Yuva
Prarthna par Kaarye karna
Pradhaan Eyring sikhlaatein hai ki tumhare parivaar ko Swarg ke Pita ke saath shaktishaali rishtedaari rakhne se ashirwaad praapt ho sakta hai. Tum Uske saath rishtedaari ko achcha kar sakte ho apne prarthnaon ko sudhaar kar! Yaha kuch sujhaao hai ki tum kis tarah kar sakte ho:
Apna prarthna shuruwaat karne se pahale, kuch pal ke liye socho ki kis par tum baatein karna chahate ho. Un sawaalon ko socho jo tumhare paas ho ya wah cheezein jo tumhe takleef deta ho— tum unhe likh bhi sakte ho ki tum bhoolo nahi. Apne mann ko din bhar ke chintaaon se shaant karo taaki tum Pavitra Aatma ke daya bhare ahesaas par dhyaan laga sako. Agar tumhara mann shaant nahi hai jab tum prarthna karte ho, yah jaano ki Swarg ka Pita sunn raha hai. Vishay par hi prarthna karo. Aur, prarthna ke ant mein kuch pal ke liye Aatma ke prerna ko suno. Tum apne jernal mein apne ahesaas ko likh sakte ho.
Yaad rakho ki prarthna kaarye ki tarah hai, tab chinta mat karo agar amal mein laane ke liye samay lage ya mushkil lage! Tumhare prarthna karne ki koshish Parmeshwar ke saath rishtedaari banane mein madad karega jisse peediyon ko ashirwaad milega.