2017
Bada Din ke Samay Masih ko Dhundna
December 2017


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, December 2017

Bada Din ke Samay Masih ko Dhundna

Har koi jo samajhna chahatha hai ki Ishu Masih ka Girja Antim Dino ke Santo Ka ke sadasye hone ka kya arth hai, mai shuruwaat ke liye yeh teen shabd bayaan karna chahata hoon: Hum Masih ko dhundthe hain.

Hume Unke vishay me seekhna chahate hain. Unke peeche ho lene ke liye. Unhi ki tarah banne ke liye.

Varsh ke har din, hum Unhe dhundte hain. Par khaas kar varsh ke is samay—Bada din par, jab hum apne priye Uddhaarkarta ke janam ko manathe hain—humara dil Unke prathi aur prabhavith hotha hai.

Bada din ko manane ke tayaari ke liye, hum soche ki kaise do hazaar saal pahale us samay jo jiwith the ne kaise Uddhaarkarta ke aane ki tayaari ki hogi.

Sachche Charwaahein

Hum charwaaho ke baare me bahut nahi jaanthe hai, sirf ithna ki weh “raath ko maydaan me rah kar apne jhund ka pahra dete the.”1 Yeh mumkin hai ki charwaahein sadhaaran aadmi the, kayi taareef laayak logo ki tarah jo har din guzaare ke liye kamai karthe hain.

Weh un logo ka nirupan kar sakte hain jo kisi samay sakriyatha se Masih ko nahi dhund rahe the, par unke hirday me badlaav aya jab swarg ka dwaar khula aur unko Masih ki goshna mili.

Yeh woh hain jinhone swarg duth ke awaaz sunne ke baad, thuranth Bethlehem dekhne ke liye chale gaye.2

Jyotish

Jyotish sikshak the jo Parmeshwar ke Putra, Masih ke agaman par padhai kar rahe the. Unke padhai dwara weh us chin ko pahechaan paaye jo Unke janam ki or ishara kar raha tha. Jab unhone use pahechaan liya, unhonne apne ghar chod kar Jerusalem ka yatra kiya, puchthe hue, “Yahudiyon ka raja jiska janam hua hai, kaha hai?”3

Masih ke prathi unka gyaan sirf shikshan ki tarah nahi tha. Jab unhone Unke janam ke chin ko dekha, unhone uspar amal kiya. Weh Masih ko dhoondne ke liye nikal pade.

Jyotish un logo ka nirupan kar sakte hain jo Masih ko padhai aur shikshan dwara dhoondthe hain. Sacchai ke prathi unki bhakti anth me unhe Masih ko dhoondne me madad karti hai aur Masih ko Rajao ke Raja, aur manushya ke Uddhaarkarta ke rup me poojne ka mauka deti hai.4

Simeon aur Anna

Simmeon aur Anna un logo ka nirupan kar sakte hain jo Atma dwara Masih ko dhoondthe hain. Yeh mahaan aatma shradha se dhaarmik the, aur upwaas aur prathna dwara agyaakari aur bhakti ka jeewan bita rahe the, aur uthsuktha se Parmeshwar ke Putra ke aane wale din ka intazaar kar rahe the.

Wafadaari, vinamratha aur vishwaas dwara, weh uthsuktha se Uddhaarkarta ke aane ki raah dekh rahe the.

Anth me, unka vishwaas ka parinaam unhe mila jab Mary aur Joseph ne unhe us sishu ko pesh kiya jo ek din Apne upar manushya jaati ke paap lega.5

Nephites aur Lamanites ke beech vishwaaskari

Aatma ko chune waali kahani ki kaise Naye Duniya me vishwaaskari Uddhaarkarta ke janam ke chin ka intazaar kar rahe the ko Mormon Dharamshastra me paaya ja sakta hai.

Aap ko yaad hoga ki jo Masih me vishwaas karte the unka mazaak udaya gaya aur unpar athyachaar dala gaya. Un dino ke sansaarik anubhav waale, vishwaaskariyon ko doshi taherate the ki weh apne murakh purvasanskaar ke saath ji rahe the. Asal me, naasthik ithni zor se hassi uda rahe the ki unhone “pure pradesh mein hangama kiya” (3 Nephi 1:7). Unhone un logo ka mazaak udaya jo vishwaas karte the ki Uddhaarkarta payda hoga.

Unka gussa aur krodh ithna bad gaya tha ki unke upar Uddhaarkarta par vishwaas karne waalo ko khamosh karne ka bhooth sawaar ho gaya tha. Marman Dharamshastra is faysle ko bayaan karti hai.6

Vishwaaskari un logo ka nirupan kar sakte hain jo Masih ko dhoondthe hain iske bavjood ki log unpar haste aur unki khili udathe hain aur unhe pareshaan karte hain. Weh Masih ko dhoondthe hai iske bavjood ke log unhe, sadharan, bina tahzeeb ke yah bawvla ke rup me pesh karte hain.

Par dusro ka virodh sacche vishwaaskari ko Masih ko dhoondne mein himmat nahin harne deta hai.

Hum Masih ko dhundthe hain

Pure saal bhar aur shayad khaas kar Bada din ke samay, yeh laabhdayak hoga ki hum phir se yeh sawaal puche “Mai kaise Masih ko dhund raha hoon?”

Apne jeewan ke ek kathin samay me, mahaan Raja David ne likha, “He Parmeshwar, tu mera Parmeshwar hai, mai tujhe yatahn se dhundoonga: mera mann tera pyasa hai, mera sharir tera athi abhilashi hai.”7

Parmeshwar ko dhundne ka gunn shayad ek vajah hai ki David ko Parmeshwar ke dil ko chune wala vyakti kaha jaata tha.8

Bada din ke samay aur pure saal bhar, ki hum apne pure dil, aur athma se apne priye Uddhaarkarta ko dhunde, Shanti ka Raja, Israel ka Pavitra. Ki yeh iccha, bade maatra me, sirf yeh nahi batlata ki hum kaun hai Ishu Masih ka Girja Antim Dino ke Santo Ka ke sadasye ke rup me par hum sach me Masih ke chele hain yeh bhi dikhlata hai.

Chaapo