2015
Kripa ka Uphaar
May 2015


Kripa ka Uphaar

Aaj aur hamesha ke liye Parmeshwar ki kripa unke liye uplabdh hai jinke niraash hriday hai aur jinke shokaart aatma hai.

Easter Raviwaar ko hum duniya ke itihaas mein sabse zyaada intazaar-kiya gaya aur shaandaar utsav manaenge.

Is din ne sab kuch badal diya tha.

Us din par, mera jiwan badla tha.

Tumhara jiwan badla tha.

Parmeshwar ke sabhi bachchon ke bhaag badle the.

Us ashish bhare din par, manushye jaati ka Uddhaarkarta, jisne Apne upar paap aur mrityu ke bediyon ko le liya tha jisse hum bandi the, ne un bediyon ko toda tha aur hamein mukt kiya tha.

Hamare priye Muktidaata ke balidaan ke kaaran, mrityu ka peeda nahin raha, kabra vijayi nahin hua, 1Shaetaan ka shakti anant nahin hai, aur hamein “phir se … jiwit aasha ke liye naya janam mila hai Ishu Maseeh ke Ji Uthne ke dwara.”2

Sach mein, Devdut Paul sahi tha jab usne kaha ki hum “in baaton se ek dusre ko shaanti dein.”3

Parmeshwar ka Kripa

Hum aksar Uddhaarkarta ke Praeshchit—ki baat karte hai aur aysa karna uchit hai!

Jacob ke shabdon mein, “Kyun nahin hum Maseeh ke praeshchit par baate karein, aur unke sambandh mein sampurn gyaan paaye?”4 Magar jab “hum Maseeh ki charcha karte, … Maseeh mein anandit hote hai, … Maseeh ke vishay mein updesh dete hai, [aur] Maseeh ki bhavishyevaani karte hai”5 har mauke par, hamein kabhi apna aadar ka bhaona aur gehra abhaar nahin khona chahiye Parmeshwar ke Putra ke anant balidaan ki.

Uddhaarkarta ka Praeshchit hamare shikshan, hamare charcha, ya hamare hridayon mein maamuli nahin ban sakta. Yeh paawan aur pavitra hai, kyunki isi “mahaan aur aakhri balidaan” ke dwara hi Ishu jo Maseeh hai ne “un sab ka uddhaar kiya jo unke naam par vishwaas karte the.”6

Mujhe ashcharye hota hai yeh soch kar ki Parmeshwar ka Putra hamara uddhaar karne aayega, bhale hi hum aksar asampurn, gande, galtiya karne waale, aur gaer abhaari rehte hai.Maine Uddhaarkarta ke Praeshchit ko apne chote soch waale mann se samajhne ki koshish ki hai, aur mujhe jo jawaab mila hai woh yeh hai: Parmeshwar ka prem hamare liye gehra, sampurn, aur anantta tak ka hai.Mai andaaza lagaane ka shuruaat nahin kar sakta “Maseeh ke prem [ki] … chaudhaai, aur lambaai aur unchaai ka.”7

Ek shaktishaali tarika jisse yeh prem zaahir hota hai woh dharamshaastra anusaar kehlaata hai Parmeshwar—ka kripa woh divye sahara aur shakti ka uphaar jiske dwara hum viksit hote hai apne doshpurn aur kam mauke waale jeevon jo hum abhi hai se buland jeevon mein jinmein “sachchaai aur raushni ho, jab tak [hum] sachchaai mein mahimamay na ho jaae aur sabhi baatein [jaanne lage].”8

Parmeshwar ki kripa, ek bahut ashcharyejanak cheez hai. Phirbhi use aksar galat samjha jaata hai.9 Tab bhi, hamein Parmeshwar ke kripa ke baare mein jaanna chahiye agar hum woh sab paana chaahe jo Unke anant raajye mein hamare liye tayyaar kiya gaya hai.

Is kaaran se mai kripa par baate karna chahata hoon.Khaas taur par, pehla, kaise kripa swarg ke dwaar kholta hai aur, dusra, kaise woh swarg ki khidkiyaan kholta hai.

Pehla: Kripa Swarg ke Dwaar Kholta Hai

Kyunki hum sab ne “paap kiya, aur Parmeshwar ki mahima se rahit hai”10 aur kyunki “Parmeshwar ke raajye mein koi bhi gandi wastu prawesh nahin kar sakti,”11 hum sab Parmeshwar ki upasthiti mein lautne ke liye ayogye hai.

