2022
Prabhubhoj: Rakshak ke Yaad Kare Ke Ek Tarika
April 2022


“Prabhubhoj: Rakshak ke Yaad Kare Ke Ek Tarika,” Liahona, Apr. 2022.

Har Mahine ka Liahona Sandesh, April 2022

Prabhubhoj: Rakshak ke Yaad Kare Ke Ek Tarika

placeholder altText

The Last Supper(Woh Antim Bhojan), Simon Dewey dwara

Unhe krus pe chadhaane se pehle waali raat ko, Ishu Masih Apne Devduton se mila Last Supper(Woh Antim Bhojan) pe. Wahan pe Usne unhe pehli baar prabhubhoj diya. Usne un-logon ko samjhaaya woh ek tarika hoga jisse woh unhe yaad karenge. Prabhubhoj ek dharamvidhi hai jahan hum Masih ke Praeshchitko yaad karne ke liye bread aur paani grahan karte hai. Bread Masih ke sharir ke yaad me hai, aur paani Uske khoon ke yaad me hai.

Hum har Raviwaar ko prabhubhoj sabha ke samay prabhubhoj lete hai. Hum ek geet(hymn) ko gaate hai jabki purohiti rakhne waale bread ko chote chote tukdo me todhte hai.

Woh purohiti rakhne waale jinhonne bread todha tha khaas praathnaaen kehte hai. Yeh praathnaaen paayi jaati hai Doctrine and Covenants 20:77, 79me. Yeh praathnaaen hamein yaad dilaate hai humne Swarg ke Pita se kya vada kiya tha aur Usne humse kya vaada kiya tha.

Dusre purohiti rakhne waale prabhubhoj ko ward ya branch ke sadasyon ko baatte hai. Jab hum prabhubhoj grahan karte hai, hum Rakshak ko yaad karte hai aur Usne hamare liye kya balidaan kiya. Hum phir se vachano (vaadon) ko nibhaane ka vaada karte hai jo humne Swarg ke Pita ke saath banaya tha.

ek ladki prabhubhoj sabha ke samay bread grahan kar rahi hai

Hum shaant rehte hai jab prabhubhoj pe praathna bola jaata hai aur use baata jaata hai. Yeh samay hota hai jab hum Ishu Masih ke zindagi, shikshaaon, aur Praeshchitke baare me sochte hai. Hum kaise Unke uddhaaran pe chalenge ke baare me bhi soch sakte hai.