“Pavitra Aatma Hamari Madad Kar Sakte Hai,” Liahona, June 2023.
Har Mahine ka Liahona Sandesh, June 2023
Pavitra Aatma Hamari Madad Kar Sakte Hai
Pavitra Aatma Ishwartav ka teesra sadasye hai. Dharamshaastr bhi unhen Aatma, Pavitra Aatma ya Dilaasa dene waale(Comforter) ke roop mein sandarbhit karte hai. Jaise hee ham Uski aawaaj sunana sikhate hai, Woh hamare liye Ishu Masih kee gawahi dega aur hamen susamaachaar ki sachchaiyon ko sikhane mein madad karega.
Ishawartav ka Sadasye
Swarg ke Pita, Ishu Masih, aur Pavitra Aatma Ishwartav hain. Weh hamase prem karte hain aur uddhaar ki yojna. ko pura karane ke liye ekta mein kaarye karte hai. Yadyapi Swarg ke Pita aur Ishu Masih ke shareer maans aur haddiyon ke hai, Pavitra Aatma ke paas nahin hai. Woh ek aatma hai.
Pita aur Putr kee gawahi
Pavitr Aatma “Pita aur Putr ke gavah” (2 Nephi 31:18). Iska matlab hai ki ham Pavitra Aatma ke dwaara Swarg ke Pita aur Ishu Masih ki gawahi praapt kar sakate hai.
Sachchaai ki gawahi deta hai
Pavitra Aatma sabhi sachchai ki Aatma gawahi deta hai. Woh hamen us susmaachaar ko jaanane mein madad karega— saath me mukti ki yojna, Parmeshwar ki aagyaon, Punahsthaapna, aur Ishu Masih ki Praeshchit—sabhi sachch hai. Woh hamari gawahi ko mazboot karega, jaise hum prarthana, aagyaon ka paalan karna aur susamaachaar ka adhyayan karna jaaree rakhate hain.
Hamara Maargdarshan aur Raksha karta hai
Pavitra Aatma hamare nirnayon mein hamara maargdarshan kar sakti hai aur hamen shaareerik aur aadhyaatmik khataron se bacha sakti hai . Woh hamare sawalon ke jawab khojane mein hamari madad karega agar ham prarthana karen aur jo sahi hai use karne ka prayaas karen. Woh hamesha “achche kaam” karane mein hamari aguwai karega (Doctrine and Covenants 11:12).
Hamen Sukoon deta hai
Pavitra Aatma ko kabhee-kabhee “the Comforter” kaha jaata hai(John 14:26). Woh hamen “aasha aur purn prem se bhar sakta hai” (Moroni 8:26) jab ham chintit, dukhi, ya dara hua hain. Jab Woh hamen Parmeshwar ke prem ko mehsoos karne mein madad karta hai, to ham niraasha par kaaboo pa sakte hain aur apanee pareekshaon mein mazboot ho sakte hain.
Pavitra Aatma ka Uphaar
Hamare bapatisma lene ke baad, ham pushtikaran naam ka dharamvidhi mein Pavitra Aatma ka uphaar praapt karte han. Ek baar jab ham is uphaar ko praapt kar lete hain, tab tak ham Pavitra Aatma ka nirantar saahacharye praapt kar sakte hai jab tak ham dhaarmikta se jee rahe hai.
Ham Pavitra Aatma ko Kaise Sunte hai
Pavitra Aatma logon se vibhinn tarikon se prakat karta hai. Inmen shaantipurn, aaraam dene wali bhaavanaen ya kya kahana ya karna hai isake baare mein antardrshti shaamil ho sakti hai. Jab ham maargdarshan ke liye prarthana karte hai aur Uski prernaon ko sunte hai, to ham sikh sakte hai ki Woh hamse kaise baat karte hai.
© 2023 by Intellectual Reserve, Inc. Sabhi adhikaar surakshit. USA me chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/19. Anuwaad swikriti: 6/19. Translation of Monthly Liahona Message, April 2023. Language. 19026 000