Bhale hi hum apne pure hriday se Parmeshwar ki sewa karein, yeh paryaapt nahin, kyunki hum tab bhi “laabhrahit sewak” hi rahenge.12 Hum kisi tarah swarg tak ka maarg kama nahin sakte; nyaaye ki maange ek rukawat bani hai, jis kaaran hum khud paar karne mein kamzor hai.

Magar sab kuch khoya nahin hai.

Parmeshwar ka kripa hamara mahaan aur anant aasha hai.

Ishu Maseeh ke balidaan ke dwara, daya ki yojna se nyaye ki maang puri ki gayi thi13 “aur manushyon mein pashchataap ke liye vishwaas ka zariya [laa sakein].”14

Hamare paap, chaahe laal rang ke ho, to bhi woh barf(snow) ke samaan safed ho jaaenge.15 Kyunki hamare priye Uddhaarkarta ne “khud ko sab ke chutkaare ke daam mein de diya,”16 Unke anant raajye mein daakhila hamein mila hai.17

Darwaaza khol diya gaya hai!

Magar Parmeshwar ka kripa hamein hamare pehle ke maasoom stithi mein nahin lauta deta.Agar uddhaar ka matlab hai sirf hamare galtiyon aur paapon ko mitana, tab uddhaar —chaahe jitna ashcharyejanak ho—Pita ke armaan jo hamare liye hai ko nahin pura karta. Unka lakshye aur uncha hai: Woh chahata hai Unke putra aur putriyaan Unke jaisa banein.

Parmeshwar ke kripa ke uphaar se, chelapan ka maarg hamein pehle ki tarah nahin banata; woh hamein behtar banne mein madad karta hai.

Woh hamein utni safalta deta hai jiski hum kalpana bhi nahin kar sakte! Woh hamein hamare Swarg ke Pita ke celestial raajye mein unnati deta hai, jahan hum, apne priyejanon se ghir ke, “unki sampurnata, aur unki mahima” paayenge.18 Sab kuch hamara hai, aur hum Maseeh ke hai.19 Sach mein, jo sab Pita ka hai hamein diya jaaega.20

Is mahima ko paane ke liye, hamein ek khule dwaar se zyaada kuch chahiye; hamein badalne ki ichcha rakh kar is dwaar mein jaana hai— ek badlaao itna prabhaaoshali ki dharamshaastra use kehte hai “phir se janam lena; haan, Parmeshwar ki santaan ban kar, [hamari duniyadaari ki] aur pateet awastha ko tyaag kar, Parmeshwar dwara uddhaar kiye jaane par, unke putra aur putriyaan banna hi chahiye.”21

Dusra: Kripa Swarg ke Khidkiyaan Kholta Hai

Parmeshwar ke kripa ka ek aur tatva hai swarg ke khidkiyaan kholne ka, jiske zariye Parmeshwar shakti aur bal ke ashirvaad deta hai, taaki hum woh cheez kar paaye jo waise to na mumkin hota. Yeh to Parmeshwar ke ashcharyejanak kripa ke dwara Unke bachche chupe huwe behkaawon aur dhokha denewaale ke chal ke, paap se door hote, aur “Maseeh mein tum purn bano[ge].”22

Bhale hi hum sab ke paas kamzoriyaan hai, hum unse parajit ho sakte hai. Vaastav mein woh Parmeshwar ki kripa ke kaaran hi to hai, agar hum khud ko vineet karenge aur vishwaas karenge, kamzor cheez balwaan ho sake.23

Hamare jiwan bhar mein, Parmeshwar ka kripa saansaarik ashirvaad aur dhaarmik uphaar deta hai jo hamare chamta ko dugna karta aur hamare jiwan ko ujwal karta hai.Unka kripa puri tarah se hamein sudhaarta hai. Unka kripa hamein sabse behtar banne mein madad karta hai.

Kaun Iske Laayak Hai?

Bible mein hum padhte hai Maseeh jab Simon jo Farisi tha ke ghar unse milne gaya ke baare mein.

Upar se to, Simon ek achcha aur sidha manushye lagta tha. Usne lagataar apne dhaarmik kartavvyon ke kaamon ko kiye: usne kaanoon ka paalan kiya, apna daswa hissa bhara, Prabhubhoj ke din ka sammaan kiya, har din prarthna kiya, aur girjaghar gaya.

Magar jab Ishu Simon ke saath tha, ek mahila aayi, Uddhaarkarta ke paaon apne aansuwon se dhoe, aur Unka paaon keemti tel se mala.

