2022
Woh Amar Vachan
October 2022


“Woh Amar Vachan,” Liahona, Oct. 2022.

Har Mahine ka Liahona Sandesh, October 2022

Woh Amar Vachan

Sab insaan jon Parmeshwar ke saath vachan banais hai ke ek khaas rakam ke pyaar aur daya mile.

Ishu Masih ki tasveer

The Lord Jesus Christ[Prabhu Ishu Masih], Del Parson dwara

Ih duniya jon ladaai aur ladaai ke afwaahon se bikhar ge hai, yahan sachchaai, raushni, aur Ishu Masih ke shudh pyaar ke zaroorat pehle se bhi zyaada hai. Ishu Masih ke susamachaar ki mahima aprampaar, aur hum dhanye hai use padhne aur jeene ke maoke ke liye usi ke niyam anusaar. Hum khushi manate hai ki hamein use baatne ke maoke mile—uski sachchaaiyon ki gawahi dene ki chaahe hum jahan bhi rahe.

Hum baarambaar baat kara hai Abrahamic covenant(vachan) aur Israel ka ikattha hona par. Jab hum susamachaar ko apnaate aur baptisma lete hai, hum Ishu Masih ka pavitra naam apne upar lete hai. Baptisma woh faatak hai jisse nikal kar hum un sab vaadon ke hakdaar honge jo puraane samay me Prabhu ne Abraham, Isaac, Jacob, aur unke bachchon ko diya tha.1

“Nawa aur amar vachan”2 (Doctrine and Covenants 132:6) aur woh Abrahamic vachan ek barabar ke hai—do tarike hai us vachan ko bolne ka jo Parmeshwar ne maransheel purushon aur mahilaaon ke saath alag alag samay pe banaya tha.

Woh gunvaachak shabd (adjective) amar batlaata hai ki yeh vachan duniya ke buniyaad shuru hone se pehle bhi tha! Swarg me Mahaan Vichaarsabha(Grand Council) me rakkhi gayi yojna me gambheer ehsaas shaamil tha ki hum sabhi ko Parmeshwar ki upasthiti se alag kar diya jaaega. Haalaanki, Parmeshwar ne vaada kiya tha ki Woh ek Rakshak pradaan karega jo patan ke parinaamo par vijay praapt karega. Parmeshwar ne Adam se uske baptisme ke baad kaha:

“Tu us ki aagya ke anusaar hai, jo dino ke aadi ya saalon ke ant ke bina tha, anantkaal ke lekar anantkaal tak.

“Dekh, tu mujh me ek hai, aur Parmeshwar ka putr hai; aur is prakaar sab mere putr kehlaaenge” (Moses 6:67–68).

Adam aur Eve ne baptisma ki vidhi ko swikaar kiya aur Parmeshwar ke saath ek hone ki prakriya shuru ki. Woh vachanbadh maarg me prawesh kar chuke the.

Jab aap aur bhi us maarg me prawesh karte hai, toh hamaare paas jiwan ka ek naya tarika hota hai. Is tarah se hum ek rishta banate hai jon Use hamein ashish dene aur badalne ki anumati deta hai. Vachanbadh maarg hamein waapas Uske paas le ke jaata hai. Agar hum Parmeshwar ko apne jiwan me jeetne dete hai, toh woh vachan hamein Uske aur kareeb le jaaegi. Sab vachanein jodne ke liye banaye jaate hai. Woh ek rishta banate hai jo atoot/amar hota hai.

Ek Khaas Pyaar aur Daya

Ek dafa jab hum log Parmeshwar ke saathe vachan banae leta hai, hum log nishpaksh bhumi hamesha ke liye tyaag deta hai. Parmeshwar uh long ke saathe apan rishta ke nahi chodhi jon Uske saathe aisan bandhan banaais hai. Sach me, sab insaan jon Parmeshwar ke saath vachan banais hai ke ek khaas rakam ke pyaar aur daya mile. Hebrew bhaasha me, uh vachan sambandhit pyaar ke hesed (חֶסֶד) bole hai.3

Hesed ke paas koi Angrezi samaan shabd nahi hai. Baaibal ke King James Version ke anuwaadkartaaon ne bhi mehnat kiya hoga janne ke liye Angrezi me hesed ko kya kahein. Uh log aksar “karuna” chunte the. Yeh hesed shabd ke baare me bahut samjhaata hai par uska matlab nahi. Anye anuwaad bhi kiye gaye the, jaise “daya” aur “bhalaai.” Hesed ek alag tarah ka shabd hai jo ek rishta vachanbadh rishta ke baare me bataata hai jisme dono paksh ek dusre ke prati wafadaar aur imaandaar ho jaate hai.

