Bada Din ke Sandesh
“Aao, Hum Unki Aaraadhna Karein”


11:38

“Aao, Hum Unki Aaraadhna Karein”

2023 First Presidency ke Bada Din Sabha

Raviwaar, 3 December, 2023

Mere pyaare bhaaiyon aur bahano, ek aur Bada Din seezan shuru karna kitni khushi ki baat hai jab hum apne Rakshak aur Muktidaata, Prabhu Ishu Masih ke janm ka jashn manaate hai.

Har baar kisi bachche ka janm hota hai toh yeh ek pavitr ghana hoti hai. Hamare par-pote me se ek ka reakshan dekhein jab woh pehli baar chote bhaai ko godh me leta hai.

[vidio]

Yeh koi ashcharye ki baat nahi hai ki 2,000 saal se bhi pehle us sabse pavitr raat me, Bethlehem ke chote se shahar ke paas, swargiye farishte khushi se gaa rahe the! Ek farishta ne charwaaho ko yeh adbhut sach sikhaaya:

“Dekho, mai tumhare liye bade aanand ke shubh samachaar laata hoon, jo sab logon ke liye hoga.

“Kyonki aaj David ke nagar mein tumhaare liye ek Uddhaarkarta ka janm hua hai, jo ki Prabhu Masih hai.”1

Aur ab, mere pyaare bhaaiyon aur bahano, “Aao, hum Unki aaraadhna karein.”2

Aap me se kayi logon ki tarah, pichle kuch varshon me Bada Din mere liye bhi badal gaya hai. Meri bachpan ki yaadein 1930 ke dashak ki Mahaan Depreshan ki bekdrop pe bana hai. Paise ki kami thee. Uphaar bahut anmol the agar mil jaae.

Mere mata-pita mere aur mere bhaai-behno ke liye Bada Din ko jaaduvi banate the. Har saal hum doosre parivaar ke liye “sub-for-Santa(madad dene waala)” parivaar ban jaate the. Hum ne uchit uphaar taeyaar kiye aur unhe Bada Din ke Eve(se pehle waale shaam) par dene gaye. Jaise hi hum unke ghar se door chale gaye, unke lehraate haath aur aansuwon se bhare chehron ne hamein dene ka sachcha anand diya.

Mujhe Bada Din ka sangeet tab bhi bahut pasand tha—aur ab bhi hai. Har saal, Bahan Nelson aur mujhe Handel ke Masiha ko sunna aur gaana pasand hai. Mujhe hallelujah shabd ka Hebrew arth bahut pasand hai. Iska shaabdik arth hai “Prabhu Parmeshwar Yahuwa ki stuti.”3 Is bhaashan me gaae gaye shabd na kewal Prabhu ke janm par balki Unke millennial raaj par bhi laagu hote hai:

For unto us a child Is born[kyunki hamare liye ek bachcha janma hai],

Unto us a son is given[hamein ek putr diya gaya hai]:

And the government shall be upon his shoulder[aur sarkaar uske kandhe par hogi];

And his name shall be called Wonderful, Counsellor[aur uska naam Adbhut, Salaahkaar rakkha jaaega],

Woh shaktishaali Parmeshwar,

Woh anant Pita,

Woh Shaanti ka Raajkumaar.4

Yeh mere jawaan baalig ke umra ke daoraan tha ki mai ne Param Pita Parmeshwar aur Unke Priye Putr, Ishu Masih ki gehri gawahi praapt karna shuru kar diya tha. Mujhe khud pata chala ki Ishu Masih ka janm kuwaari Mary se huwa tha, jo ek “anmol aur chuni hui paatr thi.”5 Mai jaanta tha ki woh vaastao me Parmeshwar ka Putr hai 6 aur samast maanao itihaas me kendriye vyakti hai.

Zara us atulniye parinaam ke baare me socho jo Ishu Masih ne pura kiya—sab kuch Apne Pita ki ichcha ke anusaar! Ishu pehle se h ek Parmeshwar the jab Unhonne hum me se har ek ke liye sabse mahatwapurn kaarye ko pura karne ke liye dharti par aane ki kripa kee. Ek uplabdhi jo sachmuch jiwan bachaane waali aur jiwan badalne waali thi. Ek aysa kaarnaama jo hum me se koi bhi apne liye nahin kar sakta.

Rakshak ne “har tarah ke peedaaon aur kashton aur behkaawon ko sahaa”7 taaki Woh jaan sakein ki “shareer ke anusar [hamein] [hamari] durbaltaaon ke anusaar kaise sahayta karni hai.”8

Pichle kuch mahino ke daoraan, maine dard aur uske sudhaarak prabhaao ke baare me bahut kuch seekha hai. Mera dil hamare Rakshak ki or aakarshit ho gaya hai kyunki maine Uski peeda ki seema ki kalpana karne ki koshish ki hai. Mera maransheel mann yeh samajh nahi sakta ki kaise Usne har kisi ke sabhi dard, sabhi paapon, sabhi peeda, aur sabhi kashton ko apne upar le liya!