Simon is tarah ke bhakti se prasann nahin tha, kyunki woh jaanta tha ki yeh mahila ek paapan hai.Simon ne socha ki agar Ishu yeh nahin jaanta, Woh bhavishyevakta nahin ya Woh is mahila ko use chune na deta.

Uske vichaar ko jaan kar, Ishu Simon ke or muda aur ek sawaal pucha. “Kisi mahajan ke do dendaar the: … ek paanch sao … dusra pachaas dinaar ka dendaar tha.

“Aur jab [donon] ke paas chukane ko kuch na bacha, usne donon ko chama kar diya.Isliye mujhe bataao, in mein se kaun usse adhik prem rakhega?”

Simon ne uttar diya ki woh jiska adhik paesa chama kiya gaya tha.

Tab Ishu ne ek gehra paath sikhlaya: “Is mahila ko dekhte ho?… Iske paap, jo kayi the, chama kar diye gaye hai; kyunki usne adhik prem rakha: magar jiska thoda paap chama hota hai, woh thoda hi prem rakhta hai.”24

In do logon mein se hum zyaada kiski tarah hai?

Kya hum Simon ki tarah hai? Kya hum saahasi aur araamdayak hai apne achche karmon se, apne hi dhaarmikta mein bharosa karke? Kya hum shaayad thode besabra hai unke saath jo hamare star anusaar nahin ji rahe hai? Kya hum apne sirf aadat mein aaye kaamon ko karke jite hai, bina soche kuch karna, apne sabhaaon mein jaana, Gospel Doctrine kaksha mein jaana bhale hi boring lagta hai, aur shaayad prabhubhoj ke samay apne mobile phone check kar lena?

Ya kya hum is mahila ke jaise hai, jo soch rahi thi ki woh paap ke kaaran puri tarah se aur aashaaheen tarike se gum ho gayi hai?

Kya hum zyaada prem rakhte hai?

Kya hum samajhte hai hum Swarg ke Pita ka kya karz baaki hai aur apne pure hriday se vinti karte hai Parmeshwar ke kripa ke liye?

Jab hum prarthna karne ke liye ghutnon par hote hai, kya woh apne khud ke dhaarmikta ke achche palon ko batlaane ke liye hai, ya kya woh apne galtiyon ko batlaane, Parmeshwar ke daya ki maang karne, aur abhaar ke aansu bahane ke liye hai mukti ke adbhud yojna ke liye?25

Uddhaar aagyaakaarita se hi nahin paaya jaata; woh Parmeshwar ke Putra ke lahu se paaya jaata hai.26 Yeh sochkar ki hum apne achche kaarye uddhaar ke saath palta sakte hai to aysa hoga ki hum hawaijahaaj ka ticket le aur phir yeh maane ki hum hawaaijahaaj ke maalik hai. Ya yeh sochna ki apne ghar ka kiraya bharne se, hum ab puri duniya ke maalik hai.

To Phir Kyun Aagyakaari Rahe?

Agar kripa Parmeshwar ka ek uphaar hai, kyun tab Parmeshwar ke aagyaaon ke prati imaandaar rehna zaroori hai? Kyun Parmeshwar ke aagya ka paalan karein—ya pashchataap karein, is milaan mein? Kyun nahin hum sirf yeh apna lein ki hum paapi hai aur Parmeshwar ko hamein bachaane dein?

Ya, Paul ke shabdon mein sawaal puche, “Kya hum paap karte rahe, ki kripa bahut ho?” Paul ka jawaab saral aur samajhne laayak hai: “Parmeshwar aysa na hone de.”27

Bhaaiyon aur bahanon, hum Parmeshwar ke aagyaaon ka paalan karte hai—kyunki hum Unse prem karte hai!

Parmeshwar ke kripa ka uphaar ko samajhne ki koshish karna apne pure hriday aur mann se hamein aur vajah deta hai namrata aur abhaar ke saath apne Swarg ke Pita se prem karne aur aagyaakari rehne mein.Jab hum chelapan ke maarg par chalte hai, usse hum mein sudhaar aata, badlaao aata, hamein aur Unke tarah banne mein madad karta hai, aur woh hamein Unki upasthiti mein waapas le jaata hai. “Prabhu [hamare Parmeshwar] ki Aatma” ne aysa “pariwartan hum mein kiya hai, … jisse ki hum shaetaan ki kaaryon ko nahin karenge, parantu sadeo achche karm hi karenge.”28