Ek celestial viwaah ek aisan vachan ka rishta hai. Ek pati aur patni Parmeshwar ke saath vachan banate hai aur ek dusre ke saath ki weh ek dusre ke prati wafadaar aur imaandaar rahenge.

Hesed ek khaas rakam ke pyaar aur daya hai jiske liye Parmeshwar mehsoos kare hai aur uh log tak faelaawe hai jon Uske saathe vachan banais hai. Aur hum log Uske liye hesed ka len-den karte hai.

nawa shaadi hua dampati mandir ke baahar

Ek baar jab hum aur aap Parmeshwar se ek waada kar leta hai, Unke saath hum log ke rishta pehle se aur mazboot ho jaata hai. Ab hum saath mil jaate hai.

Jerry L. Garns ke tasveer

Kyunki Parmeshwar ne unke liye hesed dikhaya hai jo Unke saath vachan banaye hai, Woh unse pyaar karta hai. Woh unka saath dena jaari rakhega aur unhe badlaao laane ke liye maoke dega. Woh unhe maaf karega jab woh pashchataap karenge. Aur agar woh bhatke, Wah unhe Apne paas lautne ki raah dhoondhne me madad karega.

Ek baar jab hum aur aap Parmeshwar se ek waada kar leta hai, Unke saath hum log ke rishta pehle se aur mazboot ho jaata hai. Ab hum saath mil jaate hai. Parmeshwar ke saath hamare vachan ke kaaran, Woh hamari madad karne se kabhi nahi thakega, aur hum kabhi Uski kripalu dhiraj se vanchit nahi honge. Hum log sab ke liye ek khaas jagah hai Parmeshwar ke dil me. Unki humse badi ummeedein hai.

Aap us itihaasik ghoshna ke baare me jaante hai jo Prabhu ne Prophet Joseph Smith ko diya tha. Woh revelation(praktikaran) se aaya tha. Prabhu ne Joseph se kaha, “Yeh waada aaka bhi hai, kyunki aap Abraham se ho, aur Abraham ko waada diya gaya tha” (Doctrine and Covenants 132:31).

Is prakaar se, yeh amar vachan ki punahsthaapna hui thi susamachaar ke mahaan Punahsthaapna ke daoraan apni purnata me. Uske baare mein socho! Mandir me banaya gaya ek viwaah ka vachan usi Abrahamic covenant se juda hai. Mandir me ek dampati ko un sab ashirwaadon se parichit kiya jaata hai jo Abraham, Isaac, aur Jacob ke wafadaar vanshaj ke liye sambhale gaye hai.

Adam ki tarah, aap ne aur hum ne hud hi vachanbadh raaste me kadam rakkha baptisma ke samay. Uske baad hum mandir me us maarg par puri tarah se kadam rakhte hai. Abrahamic covenant ke ashirwaadein pawitr mandiron me dee jaati hai. Punarjiwit hone ke baad, yeh ashirwaadein mumkin karti hai ki hum, “singhaasanein, raajyon, shaktiyaan, riyaasatein, aur prabhutav haasil karein, apne ‘umang aur mahima ke khaatir sabhi cheezon me’ [Doctrine and Covenants 132:19].”4

Puraane Niyam ke anth me, hum Malachi ke vaada ko padhte hai ki Elijah “pitaaon ke hirday bachcho ki or modega, aur bachcho ke dil pitaaon ke or” (Malachi 4:6). Pracheen Israel me, is tarah se pitaa ka mahatwa me shaamil hota tha pitaaen Abraham, Isaac, aur Jacob. Ih vaada ke aur spasht kara jaawe hai jab hum ih verse ke dusra varnan padhta jaise Moroni Prophet Joseph Smith ke batais raha: “Woh [Elijah] bachchon ke dilon me uh vaadon ke daali jon pitaaon se kiya gaya tha, aur bachcho ke dil pitaaon ke or mudenge” (Joseph Smith—History 1:39). Uh pitaa log nishchit rup se Abraham, Isaac, aur Jacob shaamil hai. (Dekhiye Doctrine and Covenants 27:9–10.)

