2010-2019
Aao, Sabhi Parmeshwar ke Putron
April 2013


19:25

Aao, Sabhi Parmeshwar ke Putron

Hum mein se har ek dharamshaastra ko saaodhaani se dhoondhe, apne jiwan ki yojna kisi lakshye se banaae, sachchaai ko gawahi ke saath sikhlaae, aur Prabhu ki sewa pyaar ke saath kare.

Saal ke do baar is mahaan Sammelan Kendra hum se yah batlaata hai ki, uske lubhaaone awaaz se, “Aao, sabhi Parmeshwar ke putron jinhone purohiti ko paaya hai.” 1Yahan par ek vishesh aatma hai jo Girjaghar ke maha purohiti sabha mein pravesh karta hai.

Aajraat yahan par kai hazaaron purohiti ke rakhne waale hai duniya bhar mein jo Prabhu ki sewa Uske prachaarakon ki tarah kar rahe hai. Jaise maine is subha apne sandesh mein batlaya hai, hamare paas 65,000 pachaarakhen hai abhi sewa mein, saath mein kai hazaar jo missionary training center ko jaane ke liye intazaar kar rahein hai ya jinke arziyan abhi parivartit ho rahi hai. Hum unhein pyaar aur prashansa karte hai jo anukul aur utsukh se sewa ko karna chahate hai.

Pavitra dharamshaastra mein koi ghoshna itni sammilit nahi hai, koi zimmedari itni zyaada zaroori nahi hai, koi bhi shikshan aagya se itna saral nahi hai punaharjiwit Prabhu se jab Wah gyara chelon ke paas Galilee mein aaya tha. Usne kaha:

“Isliye tum jaakar sab jaatiyon ke logon ko chela banaao aur unhe Pita aur Putra aur Pavitra Aatma ke naam se baptisma do:

“Aur unhe sab baate jo maine tumhe aagya di hai, manna sikhaao: aur dekho, main jagat ke ant tak sadeo tumhare sang hoon.”2

Yah divye aagya, uske mahaan vaade ke saath, aaj ke liye hamara kaarye ka maargdarshan hai jaesa Ishu ke dharti par hone ke samay par tha. Prachaar kaarye Ishu Masih ka Girjaghar Antim-din Santon ka ek mashoor kaarye hai. Yah is tarah hamesha hota hai; aur isi tarah hamesha hota rahega. Jis tarah Bhavishyevakta Joseph Smith ne batlaya hai, “Sab kuch kehne ke baad, sab se mahaan aur zaroori kaarye hai ki Susamachaar ko prachaar karo.”3

Do chote saalon mein, sabhi pure-samay ke prachaarakein jo abhi sewa mein hai Parmeshwar ke raajye sena mein apne kaarye ko khatam karenge aur apne gharon aur pyaare logon ke paas waapis laut jaaenge. Elders ke liye, aajraat unki sthaan lene waale yahan Girjaghar ke Aaronic Purohiti mein hai. Jawaan purush, kya tum tayyaar ho jawaab ke liye? Kya tum kaarye karne ke liye tayyaar ho? Kya tum sewa ke liye tayyaar ho?

Sabse behtar, prachaar kaarye ek vyakti ke jeene ke tarike mein bhaari badlaao laata hai. Iske liye zyaada samay aur bahut shraddha, nishkam prabhubhoj aur utsuk prarthna ki avashyakta hai. Parinaam mein, samarpit prachaar sewa anant khushi ke uphaar ko deta hai jo maranshilta aur anantta tak jaata hai.

Yah chunaoti hai ki zyaada laabhdayak sewak bano Prabhu ke baag mein. Yah hum sab par laagu hota hai, jo bhi hamara umar ho, aur unke liye nahi jo pure-samay ke prachaarakon ki sewa ke liye tayyaar ho rahe hai, hum sab ko aagya milta hai ki Masih ke susamachaar ko baate.

Main ek vidhi ko sanket karna chahata hoon jo hamara safalta pakka karega: pehla, dharamshaastra ko saaodhaani se dhoondho; dusra, apne jiwan ki yojna ka lakshye banaao (aur, shaayad main aage batlaaun, apne umar ko na dekhte hue yojna banaao); teesra, sachchaai ko bayaan ke saath sikhlaao; aur chautha, Prabhu ki sewa pyaar ke saath karo.

Hum is tarkeeb ke chaaron bhaagon par gaor karein.

Pehla, dharamshaastra ko saaodhaani se dhoondho .

Dharamshaastra Parmeshwar ki gawahi deta hai aur anant jiwan ki baatein shaamil hai. Weh hamare sandesh ka buniyaad banta hai.