Isliye, Parmeshwar ke aagyaaon ke prati aagyaakaarita prakritik rup se utpann hoti hai Parmeshwar ke achchaai ke prati aseemit prem aur abhaar ke kaaran. Is tarah ka sachcha prem aur abhaar chamatkaari rup se hamare karm Parmeshwar ke kripa se jod dega. Naetik gun hamesha hamare vichaaron mein rahe, aur hamara saahas Parmeshwar ki upasthiti mein mazboot hota rahe.29

Priye bhaaiyon aur bahanon, susamachaar ko vishwaaspurn tarike se jeena koi bojh nahin hai.Yeh ek khushaal abhyaas hai—ek tayyaari anantta ke badhiya mahima ko paane ka. Hum apne Swarg ke Pita ka aagya paalan karna chahate hai kyunki hamare aatmaaen dhaarmik baaton ko zyaada apnaaenge. Hum ayse cheezein samjhenge jo hum kabhi jaante nahin the ki woh the. Hamein jaankaari aur samajhdaari milegi jab hum Pita ki ichcha puri karenge.30

Kripa Parmeshwar ka ek uphaar hai, aur hamara ichcha ki hum Parmeshwar ke har ek aagya ke prati aagyakaari rahe yeh ek tarika hai Swarg ke Pita ko batlaane ka ki hum yeh pavitra uphaar paana chahate hai.

Hum Jo Kuch Kar Sakte Hai

Bhavishyevakta Nephi ne Parmeshwar ke kripa ko samajhne ke liye ek zaroori yogdaan diya jab usne ghoshna kiya, “Hum parishram kar rahe hai … ki jisse hum apne bachchon, aur apne bhaaiyon ko bhi, Maseeh mein vishwaas kara sakein, aur Parmeshwar ke saath sidh kar lein; kyunki hum jaante hai ki hum unhi ke kripa se bach sakein hai, jo kuch kar sakte hai.31

Haalaanki, mai ashcharyechakit hoon ki hum kabhi kabhi is bol ko galat tarike se samajhte hai “sab kuch karne ke baad jo kar sakte hai.” Hamein yeh samajhna chahiye ki “ke baad” aur “kyunki” ek jaisa nahin hai.

Hum isliye nahin bachte “kyunki” hum sab kuch kar sakte hai. Kya hum mein se kisi ne sab kuch kiya hai jo kar sakte the? Kya Parmeshwar intazaar karta hai jab tak hum ne sab tarah se koshish kar liya ho tab Woh hamare jiwan mein Apne bachane waale kripa se madad karega?

Kayi log hausla kho dete hai kyunki woh lagataar sab kuch nahin kar paate hai. Woh niji anubhav se jaante hai ki “aatma to tayyaar hai, parantu shareer durbal hai.”32 Woh Nephi ke saath bole the yeh kehkar, “Maanav shareer ke kaaran mera hriday dukhit hai.”33

Mai jaanta hoon ki Nephi jaanta tha ki Uddhaarkarta ka kripa mauka deta aur mumkin karta hai ki hum paap ko chod dein.34 Isiliye Nephi ne itna parishram karke likha taaki woh apne bachchon aur bhaaiyon ko “Maseeh mein vishwaas kara sakein, aur Parmeshwar ke saath sidh kar lein.”35

Yahi to hai, jo ki hum kar sakte hai! Aur yahi hai hamara zimmedaari maransheelta mein!

Kripa Sab ke Liye Uplabdh Hai

Jab mai sochta hoon ki Uddhaarkarta ne hamare liye kya kuch kiya us pehle Easter Raviwaar ke samay, mai Sarvashaktimaan Parmeshwar aur Unke Putra, Ishu Maseeh ko pukaarna chahata hoon aur unka jayjay kaar karna chahata hoon!

Swarg ke dwaar khol diye gaye hai!

Swarg ki khidkiyaan khul chuki hai!

Aaj aur hamesha ke liye Parmeshwar ki mahima unke liye uplabdh hai jinke niraash hriday hai aur jinke shokaart aatma hai.36 Ishu Maseeh ne raasta tayyaar kar diya hai hamari pragati ke liye jo manushye ke mann nahin samajhenge.37

Mai prarthna karta hoon ki hum naye samajh aur ehsaas se Uddhaarkarta ke praeshchit ke balidaan ke anant mahatva ko samjhe. Mai prarthna karta hoon ki hum Parmeshwar ke prati apna prem dikhaae aur apna abhaar Parmeshwar ke aseem kripa ke uphaar ke liye Unke aagyaaon ka paalan karne ke dwara aur khushiyaali se “[ek] naye jiwan ki si chaal chal[ein].”38 Hamare Swami aur Muktidaata, Ishu Maseeh, ke pavitra naam se, amen.