Daya ke sabse unche kaarye me, jo maransheel samajh ya varnan ko aswikaar karta hai, Rakshak ne Khud ko bemisaal aatmik aur shaareerik peeda ke liye samarpit kar diya.

Hum Bethlehem ke Bachche ka aadar isliye karte hai kyunki baad me unhonne Gethsemane ke Bagiche me aur Calvary ke krus par atulniye anant balidaan diya. Yeh bhent hum me se har ek ko chutkaara dilaati hai kyunki hum pashchataap karna aur Uska picha karna chunte hai. Phir dharti par Apne sabse unche kaarye ke roop me Woh teesre din kabr se uthe, aur hum se har ek ko punarjiwan aur mrityu ke baad jeevan ka bemisaal ashirvaad diya.

Is mausam me, hum aksar khushee se gaate hai ya kehte hai, “hum aapko Bada Din ki shubkaamnaae dete hain.” Mere pyaare bhaaiyon aur bahano, aaj raat aap me se har ek ke liye mere dil kee ichcha ke kayi purje hai. Darasal, yeh aapke liye meri ichcha nahi hai, is pavitr Bada Din ke samay yeh meri praathna hai.

Sabse pehle, mai praathna karta hoon ki aap vyaktigat roop se hamare Rakshak ke aapke prati gehre, anant pyaar ko mehsoos karenge. Ishu Masih aapko jaanta hai aur dekhta hai. Woh ab aapko jaanta hai aur dekhta hai. Woh aapki khushiyaan aur aapke dukh dekhta hai. Unhonne un me se har ek ka anubhav kiya hai.

Use aapke sangharshon par poorn daya aati hai aur jab bhi aap achche aur bure samay me dhaarmikta ki or aage badhte hai toh woh prasann hota hai.

Mai praathna karta hoon ki aap apni vyaktigat gawahi praapt karenge ki Ishu Masih Parmeshwar ke Putr hai ki Woh ishwariye shakti se bhare huwe haim aur Unke mahaan praeshchit ke balidaan ke kaaran, aapko kabhi bhi yeh mehsoos karne ki awashyakta nahi hai ki aapko jiwan ki kathin chunaotiyon ka saamna akele karna hoga. Jaise jaise aap imaandaari se maangte hain, khojte hai, aur khatkhataate hai,9 aapki madad karne aur aapko theek karne ke liye Uski shakti tak aapki nirantar pahunch hoti hai.10

Mai praathna karta hon ki aap pratidin pashchataap karke, apne jiwan ko adhik shudh banakar, aur apne sabhi kaaryon me Swargiye maargdarshan praapt karke Rakshak ke praeshchit ka poora laabh uthaaenge. Doosre shabdon me, mai praathna karta hoon ki aap sadeo divye chintan(celestial thinking) ke aanand ka anubhav karein.

Mai yeh praathna karta hoon ki aap is chuttiyon ke aosar ka upyog aur bhi adhik vyaktigat pooja ka mausam shuru karne ke liye karenge. Ishu Masih ki shikshaaon aur praeshchit ka adhyan naye sire se shuru karein. Is dharti pe koi bhi aap se utna pyaar nahi karta jitna woh karta hai. Yahaan koi bhi aapko behtar nahi samajhta ya vaastao me aapke dukhon aur kamzoriyon ko nahi jaanta. Dharti par kisi ke paas woh shakti nahi hai jo Ishu Masih ke paas hai. Yahan koi bhi aapke liye woh sab kuch banne ke liye adhik utsuk nahi hai jo aap ban sakte hai. Koi bhi aapke liye Pita se us tarah vintee nahi karta jaisa Woh karta hai.

Prabhu, Ishu Masih, humare Rakshak aur Muktidaata hai. Woh Parmeshwar ke Putr, Israel ka Pavitr Vyakti hai. Woh Abhishikt Vyakti hai.11 Pita ke nirdeshan me, jo kuch bhi banaya gaya hai, woh Uska Nirmaata hai.12 Ishu Masih Mahaan Yahowa, puraane niyam ke Parmeshwar the.13 Woh vaada kiya gaya Immanuel tha.14 Woh hamara mahaan Aadarsh15 aur Pita ke saath hamara Wakeel hai.16 Unke punahsthaapit susamachaar ke kaaran, Unke purohiti ke sabhi ashirwaad sabhi maanav jaati ke liye uplabdh hai kyunki Woh unke paas aate hai aur Unme paripurn hote hain.

Bhaaiyon aur bahano, aaiye him “haleluya” ki bhaaona se jiyen, sadeo Prabhu Parmeshwar Yahowa ki stuti karte rahein. Is shaandaar Bada Din seezan me, aaiye, hum Uski, Masih Prabhu ki aaraadhna karein!

Hum jaanta hai ki Parmeshwar jiwit hai! Ishu hi Masih hai! Yeh Uska Girjaghar hai. Wahi jaari rakhe Apne susamachaar ki Punahsthaapna ka aguwaa hai. Iska mai pawitra Ishu Masih ke naam se gawahi deta hoon, amen.