Girjaghar adhyan suchi pavitra dharamshaastra par gaur karta hai, yojnaabad aur sanchaalit hua tha paraspar sambandh ke shakti se. Saath mein, humko protsaahan milta hai, dharamshaastra ko har din sikhne ke liye dono akele aur apne parivaaron ke saath.

Main ek udharan dunga jiska hamare jiwan se turant taalluk hai. Mormon Dharamshaastra mein, Alma ki 17 bhaag mein, hum Alma ke khushi ke baare mein padhte hai jab usne ek baar phir Mosiah ke putron ko dekha tha aur sachchaai mein unke vishwaas ko likha tha. Lekh yah batlate hai ki “satye mein unka vishwaas aur bhi dhirh ho chuka tha, kyunki weh viveki purush the aur Prabhu ki vaani ko bhali prakaar jaanne ke liye unhonne parishram ke saath shaastron ka adhyan kiya tha.

“Itna hi nahi unhonne prarthna aur upwaas bhi bahut kiye the; is kaaran unmein bhavishyevaani karne ki bhaaona aur gupt baato ke bhed kholne ki yogta thi aur jab weh shiksha dete tab Parmeshwar ke dwara praapt bal aur adhikaar ke saath shiksha dete the.”4

Bhaaiyon, dharamshaastra ko saaodhaani se dhoondho.

Dusra humare farmula mein: apne jiwan ki yojna ka lakshye banaao.

Shaayad koi bhi yuva peedi ne is aaj ke yuva ke zaroori faeslon ko nahi jhela hoga. Skool, mission, aur shaadi ki tayyaari zaroor hona chahiye. Kuch ke liye, saenik sewa shaamil hoga.

Mission par jaane ka tayyaari jald hi shuru hota hai. Dhaarmikta ki taeyaari ke saath, ek bhudhimaan maata-pita apne jawaan putra ko uske vyaktigat prachaarak nidhi par jaane ke liye sab kuch karenge. Use shaayad anewaale saalon mein badhaawa mil sakta hai dusri bhaasha ko sikhne ka taaki weh, agar zaroori ho, uske bhaasha gun istamaal ho sakein. Ant mein wah mahaan din aata hai jab bishop aur stake adhyakshta us jawaan purush ko bhent ke liye amantrit karta hai. Laayakta ki jaanjh hoti hai; ek prachaarak ki sifaarish pura hota hai.

Dusre kisi aur samay ke dauraan pure parivaar itni utsukta se daakiya ko dekhte aur intazaar nahi karte the aur patra jis pe waapis aane ka pata likha hota tha 47 East South Temple, Salt Lake City, Utah. Patra aata; dubhidha se baahar nikaalte hai; niyukti padhi jaati hai. Zyaadatar kaarye ke liye praapt hui sthaan ghar se dur hota hai. Sthaan ko na dekhte hue, phirbhi, tayyaar aur aagyakaari prachaarak ka jawaab wahi hota hai: “Main sewa karunga.”

Tayyaari ki shuruwaat hoti hai. Jawaan purush, main asha karta hoon ki tum apne maata-pita ke balidaan ko dhanyewaad dete ho jo weh hasi-khushi se kartey hai tumhe sewa karne ke liye. Unke kaarye tumhe banaye rakhte hai, unke badhanti tumhe badhaawa denge, unke prarthanaen tumhe madad karenge. Ek mission ek parivaar ka kaarye hai. Chahe tum shaayad kisi bhi tarah se ek dusre se dur ho deshon ya saagaron se, hirday ek hotein hai.

Bhaaiyon, jab tum apne jiwan ki yojna ka lakshye banate ho, yaad rakho ki tumhare prachaarak mauke ek sahi niyukti ke samay se bandhi hui nahi hai. Tum mein se koi jo sena mein sewa karte ho, yah samay laabhdaayak ho sakta hai aur hona chahiye. Har saal jawaan purush jo sena mein hai (wardi ko pehente ) Parmeshwar ke yojna mein kai aatmaon ko laate hai apne purohiti ka aadar kar ke, Parmeshwar ke aagyaon ka paalan kar ke, aur dosron ko Prabhu ke diviye vaani ko sikhla kar.

Prachaarak banne ke apne saobhaagye ko andekha nahi karo jab tum apne sahi shiksha karte ho. Tumhare Antim-din Santon ke uddhaaran ko dekha jaata hai, tola jaata hai, aur aksar nakal kiya jaata hai.

Bhaaiyon, chahe kuch bhi tumhara umra ho, kuch bhi stithi ho, main tumhe apne jiwan ka lakshye ki yojna karne ko kehta hoon.