Ishu Masih ki chavi

Uh log jon paak vachanon ko banate aur nibhaate hai ko anant jiwan aur umang vaada kiya jaata hai. Ishu Masih un vachano ka gaaranti dene waala hai.

Detail from Christ and the Rich Young Ruler[Masih aur Dhani Jawaan Shaashak], Heinrich Hofmann dwara

Ishu Masih: Vachanon ka Kendr

Uddhaarkarta ka praeshchit ka balidaan ne Pita ko maoka diya Apne sabhi vaadon ko pura karne me jo Uske bachcho se banae gaye the. Kyunki Ishu Masih “maarg, sachchaai, aur jiwan hai,” uske baad kaha jaata hai ki “[Uske] madad se hi, koi Pita ke paas pahunch sakta hai” (John 14:6). Hamare Rakshak, Prabhu Ishu Masih ke Praeshchit ke kaaran Abrahamic Covenant ki purti sambhao hoti hai. Ishu Masih Abrahamic covenant ke kendr ya beech me hai.

Puraana Niyam sirf dharamshaastr ka kitaab hi nahi hai; yeh ek itihaas ka ek kitaab bhi hai. Aapko yaad hoga Sarai aur Abram ke shaadi ke baare me padhna. Kyunki woh be-aulaad the, Sarai ne apne daasi, Hagar, ko patni banane ke liye de diya, Prabhu ke nirdeshan anusaar. Hagar ne Ishmael ko janam diya.5 Abram Ishmael ko chahata tha, lekin uske dwara covenant to nahi pura hona tha. (Dekhiye Genesis 11:29–30; 16:1, 3, 11; Doctrine and Covenants 132:34.)

Parmeshwar se mile ashirwaad ke rup me, aur Sarai ke vishwaas ke jawaab me,6 woh apni budhi umra me garbhwati hui isliye taaki covenant uske bete, Isaac ke zariye pura ho (dekhiye Genesis 17:19). Woh vachan me paeda hua tha.

Parmeshwar ne Sarai aur Abram ko naye naam diye—Sarah aur Abraham (dekhiye Genesis 17:5, 15). In do naamo ke milne se uske parivaar ke liye ek nayi zindagi aur ek nayi taqdeer ki shuruaat ki.

Abraham dono Ishmael aur Isaac ko chahata tha. Parmeshwar ne Abraham ko bataya ki Ishmael ki badhanti hogi aur woh ek bhaari desh banega (dekhiye Genesis 17:20). Usi samay pe, Parmeshwar ne saaf keh diya tha ki amar vachan Isaac ke dwara sthaapit hoga (dekhiye Genesis 17:19).

Woh sab jo susamachaar ko swikaar karte hai Abraham ke vansh ka hissa ban jaate hai. Galatians me hum padhte hai:

“Kyunki tum me se jitno ne Masih me baptisma liya hai, unhonne Masih ko dhaaran kar liya hai.

“… Aap sab Masih Ishu me ek hai.

“Aur agar aap Masih ke hai, tab aap Abraham ke beej/vanshaj hai, aur vachan ke anusaar waaris bhi ho” (Galatians 3:27–29).

Is prakaar, hum ya toh janm se ya godh lene ke dwara vachan ke waaris ban sakte hai.

log baptisma ke service ke liye ikattha huwe hai

Ek dafa jab hum log Parmeshwar ke saathe vachan banae leta hai, hum log nishpaksh bhumi hamesha ke liye tyaag deta hai. Parmeshwar uh long ke saathe apan rishta ke nahi chodhi jon Uske saathe aisan bandhan banaais hai.

