2015
Ishu Maseeh ke Gun: Bina Chaturta ya Pakhaand ke
April 2015


Shikshan Sandesh Bhent, April 2015

Ishu Maseeh ke Gun: Bina Chaturta ya Pakhaand ke

Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur wah dhoondhe jo aapko batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Jaante hue ki Ishu Maseeh bina chaturta aur pakhaand ke hai hume madad vishwaas dega Uske uddharan par atal rehne mein. Elder Joseph B. Wirthlin (1917–2008) Barah Devduton ke Parishad ne kaha: “Bahakawe ka matlab hai ki dhokha dena ya gumrah karna. … Ek vyakti jo bina bahakawe ka ho wah ek saaf, imaandaar, aur sachche kaarye ka hota hai, jinke jiwan mein sadhaaran kaarye ko dekh saktein hain uske [ya uski] har din ke sachche mul ke kaarye mein. … Main vishwaas karta hoon ki Girjaghar ke sadasyon ko bahakawe se bachne ke liye abhi dusre samay se zyaada zaroori hai kyunki duniya sudhata ke zaroorat ko abhi nahi samajh rahi hai.”1

Pakhaand par, Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Pratham Adhyakshta ke Dusre Salaahakaar, ne kaha hai: “Hum mein se koi bhi Maseeh ki tarah nahi hain jaesa hum jaantein hain ki hume rehna chahiye. Magar hum ichcha karte hai hamare paap ke buraayon aur raaston ko chodne ke liye. Apne hirday aur aatma se chahtein hai ki Ishu Masih ke Praeshchit ki madad ke dwara behtar bane.”2

Hum jaantein hain ki “hume humare kaarye ke liye, humare hriday ke ichchaon, aur jis tarah ke insaan hum bantein hain uske liye hume nayaye diya jayega.”3 Phirbhi hum paschataap karne ki koshish kartein hain, hum aur zyaada shudh bantein hain—aur “dhanye hain weh, jinke mann shudh hain: kyunki weh Parmeshwar ko dekhenge” (Matthew 5:8).

Anye Dharamshaastra

Psalm 32:2; James 3:17; 1 Peter 2:1–2, 22

Dharamshaastra mein se

Chote bachche bina bahekawe ke hotein hain. Ishu Maseeh ne kaha: “Baalakon ko mere paas aane do, aur unhein manna na karo: kyunki Parmeshwar ka raajye ayeson hi ka hai. … Aur usne [baalakon] ko apne godh mein liye, aur un par apna haath rakh kar, aur unhein aashish diya” (Mark 10:14, 16).

Maseeh ne America ke baalakon ki bhi dekhbhaal kiya tha Anpe Kurus par chadhane ke baad. Usne aagya diya ki log apne bachchon ko Uske paas le gaye aur “uske aaspaas baetha diya, aur Ishu unke madhye khada hua; …

“…[Aur] wah roya, aur bhedh iski shaakshi hui aur usne unke ek-ek chote bachche ko lekar ashirwaad diya, aur Pita ne unke liye prarthna kiya. …

“Aur jab unhone dekhna chaha tab apni aakhon ko swarg ki oar kiya, aur swargduton ko maanon agin ke madhye se utartey hue dekha; aur unhone utar kar un chote bachchon ko gher liya, … aur swargduton ne unko updesh diya” (3 Nephi 17:12, 21, 24).

Vivran

  1. Joseph B. Wirthlin, “Without Guile,” Ensign, May 1988, 80, 81.

  2. Dieter F. Uchtdorf, “Come, Join with Us,” Liahona, Nov. 2013, 23.

  3. Handbook 2: Administering the Church (2010), 1.2.1.

Yeh Sochiye

Hum chote bachchon se bahakawe mein na padhne par kya sikh saktein hain? (Dekhiye Guide to the Scriptures, “Guile.”)