Ab humare farmula ke teesre vichaar mein: sachchaai ko bayaan ke saath sikhlaao.

Devdut Peter ke salaah ko nibhaao, jisne kaha. “Aur jo koi tumse tumhari aasha ke vishay mein kuch puche, to use uttar dene ke liye sadeo tayyaar raho par namrata aur bhaye ke saath.”5 Apne awaaz ko upar karo aur Parmeshwar ke sahi kaarye ko bayaan karo. Mormon Dharamshaastra ke liye apni gawahi do. Mukti ki yojna ka mahaan aur sundar sachchai ko batlaao.

Jab maine mission adhyakshata ki tarah sewa kiya Canada mein 50 saalon se bhi pehle, ek jawaan prachaarak jo ek chote se, gaao se aaya tha Toronto ka aakaar dekh kar achambhit hua. Wah dikhne mein chota tha magar gawahi dene mein maahir. Uske aane se bahut pehle hi nahi, uske saathi ke saath mein, usne Canada, Ontario, Oshawa mein Pollard Elmer ghar ko bhent kiya. Un jawaan purushon ko dekh dukhit hokar, jo gambheer barfile tofaan ke dauraan, ek se dusre ghar ja rahe the, Mr Pollard ne pracharakon ko apne ghar mein amantrit kiya. Unhonne usko apna sandesh diya. Usne aatma ko mehsoos nahi kiya. Us samay usne unse kaha ki weh chale jaaein aur waapis na aaye. Uske antim vaani elders ke jaane se pahale uske varaandeh mein khilli udaane waale the: “Tum mujhe yah nahi batla sakte ho ki tum sahi mein vishwaas karte ho ki Joseph Smith Parmeshwar ka ek bhavisyevakta tha!”

Darwaaza bandh tha. Elders maarg par niche chale gaye. Humare gaao ke ladke ne apne saathi se kaha: “Elder, humne Mr Pollard ko jawaab nahi diya. Usne kaha ki hum vishwaas nahi karte hai ki Joseph Smith ek sachcha bhavishyevakta hai. Hamein uske paas waapis jaakar apna gawahi ko dena chahiye.” Pehli baar aur zyaada anubhao waale prachaarak ne inkaar kiya magar ant mein apne saathi ke saath jaane ko tayyaar hue. Darte hue weh us darwaaze par pahunche jaha se weh nikaale gaye the. Unhonne khatkhataya, Mr Pollard se mille, peeda bhara samay se intezaar kiya, aur phir Aatma ke shakti ke saath, hamare anubhaoheen prachaarak ne kaha: “Mr Pollard, tumne kaha ki hum sahi se vishwaas nahi karte hai ki Joseph Smith Parmeshwar ka bhavishyevakta hai. Main tumhe bayaan deta hoon ki Joseph ek bhavishyevekta tha.Usne Mormon ki Dharamshaastra ko anuwaad kiya tha. Usne Parmeshwar jo Pita hai aur Ishu jo Putra hai ko dekha hai. Main jaanta hoon.”

Kuch samay baad, Mr Pollard, abh Bhaai Pollard, purohiti sabha mein khade hue aur batlaya. “Us raat main so nahi saka. Main vaani ko baar baar sunnta raha ‘Joseph Smith Parmeshwar ka bhavisyevakta hai. Main jaanta hoon. Main jaanta hoon. Main jaanta hoon.’ Dusre din mainne prachaarakon ko phone kiya aur unhe dobara aane ko kaha. Unke sandesh, unke gawahi ke saath, ne mere jiwan ko badal diya aur mere parivaar ke jiwan ko bhi.” Bhaaiyon, sachchaai ko gawahi ke saath sikhlaao.

Humare formula ka antim vichaar yah hai ki Prabhu ki sewa pyaar ke saath karo. Yahan par pyaar ke liye koi dusra cheez nahi hai. Safal hue prachaarake apne saathiyon, unke mission netaon, aur jo anmol logon ko weh sikhlaaten hai unhe woh pyaar karte hai. Doctrine and Covenants ke chauthe bhaag mein, Prabhu ne kaarye ke dekhrekh ke liye anubhaon ko banaya. Kuch verses ko dekhte hai:

“O aap jo Parmeshwar ke sewa ko karte ho, yah dekho ki tum apne pure hriday, bal, mann, aur shakti ke saath sewa karte ho, ki tum antim din Parmeshwar ke aage nirdosh raho. …

“Aur vishwaas, asha, dayaluta aur pyaar, Parmeshwar ke mahima mein ek samaan ho, jo use kaarye ke liye safal kare.