Isaac aur Rebekah ka beta Jacob vachan me paeda hua tha. Uske saath saath, usne apne ichcha se daakhil hona chuna. Jaisa ki aap jaante hai, Jacob ka naam badal kar Israel rakha gaya tha (dekhiye Genesis 32:28), jiska matlab hai “Parmeshwar ko jeetne do” ya “woh jo Parmeshwar ke paksh me hota hai.”7

Exodus me hum padhte hai ki “Parmeshwar ne Abraham, Isaac, aur Jacob ke saath banae apne vachan ko yaad rakkha” (Exodus 2:24). Parmeshwar ne Israel ke bachchon se kaha, “Agar aap meri awaaz ka paalan karoge sach me, aur mere vachan ko nibhaaoge, tab aap mere liye ek vichitra khazaana rahenge” (Exodus 19:5).

Yeh bol “vichitr khazaana” Hebrew shabd segullah se anuwaad hua tha, iska matlab ek bahut mulyawaan sampati—ek “khazaana.”8

Deutronomy ki kitaab covenant/vachan ki mahatwa yaad dilaati hai. Nawa Niyam ke Devdut is vachan ke baare me jaante the. Peter ke mandir ke seediyon par langde aadmi ko changa karne ke baad, usne dekhne waalon ko Ishu ke baare me bataya. Peter ne kaha, “Abraham, aur Isaac, aur Jacob ke Parmeshwar, hamare purwajo ke Parmeshwar ne, apne Putr Ishu ko mahima se mandit kiya” (Acts 3:13).

Peter ne apne sandesh ka anth apne sunnewaalo se yeh keh ke kiya, “Tum un nabiyon(prophets), aur us vachan ke uttaradhikaari ho jise Parmeshwar ne tumhare purwajo ke saath kiya hai, usne Abraham se kaha tha, Aur teri santaano se dharti ke sabhi log ashirwaad paaenge” (Acts 3:25). Peter ne unhe spasht kar diya ki Masih ke mission ka ek hissa Parmeshwar ki vachan ko pura karna tha.

Prabhu ne aesa hi updesh pracheen America ke logon ko diya tha. Wahan, punarjiwit Masih ne logon ko bataya ki weh vaastao me kaun the. Usne kaha:

“Tum bhavishyevaktaaon ki santaan ho aur tum Israel ke gharane ke ho; aur tum us anubandh se ho jo Pita ne Abraham se yeh kehkar tumhare purwajo se baandhi thi: Aur tere vansh se prithvi ke sab kul aasheesh paaenge.

“Pita ne sabse pehle mujhe tumhare liye khada kiya hai, har ek ko [tumhari] buraaiyon se palatne me asheeshit karne ke liye mujhe bheja hai; aur aesa isliye hai kyunki tum anubandhit bachche ho” (3 Nephi 20:25–26).

Kya tum iska mahatwa dekhte ho? Woh jo Parmeshwar ke saath vachano ko nibhaate hai, woh paap-pratirodhi(resistant) aatmaaon ka tanaao ban jaaenge! Jo log apni vachano ka paalan karte hai unke paas duniya ke nirantar prabhaao ka virodh karne ki taaqat hogi.

ek aadmi prabhubhojh ko le raha hai

Woh jo Parmeshwar ke saath vachano ko nibhaate hai, woh paap-pratirodhi(resistant) aatmaaon ka tanaao ban jaaenge! Jo log apni vachano ka paalan karte hai unke paas duniya ke nirantar prabhaao ka virodh karne ki taaqat hogi.

Missionary(Prachaarak) Kaarye: Vachano ko Baatna

Prabhu ne aagya diya hai ki hum susamachaar ko faelaae aur vachan ko baante. Isliye hamare paas missionaries hai. Woh chahata hai ki Uske har ek bachche ko Rakshak ke susamachaar ko chunne aur vachan ke maarg par chalne ka aosar mile. Parmeshwar sabhi logon ko us vachan se jodna chahata hai jo Usne pracheen kaal me Abraham ke saath banai thi.

