Pratham Adhyakshata ka Sandesh, September 2015
Parivaaron aur Prarthna
Ek baar, jab main apne pita ke khaat ke bagal mein raat bhar baetha tha, usne mujhe apne bachpan ke baare mein batlaya. Usne apne maata-pita ke pyaar ko unke musibaton ke samay par aur Swarg ke Pita aur Uddhaarkarta ke pyaar ke baare mein batlaya. Mujhe pata tha ki wah cancer ki bimaari se mar raha tha, to mujhe aschaariye nahi hua jab kuch samay wah Swarg ke Pita aur uske dharti par pita ke pyaar ke ahesaas ko saath mila raha tha. Mere pita ne mujhe kai baar batlaya tha ki jab wah prarthna karta tha, wah sochta ki wah apne mann mein Swarg ke Pita ke muskuraahat ko dekh sakta tha.
Uske maata-pita ne use uddhaaran se prarthna karna sikhlaya tha ki agar wah Parmeshwar se baatein kare aur Parmeshwar usko pyaar se jawaab dega. Usko wah uddhaaran ki anth tak zaroorat tha. Jab peeda zyada ho gaya tha, humne usko subha uske khaat ke paas ghutnon par paaya. Wah bahut kamzor ho gaya tha waapis apne khaat par jaane ke liye. Usne hume batlaya ki wah Swarg ke Pita se prarthna kar raha tha yah puchne ke liye ki use kyo itna zyada jhelna pada jab wah humesha achcha banne ki koshish kar raha tha. Usne kaha ki ek daya bhara jawaab mila: “Parmeshwar ko himmati putron ki zaroorat hai.”
Aur wah ant tak saenik bana raha, vishwaas karte hue ki Parmeshwar usko pyaar karta, use sunnta, aur usko upar uthaega. Usko jald hi yah jaanne ka ashirwaad praapt hua tha aur kabhi yah na bhoolne ka ki ek prem karta hua Parmeshwar uske utna hi kareeb tha jitna ki prarthna.
Isiliye Prabhu ne maata-pitaon ko sikhlaya ki kyo, “Unko bhi apne bachchon ko prarthna karna, aur Prabhu ke raaste par chalna sikhlana chahiye” (D&C 68:28).
Ishu Maseeh ki susamachaar Mormon ki Dharamshaastra mein punaharsthaapit —ho chuka hai aur sabhi purohiti ki chaabiyaan bhi jo parivaaron—ko saath baandh sakta hai kyunki Joseph Smith jab ek ladka tha ne vishwaas se prarthna kiya tha. Usne wah vishwaas ko ek pyaare aur vishwaasi parivaar se praapt kiya tha.
Bees saal pehle Prabhu ne parivaaron ko yah salaah diya tha “Parivaar: Duniya mein Susamachaar ki Aupcharik Ghoshna” Pratham Adhyakshat aur Barah Devduton ke Parishad se: “Kaamyaab vivaah aur parivaar ki sthaapna vishwaas ke siddhaant par rehti hai, prarthna par, pashchataap, maafi, aadar, pyaar, daya, karm, aur pur manoranjan sambhandhi gatividhiyon par nirbhar hai.”1
Hum Bhavishyevakta Joseph Smith ke parivaar ke abhari hain unko yah laane ke liye. Uske parivaar ne sirf vishwaas aur prarthna ko nahi samjhaya balki pashchataap, maafi, aadar, pyaar, daya, karma, aur pur manoranjan sambhandhi gatividhiyon par nirbhar kiya hai.
Humare aanewaale peediyaan hume humare parivaar ke liye prarthna ka uddhaaran banne ke liye ashirwaad denge. Tum shaayad Parmeshwar ke ek mahaan sewak ki tarah nahi vasul karoge, parantu tum apne prarthna aur apne vishwaas bhare uddhaaran se Prabhu Ishu Maseeh ki madad kar saktey ho achche aur pyaare chelein banne mein.
Sab mein se tum Prabhu ki madad karne ko chunn sakte ho, prarthna se yah ho sakta hai. Yaha par sadhaaran log hai jo, jab prarthna kartein hain, dusron ko prerit karte hain aankhon ko khol kar dekhne mein ki waha kaun hai. Tum is tarah ke insaan ban sakte ho.
Unke vishaye mein socho jo tumhare saath ghutnon par parivaarik prarthna mein bhaag letein hain. Jab wah yah mehsoos karein ki tum Parmeshwar ke saath vishwaas se baatein karoge, unke vishwaas bhi badhenge Parmeshwar se batein karne mein. Jab tum un ashirwaadon ke liye Parmeshwar ko prarthna mein dhanyewaad doge jinke baare mein weh jaantein hain, unke vishwaas badhega ki Parmeshwar unse prem kartein hain aur Wah humare prarthnaon ko sunta hai aur unki bhi sunega. Yah sirf parivaarik prarthna mein ho sakta hai jab tumne yah apne khudh ke prarthna mein anubhao kiya hai, samay samay par.
Mujhe abhi bhi ek pita aur maata ka ashirwaad praapt hai jinhone Parmeshwar se baatein kiya tha. Unke parivaarik prarthna ke shakti ka uddhaaran abhi ke peediyon ko bhi ashirwaad deta hai jo unke baad aaye hain.
Mere bachchein aur naati-potein mere maata-pitaon ke uddhaaran se abhi har din ashirwaad praapt kartein hain. Woh vishwaas ki ek prem bhare Parmeshwar prarthnaon ko sunnta hai aur pura karta hai unke paas hai. Tum is tarah ke uddhaaran ko apne parivaar mein bana sakte ho. Main prarthna karta hoon ki tum ayesa karo.
© 2015 dwara Intellectual Reserve, Inc. Pure adhikaar surakshit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/15. Anuwaad swikriti: 6/15. First Presidency Message, September 2015. Hindi, Fijian. 12589 298 ka anuwaad