“Yaad rakho vishwaas, sadgun, gyaan, aatma-nirbharta, shaanti, bhaai ki tarah daya, pavitrata, paropkaar, vinamrata, parishrami.”6

Tum mein se har ek jo mujhe baatein karte hue sun rahe ho khud se ek sawaal pucho “Aaj, kya main vishwaas mein, sadgun mein, gyaan mein, pavitrata mein, pyaar mein badha hoon?”

Tumhare samarpit bhakti ke saath ghar ya pardes mein, jin aatamaon ko tum bachane ki madad karo shaayad weh ho jinhe tum sab se zyaada pyaar karo.

Kai saal pehle mere priye mitron, Craig Sudbury aur uski maa, Pearl, mere daftar mein aaye Craig ke Australia Melbourne Mission par jaane ke sambhandh mein. Fred Sudbury, Craig ke pita, waha par nahi tha. Pachchis-saal pahale, Craig ki maa ne Fred se shaadi kiya tha, jisne Girjaghar ke liye apne pyaar ko nahi baanta aur, vaastav mein, sadasye nahi tha.

Craig ne mere saath apne maata-pita ke liye gahara aur ant tak ke pyaar ko batlaya aur uski aasha ki kisi tarah, kuch tarike se, uske pita ko Aatma ki ahesaas ho aur Ishu Masih ke susamachaar ke liye apne hriday ko khole. Maine prerna ke liye prarthna kiya ki kis tarah yah ichcha puri ho sake. Prerna mili, aur maine Craig se kaha, “Parantu apne sampurn mann se Uski upaasna karo. Apne pavitra niyukti par aagyakaari raho. Har safta apne maata-pitaon ke paas patra likho, aur samay par, Pita ke paas vyaktigat rup se likho, aur use batlaao ki tum use kitna pyaar karte ho, aur use batlaao ki tum uske putra hone se kitne abhari ho.” Usne mujhe dhanyewaad diya aur, apne maa ke saath, daftar se chale gaye.

Main Craig ki maa ko kuch 18 mahinon tak nahi dekha tha, jab wah mere daftar mein aayi aur, rotey hue, mujh se kaha, “Yah lag bhag do saal ho gaya hai Craig ko mission par jaaye hue. Usne har safta hamare paas patra ko likha hai. Abhi jald, mere pati, Fred, ne gawahi sabha mein pehli baar khade hue aur mujhe aur sabhi ko jo wahan par the ko chakit kiya unse kehte hue ki usne nirnay kiya hai ki wah Girjaghar ka sadasye banega. Usne yah batlaya ki woh aur main Australia jaenge Craig se milne jab uski mission khatam ho jayega taaki Craig aakhri baptisma ho Fred ke ek pure-samay prachaarak ki tarah.”

Koi bhi prachaarak ko Craig Sudbury se ki tarah gaurav nahi hua tha us baptisma ko kar jab, Australia mein-dur, apne pita ko madad kiya usne kamar-bhar paani mein jaane ke liye, apne daaein haath ko square mein uthaate hue, un pavitra vaani ko kaha: “Frederick Charles Sudbury, Ishu Masih se niyukt hue, main tumhe Pita aur uske Putra, aur Pavitra Aatma ke naam se baptisma deta hoon.”

Pyaar ne vijay praapt kiya. Prabhu ki sewa pyaar ke saath karo.

Bhaaiyon, hum mein se har ek dharamshaastra ko saaodhaani se dhoondhe, apne jiwan ki yojna kisi lakshye se banaae, sachchaai ko gawahi ke saath sikhlaae, aur Prabhu ki sewa pyaar ke saath kare.

Hamare aatma ka sahi maargdarshan dene waala, prachaarak jisne insaan ko bachaya, ne hume Apna divye vaada diya:

“Agar hum apne sabhi dinon mein pashchataap ke in logon ke liye rote rahe aur sirf ek aatma Parmeshwar ke paas laaye, hamein bahut khushi hoga Pita ke raajye mein us vyakti ke saath!

“Aur agar hamari khushi ek aatma se hota hai jise hum Uddhaarkarta ke paas Pita ke raajye mein laate hai, kitna bada hoga hamara khushi agar hum kai aatmaon ko Uske paas laae!”7

Uske liye jisne yah vaani ko kaha hai mainne apne gawahi ko bayaan kiya: Wah Parmeshwar, hamare Muktidaata, hamare Uddhaarkarta ka Putra hai.

Main prarthna karta hoon ki hum shaayad Uske daya se bhare nimantran ko jawaab dein, “Tu mere piche ho le.”8Uske pavitra naam se—jo hai Prabhu Ishu Masih ke naam se—amen.