Is prakaar, missionary kaarye Israel ke mahaan ikattha hone ka ek zaroori hissa hai. Ki aaj dharti pe sabse avashyak kaam jo ho raha hai woh ikattha karna hai. Mahaanta me aur kuch bhi tulna nahi karta hai. Mahatwa me aur kuch bhi tulna nahi karta hai. Prabhu ke missionari—Unke shishye—aaj prithvi par sabse badi chunaoti, sabse bade kaaran, sabse bade kaarye me lage huwe hai.

Par aur bhi bahut kuch hai—aur bhi bahut kuch. Veil ke dusri or ke logon tak susamachaar faelaane ki bahut badi avashyakta hai. Parmeshwar chahata hai sabhi log, veil ke dono tarafm Unke vachano ke ashirwaadon ka anand uthaae. Vachanbadhta ka maarg sab ke liye khula hai. Hum sab logon se vinti karte hai hamare saath us maarg pe chalein. Koi aur kaarye har jagah samaaveshi nahi hai. Kyunki “Prabhu un sabhon pe daya karta hai, jo sachche mann se uske pawitr naam ko pukaarte hain” (Helaman 3:27).

Kyunki Melchizedek Purohiti ko punahsthaapit kar diya gaya hai, vachan-paalan karne waali mahilaaen aur purshon ke paas susamachaar ki “sabhi dhaarmik ashieeshon” tak pahunch hain (Doctrine and Covenants 107:18; par zor diya gaya).

1836 me Kirtland Mandir ke samarpan ke samay, Prabhu ke nirdeshan me, Elijah prakat huwe. Uska vajah? “Bachchon ko pitaaon … ke or modne ke liye” (Doctrine and Covenants 110:15). Elias bhi dekhaai diye. Uska vajah? Joseph Smith aur Oliver Cowdery ko “Abraham ke susamachaar ki vyavastha, yeh kehte huwe ki hum aur hamare vansh me hamare baad ki sabhi peedhiyon ko ashirwaard diya jaana chahiye” (Doctrine and Covenants 110:12). Is prakaar, Swami ne Joseph Smith aur Oliver Cowdery ko purohiti ka adhikaar aur dusron ko Abrahamic vachan ke vichitr ashirwaadon ko dene ka adhikaar diya.9

Girjaghar me, hum vyaktigat aur saamuhik rup se vachanbadh maarg par chalte hai. Jis tarah viwaah aur parivaar ek vichitr amukhye bandhan aapas me sheya karte hai jisse ek khaas pyaar umadhta hai, usi tarah yeh naya rishta se hum khud ko upari disha me Parmeshwar ke saath baandhte hai vachan ke zariye!

Nephi ka yahi arth ho sakta hai jab usne kaha ki Parmeshwar “unse pyaar karta hai jo use apna Parmeshwar banana chahate hai” (1 Nephi 17:40). Yahi kaaran hai ki, vachan ke hisse ke rup me, ek vishesh daya aur pyaar—ya hesed—un sabhi ke liye uplabdh hai jo Parmeshwar ke saath is bandhan aur ghanishth sambandh me prawesh karte hai. yahan tak ki “ek hazaar peedhiyon tak” (Deuteronomy 7:9).

Parmeshwar ke saath ek vachan banana Uske saath hamare sambandh ko hamesha ke liye badal deta hai. Yeh hamein atirikt pyaar aur daya ka ashirwaad deta hai.10 Yeh prabhaawit karta hai ki hum kaun hai aur hum jo ban sakte hai woh banne me bhagwaan hamari madad kaise karenge. Humse waada kiya gaya hai ki hum bhi uske liye ek “ajeeb khazana” ho sakte hai (Psalm 135:4).

Waade aur Visheshadhikaar

Uh log jon paak vachanon ko banate aur nibhaate hai ko anan jiwan aur umang vaada kiya jaata hai, “Parmeshwar ke sabhi uphaaron me se sabse mahaan” (Doctrine and Covenants 14:7). Ishu Masih un vachanon ka guarantee dene waala hai (dekhiye Hebrews 7:22; 8:6). Vachan nibhaane waale jo Parmeshwar se pyaar karte hai aur Use apne jiwan me anye sabhi cheezon par prabal hone ki anumati dete hai, Unhe apne jiwan me sabse shaktishaali prabhaao banaate hai.

