2018
Har Bahan ke Liye Naam leke Prarthna Karein
March 2018


Shikshan Sandesh Bhent, March 2018

Har Bahan ke Liye Naam leke Prarthna Karein

Hamara un bahano ke or pyaar aur prerna badhega jinhe hum bhent karte hai jab hum har ek bahan ke liye vinamrata se prarthna karenge unka naam lekar.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Skripchas me kayi aadmiyo aur auraton ke uddharan hai jo auron ke naam leke unke liye prarthna karte the. Sabse zyaada na bhoolne waala insaan tha Alma the Younger ka pita. Alma the Younger se ek farishta ne baat kiya, use bataya ki uska pita “ne uske baare me bahut biswaas se prarthna [kiya] hai … ; isliye, fParmeshwar ki shakti aur adhikaar ka tumhe biswaas dilaane ke kaaran mai aaya hoon aur logon ke biswaas ke anusaar unki praarthnaaon ka jawaab diya jaata hai”Mosiah 27:14).

Ek dusre ke kostin prarthna kare se hum long dil Prabhu ke chahita ashirvaad long ke haasil kare paawe hai. “Prarthna ka maksad yeh nahi ki Parmeshwar ki ichcha ko badla jaaye, par apne aur dusron ke liye un ashirvaadon ko surakshit karna jo Parmeshwar ne hamare liye tayaar rakkha hai, lekin hamein use paane ke liye maangna chahiye.”1

Ek bahan batais ki uske jiwan ke kathin samay me, uske visiting teachers se ek phone kol ya ek saadharan text mesaj aksar un “khaas andhere dino me aata tha.” Kisi tarah woh jaan jaate the kab use sahayta chahiye tha. Woh jaanti thi ki woh uske liye prarthna karte the, unke visit ke daoraan aur apne aap me bhi.

Julie B. Beck, Sahayak Sanstha ki pujye maha adhyaksh ne kaha,“Hum long ke sangathit shakti ke baare mein sochiye agar har ek bahan har subha aur raat ko haardik rup se prarthna karegi ya, isse uchit, Prabhu ke adesh anusaar prarthna karti rahegi.2 Visit karke shikhaane waale bahano ke liye prarthna kare se hum long mazboot insaan aur Antim-din Sant mahila banta hai.

Pradhaan Henry B. Eyring, Pratham Adhyakshta me Pratham Salaahkaar, ne kaha: “Prarthna karo kaise unke dil ki baat jaanoge. … Tumhe yah jaanna zaroori hai ki Parmeshwar kya chahata hai ki tum unki madad ke liye karo, ya apne pure chamta se, unke liye Parmeshwar ke prem ko ahesaas karo.”3

Vivran

  1. Guide to the Scriptures, “Prayer.”

  2. Julie B. Beck, “What Latter-day Saint Women Do Best: Stand Strong and Immovable,” Liahona, Nov. 2007, 110.

  3. Henry B. Eyring, “Purohiti aur Niji Prarthna,” Liahona, May 2015, 85.

Chaapo