journal ka kuch minton ke liye istamaal kar saktey ho har din prarthna ki taeyaari mein.Tum un ashirwaadon ke suchi bana saktey ho jiske liye tumhe Swarg ke Pita ko dhanyewaad dena ho, un logon ko jinhe tumhari prarthnaon ki, aur un sawaalon ke jawaab ka jinke tumhe zaroorat ho. Phir Aatma ko amantrith karo ishu bhajan ya dharamshaastra ke kuch verson ko padh kar. Jab tum prarthana karo, us par dhayaan do ki kis tarah Pavitra Aatma tumhe jo kahana hai ke liye maargdarshan deta hai, aur apne ahesaas aur soch par dhyaan do (dekhiye D&C 8:2–3). Apne journal mein apne anubhaoun ko likhtey raho aur prapt hue jawaabon ko doharatey raho. Tum Preach My Gospel: A Guide to Missionary Serviceke 95–97 ke papon par ke gatividhiyon ka bhi istamaal kar saktey ho apne prarthana ko aur achchi tarah se karne ke madad ke liye aur Pavitra Aatma ko jaanne ki sikh mein.