Hamare dino me hamein patriarchal(kulpati) ashirwaadein hamare pracheen sambandh ke baare me janne ka saobhaagye praapt hota hai. Woh ashirwaad aage kya hai, iski ek jhalak pradaan karte hai.

Ishu Peter ke saath baat kar rahe hai

Parmeshwar ke saath hamare vachan ke kaaran, Woh hamari madad karne se kabhi nahi thakega, aur hum kabhi Uski kripalu dhiraj se vanchit nahi honge.

Lovest Thou Me More Than These?[Kya Tum Mujhe In Sab se Bhi Zyaada Pyaar Karta Hai?] David Lindsley dwara

Vachanbadh Israel ke rup me hamara calling yeh sunishchit karna hai ki Girja ka har ek sadasye Parmeshwar ke saath vachan banane se jude anand aur visheshadhikaaro ko mehsoos kare. Yeh har ek vachan-nibhaane waale purush aur mahila, ladke aur ladki ko protsaahit karne ka pukaar hai, jo unke prabhaao chetra me aanewaalon ke saath susamachaar baatte hai. Yeh hamare missionariyon ka samarthan karne aur protsaahit karne ka bhi pukaar hai, jinhe baptisma dene aur Israel ko ikattha karne me madad karne ke nirdesh ke saath bheja gaya hai, taaki ek saath hum Parmeshwar ke log ho sakein aur Woh hamara Parmeshwar ho (dekhiye Doctrine and Covenants 42:9).

Sab aadmi aur sab aurat jon purohiti dharamvidhiyon me bhaag lewe aur jon Parmeshwar ke saathe vachano ke banawe aur nibhaawe hai Parmeshwar ke shakti tak seedha pahuncho hai. Hum vyaktigat rup se Prabhu ka naam apne upar lete hai. Hum ek logon ke rup me bhi Unka naam apne upar lete hai. Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka ke sahi naam ka istemaal karne ke baare me bhaauk hona ek mahatwapurn tarika hai jisse hum logon ke rup me hum par Unka naam lete hai. Sachmuch, Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santon ka har ek paropkaari kaam aur uske sadasye Parmeshwar ki hesed ko dikhaaate hai.

Israel kyun bikhra tha? Kyunki logon ne aagyaaon ko toda aur prophets pe pathraao kiya. Ek pyaar karnewaale lekin dukhi Pita ne Israel ko door-door tak bikher kar jawaab diya.11

Haalaanki, Usne unhe is waade ke saath titar-bitar kar diya ki ek din Israel phir se Uski vansh me waapas ikattha ho jaaega.

Judah ke tribe ko Prabhu ke pehle aagman ke liye duniya ko taeyaar karne ki zimmedaari di gayi thi. Us tribe se, Mary ko chuna gaya tha Parmeshwar ke Putr ki maa banne ka.

Joseph ke tribe(gotr), uske aur Asenath ke putron, Ephraim aur Manasseh ke madad se (dekhiye Genesis 41:50–52; 46:20), Israel ke ikattha kare me zimmedaari di gayi thi, taaki duniya ko Prabhu ki Dusri Aagman ke liye taeyaar kiya jaa sake.

Aese bewaqt si hesed rishte me, yeh sammaanye hai ki Parmeshwar Israel ko ikattha karna chahata hai. Woh hamare Swarg ke Pita hai! Woh chahata hai Unke har ek bachcha—veil ke dono taraf—Ishu Masih ke punahsthaapit susamachaar ko sunein.

Pyaar ka Ek Maarg

Vachanbadhta ka maarg pyaar ka ek maarg hai— avishwaasniye hesed, woh dayalu parwaah aur ek dusre ki madad ke liye aage badhna. Us pyaar ko mehsoos karna mukti aur unnati deta hai. Sabse bada anand aap tab anubhao karenge jab aap Parmeshwar aur Unke sabhi bachchon ke liye pyaar se bhar jaaenge.

Kisi se ya kisi bhi cheez se adhik Parmeshwar ko pyaar karna woh shart hai jo sachchi shaanti, aaraam, atmavishwaas aur anand laati hai.

