2015
Ishu Maseeh ka Gun: Aagyakaari Putra
January 2015


Shikshan Sandesh Bhent, January 2015

Ishu Maseeh ka Gun: Aagyakaari Putra

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye .Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Ishu Maseeh ke uddhaaran par aagyakaari rehne se Us mein humari vishwaas badhta hai. “Yah koi ashchariye nahi hai,” kaha Elder Jeffrey R. Holland ne jo Barah Devduton ke Parishad hai, “ki Maseeh pehle aur pratham hi apneaap ko chunn letein hai uske pita—ko rishtedari mein ki usne use prem kiya aur uska aagya maana aur apneaap ko usko saupa usi wafaadaar putra ki tarah jo wah tha? … Aagyaakaari hona swarg ka pratham niyam hai.”1

Dharamshaastra sikhlata hai ki “jab hum sabhi ashirwaadon ko Prabhu se praapt kar letein hai, kaanoon ke prati aagyakari hone par nirbhar hai” (D&C 130:20–21). Humari dhaarmikta badhti hai jab hum aagayakaari hokar Parmeshwar ke paas jaatein hain aur apne jivan mein Uddhaarkarta ke Balidaan ke shakti ko amantrit kartein hain.

“Jab hum Ishu Maseeh ke susamachaar ke mul aur aadeshon par chaltein hai,” kaha Elder D. Todd Christofferson ne jo Barah Devduton ke Parishad hai, “hum Parmeshwar se diye hue ashirwadon se humesha khush rahatein hai Uske saath banaye hue humare vaadon se. Weh ashirwaad humare liye zaroori hai taaki humein bhale aur bure ka gyaan ho humare jiwan mein. … Aagayakaari hone se hum apne jiwan ko aur achchie tarah se kaabo mein rakh saktein hai, zyaada chamta aane aur jaane ki, kaarye ko karne aur karane mein.”2

Anye Dharamshaastra

Luke 22:41–46; Doctrine and Covenants 82:10; 93:28

Dharamshaastra mein se

“Kya vaadon par humesha aagyakaari rehne ki dhaarmik shakti ka parinaam dosre vyakti ko mil sakta hai?” pucha Elder David A. Bednar ne jo Barah Devduton ke Parishad ke hai. “Saaf taur se jawaab… hai nahi.”3

Das kuwaariyon ki kahani is mul ki uddhaaran hai. Jabki sabhi kuwaariyon ne apne mashaalein lekar “dulhe se bhent karne nikali,” sirf paanch samajhdaar thi aur apne mashaalon mein tel ko liya. Dosre paanch murkh thi kyunki unhonne “tel nahi liya tha.”

Aadhi raat ko dhoom machi: “Dekho, dulha ah raha hai; use bhent karne ke liye chalo.” To weh kuwaariyon ne apne mashaalon ko theek karne lagi, magar murkh kuwaariyon ke paas tel hi nahi tha. Unhonne samajhdaar kuwaariyon se kaha, “Apne tel mein se kuch humein bhi do, kyunki humari mashaalein bhuji ja rahi hain.”

Samajhdaaron ne uttar diya, “kadaachit ya humare aur tumare liye pura na ho: parantu jaao … aur apne liye tel khareed lo.” Aur jab weh tel lene ko ja rahi thi to, dulha ah pahucha aur samjhdaar kuwaarion uske saath andar chali gayi aur “darwaaza bandh ho gaya”

(Matthew 25:1–13).

Vivran

  1. Jeffrey R. Holland, “The Will of the Father in All Things” (Brigham Young University devotional, Jan. 17, 1989), 4, speeches.byu.edu.

  2. D. Todd Christofferson, “The Power of Covenants,” Liahona, May 2009, 21.

  3. David A. Bednar, “Converted unto the Lord,” Liahona, Nov. 2012, 109.

Yeh Sochiye

Dharamshastra mein aagyakaari hone ke kuch udhaaran kya hain?