2022
Tufaan mein Sthir Rahena
May 2022


“Tufaan mein Sthir Rahena” For the Strength of Youth, May 2022.

Har Mahine ka Liahona Sandesh, May 2022

Tufaan mein Sthir Rahena

Kuch Bhaag

prakaashstambh(lighthouse)

Hum mein se jo apne liye chintit hai aur jinhein hum pyaar karte hain, unke liye us vaade mein aasha hai jo Parmeshwar ne aane waale tufaanon mein suraksha ke liye banaya hai. …

Raaja Benjamin ke bhavishyevaani ke shabd hamare dino mein ham par laagoo hote hai. …

Usne apne logon aur hamein suraksha ki ekmaatr nishchit chattaan par nirmaan karne ke liye aamantrit kiya, jo Rakshak hai. Unhonne spasht kiya ki ham sahi aur galat ke beech chunne ke liye swatantr hai aur hum apni chunaawon ke parinaamo se bach nahin sakte hain. …

Hamare swabhaav badal jaate hain, ek chote bachche ke jaisa, Parmeshwar ke aagyaakaari aur adhik pyaar karne waale ban jaate hai. Wah parivartan hamein Pavitr Aatma ke maadhyam se aane waale uphaaron ka aanand lene ke yogye banaega. Aatma ki sangati hamein dilaasa degi, maargdarshaegi, aur mazboot karegi. …

Jab jiwan mein tufaan aate hai, to aap sthir ho sakte hai kyonki aap Ishu Masih mein apne vishwaas ki chattaan par khade hai. Wah vishwaas aapko roz pashchataap aur lagaataar vachan ka paalan karne ke liye prerit karega. Tab tum Use sada yaad rakhoge. Aur nafrat aur paapon ke tufaanon ke beech, tum sthir aur aashaavaan mehsoos karoge. …

… Ek namr aur pyaar karne waale bachche ki tarah, Uski madad ko swikaar karein. Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka mein Uske di gayi vachano ko banae aur paalan karein jo Woh pradaan karta hai. Woh aapko mazboot karega. Rakshak Apne aur hamare Swarg ke Pita ke ghar ke raaste mein aane waale tufaanon aur suraksha ke sthaanon ko jaanta hai. Wah raasta jaanta hai. Woh hi Raasta hai.