2023
Aatma-Nirbharta Hamein Mazboot Banati Hai
August 2023


“Aatma-Nirbharta Hamein Mazboot Banati Hai,” Liahona, Aug. 2023.

Har Mahine ka Liahona Sandesh, August 2023

Aatma-Nirbharta Hamein Mazboot Banati Hai

Tasveer
do log bartan dho rahe hai

Aatma-nirbhar hone ka matlab hai ki hum apni aur apne parivaar ki zarooraton ka khyaal rakh sakte hai. Jab hum aatma-nirbhar hote hai, toh hum Prabhu ki dekhbhaal karne me bhi behtar saksham hote hai. Lekin aatma-nirbharta ka matlab yeh nahi hai ki hamein apni chunaotiyon ka saamna akele karna hoga. Zaroorat padne par hum doston, parivaar, ward ya shaakha ke sadasyon aur peshevaro se madad maang sakte hai.

Aatma-Nirbharta ke Aadarsh

Aatma-nirbhar banne ke liye shiksha, aagyakaarita, aur kadee mehnat ki aavashyakta hotee hai. Hum apna khyaal rakhne kee pui koshish karte hai aur zaroorat padne par hum doosron se madad maang sakte hai. Haalaanki, vaastao me aatma-nirbhar banne ke liye hamein Ishu Masih par vishwaas karna bhi seekhna chahiye. Phir jaise-jaise hum apni madad ke liye kaam karenge, woh hamein mazboot karega.

Tasveer
do haath jode huwe

Dhaarmik Aatma-Nirbharta

Hum Ishu Masih ke baare me apni gawahi ko mazboot karne ke liye kaam kar ke apni dhaarmik aatma-nirbharta ka badhaa sakte hai. Hum aisa tab karte hai jab hum praathna karte hai, dharmshaastron ka adhyan karte hai, girja jaate hai, aagyaaon ka paalan karte hai, aur anye cheezein karte hai jo hamein Masih ke kareeb laati hai. Yeh jaante hue ki woh hamari madad karne ko taeyaar hai, hamein jiwan kathin hone par bhi mazboot bane rehne ka vishwaas milega.

Asthaayi(Thode samay ka) Aatma-Nirbharta

Asthaayi aatma-nirbharta me apni aur apne parivaar ki bhautik avashyaktaaon ki dekhbhaal karne me saksham hona shaamil hai. Isme bhojan, rehne ki jagah, swaasthye, aur anye zarooratein shaamil hai. Hum ek achchi shiksha praapt karke, aavashyak kaushal seekha kar, kadee mehnat kar ke, apne samay ka budhimaani se upyog karke, aur apne paise ka achchi tarah se prabandhan kar ke aisa karte hai.

Tasveer
teen auratein ek saath chal rahi hai

Bhaavnaatmak(Ehsaas-se juda) Aatma-Nirbharta

Bhaavnaatmak(Ehsaas-se juda) Aatma-Nirbharta saahas aur vishwaas ke saath bhaavnaatmak chunaotiyon ka saamna karne ki kshamta hai. Hum sabhi ke saamne chunaotiyaan aur asafaltaaen hain. Susamachaar ke liye dhanyevaad, hum jaante hai ki hum chunn sakte hai ki unhein kaise pratikriya deni hai. Prabhu me vishwaas ke saath pratikriya karne se anye kathinaaiyon ka adhik aasha ke saath saamna karne ki hamari kshamta badh jaati hai.

Shiksha

Hamein hamesha seekhate rehna chahiye. Parmeshwar chahata hai ki hum apne dimaag ko shikshit karein aur is jiwan aur agle jiwan apne kaushal(skills) me sudhaar laaye. Jitna zyaada hum seekhte hai, utna zyaada hum bhalaai ke liye behtar prabhaao daal sakte hai aur apna, apne parivaar, aur zarooratmand logon ka bharan-poshan kar sakte hai.

Tasveer
jawaan ladka ek beg(bag) liye jaa raha hai

Aatma-Nirbhar Hone ka Ashirvaad

Profaton ne sikhaya hai ki jaise-jaise hum apni aatma-nirbharta me sudhaar karenge, hamein adhik aasha aur shaanti milegi. Hum apni parivaaro aur zarooratmando ki madad karne me saksham honge. Aur hamein zyaada aosar tatha pragati jaari rakhne ki kshamta praapt hogi.

Girjaghar Sanshaadhanein

Aapka stake aatmaa-nirbharta grups ki peshkash kar sakti hai. Yeh aapko aatmaa-nirbharta ke aadarsh aur apne paise ka prabandhan karne ya behtar naokri dhoondhne jaise kaushal sikha sakte hai. Aap Gospel Library me sambandhit sansaadhan paa sakte hai. “Books and Lessons” aur phir “Self-Reliance” par jaaen.

Chaapo