Vachanbadhta ka maarg Parmeshwar ke saath hamare rishte ke baare me hai—Uske saath hamara hesed rishta. Jab hum Parmeshwar ke saath ek vachan me daakhil hote hai, toh hum Uske saath ek vachan banate hai jo hamesha apne vachan ka paalan karega. Woh hamari agency ka ullanghan kiye bina, hamari agency ko banae rakhne me hamari madad karne ke liye woh sab kuch karega jo woh kar sakta hai.

Mormon Dharamshaastr is amar vachan ke zikr se shuru aur khatm hoti hai. Iske shirshak page se lekar Mormon aur Moroni ki gawahi tak, Mormon Dharamshaastr vachan ka zikr karta hai (dekhiye Mormon 5:20; 9:37). “Mormon Dharamshaastr ka aana puri duniya ke liye ek sanket hai ki Prabhu ne Israel ko ikattha karta aur Abraham, Isaac, aur Jacob se kiye gaye vachano ko pura karna shuru kar diya hai.”12

Mere pyaare bhaaiyon aur bahano, hamein prithvi ke itihaas me is mahatwapurn samay par duniya ko anant vachan ki sundarta aur shakti ke baare me sikhaane ke liye bulaya gaya hai. Hamare Swarg ke Pita is mahaan kaarye ko karne ke liye hum par pura bharosa karte hai.

Yeh sandesh March 31, 2022 ko ek maha sammelan leadership meeting me bhi diya gaya tha.

Notes

  1. Dekhiye Russell M. Nelson, “Children of the Covenant,” Ensign, May 1995, 34.

  2. Woh nawa aur amar vachan Ishu Masih ke susamaachaar ki sampurnta hai. Isme hamare uddhaar ke liye sabhi zaroori dharamvidhiyaan aur vachanein shaamil hai (dekhiye Doctrine and Covenants 66:2). Uh “nawa” rahe jab bhi Prabhu use nawa karta hai ya waapas laata hai, aur uh “amar” rahe kaae ki uh badle nahi.

  3. Ek puri charcha hesed aur amar vachan ko lekar uplabdh hai Kerry Muhlestein, God Will Prevail: Ancient Covenants, Modern Blessings, and the Gathering of Israel (2021) me.

  4. Russell M. Nelson, in “Special Witnesses of Christ,” Liahona, Apr. 2001, 7.

  5. Hebrew shabd Ishmael ka matlab hai “Parmeshwar sunta hai” (Bible Dictionary, “Ishmael”).

  6. “Vishwaas ke zariye Sara ne bhi khud shakti paai garbhwati hone ke liye, aur apni budhi umr me ek bachche ko janam diya, kyunki usne uspe bharosa kiya jisne waada kiya tha” (Hebrews 11:11).

  7. Bible Dictionary, “Israel.”

  8. Dekhiye Bible Dictionary, “Peculiar”; “Hebrew and Chaldee Dictionary,” Strong’s Exhaustive Concordance of the Bible (1984), 82, word 5459.

  9. Dekhiye Russell M. Nelson, “Thanks for the Covenant” (Brigham Young University devotional, Nov. 22, 1988), 4, speeches.byu.edu.

  10. “Parmeshwar ke saath banae har ek vachan ek maoka hai uske kareeb jaane ka. Kisi ke liye jo ek pal ke liye us par sochta hai hai jo unhe pehle se hi Parmeshwar ke pyaar ke baare me mehsoos kiya hai, us rishte ko mazboot banane ke liye aur us rishte me kareeb aane ke liye ek anutha prastaao hai” (Henry B. Eyring, “Making Covenants with God” [Brigham Young University fireside, Sept. 8, 1996], 3, speeches.byu.edu).

  11. “Prabhu ne Apne chune huwe logon ke is bikhraao ko duniya ke raashtron ke beech un raasthron ko ashirwaad dene ke liye bhi istemaal kiya” (Guide to the Scriptures, “Israel,” scriptures.ChurchofJesusChrist.org; Jacob 5:1-8, 20 bhi dekhiye).

  12. Russell M. Nelson, “The Future of the Church: Preparing the World for the Savior’s Second Coming,” Liahona, Apr. 2020, 9.