Surakshit Roop se Ghar pe Ikatthit Hona
Hum Israel ko parde ke dono or ikattha karne ki ek anokhi stithi me hai jaisa ki Pita ki yojna ke anusaar kabhi nahi tha.
President Russell M. Nelson, hamaare priye profat, ne bikhre hue Israel ko ikattha karne aur duniya ko Ishu Masih ke Dusre Aagman ke liye taeyaar karne me hamaari anokhe zimmedaari par zyaada zor diya hai.1 Hamaare aatmaon ke Pita chaahate hai kee uske bachche surakshit roop se ghar pe mile.
Hamaare Swargiye Pita kee Apne bachchon ko hamaare swargiye ghar me suraksha se ikattha karne kee yojna saansaarik safalta, aarthik stithi, shiksha, jaati ya ling par adhaarit nahi hai. Pita kee yojna dhaamikta, Unki aagyaaon ka paalan karne, aur pavitr dharamvidhiyon ko praapt karne aur hamare dwara banae gaye vachano ka sammaan karne par adhaarit hai.2
Divye roop se prerit siddhaant kee hum sabhi bhaai aur bahen hai aur “sabhi Parmeshwar ke roop me hai” ikattha karne ke is mahaan kaarye ko rekhaankit karta hai. Yeh siddhaant un logon ke anuroop hai jo behtar jeevan ka anubhao karne ke liye vividh aarthik aur nasliye stithi waale logon kee gehri ichcha rakhte hai. Hum saath dete hai aur ayse prayaason me shaamil hote hai. Iske alaawa, hum chahate hai ki Parmeshwar ke sabhi bachche Uske paas aaen aur anant ashirwaadon ko praapt kare jo woh apne susamachaar ke maadhyam se pradaan karta hai.3 Doctrine and Covenants ke prastaavna me, Usne ghoshna karte hai, “Tum door se suno; aur tum jo samundar ke dweepon par ho, ek saath suno.”4
Mujhe achcha lagta hai kee Doctrine and Covenants kee sabse pehli verse me woh log shaamil hai jo “samundar ke dweepon” par hai. Mere paas samundar ke dweepon me sewa karne aur rehne ke liye teen khaas niyuktiyaan(calls) mile. Maine pehli baar British Dweepon me ek jawaan prachaarak ke roop me sewa kee, dusri baar Philippine Dweep samooh me ek naye Jenral Adhikaari ke roop me, aur phir Pacific Dweep samooh me Area President(Chetriye Pradhaan) ke roop me sewa kee, jisme Polynesian dweep samooh bhi shaamil hai.
In teeno kshetron ne Ishu Masih ke punahsthaapit susamachaar ke liye vishwasiyon ko safaltapurwak ikattha kiya hai. Mishaneris pehli baar 1837 me British Dweepon me pahunche. Yeh Joseph Smith ke Kirtland Mandir ke samarpan ke ek saal baad tha, jahaan Moses ne “prithvee ke chaaron or se Israel ko ikattha karne kee chaabiyaan ko, aur uttar kee bhoomi se das tribes ke aguwaaon ko phir se sthaapit kiya.”5 British Dweepon me shuruaatee safalta lejendry hai. 1851 tak, Girjaghar ke aadhe se adhik sadasye British Dweepon me rehne waale baptisma le chuke waale converts(parivartit) the.6
1961 me, Elder Gordon B. Hinckley ne Philippine Dweep samooh ka daora kiya aur full-time mishaneri prayaason ki shuruaat ki. Us samay kewal ek Philippino Melchizedek Pristhud rakhnewaala tha. Aashcharyejanak roop se, Philippine Dweep samooh me aaj Girjaghar ke 850,000 se adhik sadasye hain. Mai Philippine ke logon ki prashansa karta hoon; unke paas Rakshak ke liye gehra aur sthaayee prem hai.
Polynesian Dweepon ke liye chal rahe mishaneri prayaas ke baare me shaayad kam jaana jaata hain. Yeh 1844 me shuroo hua jab Addison Pratt French Polynesia pahuncha jo use ab kaha jaata hai.7 Kai Polynesian pahile se hi shaashwat parivaaron me vishwaas karte the aur Ishu Masih ko apne Rakshak ke roop mein swikaar karte the. Aaj lagbhag 25 percent Polynesian, Polynesian Dweep samooh me, Girjaghaar ke sadasye hai.8
Maine ek baar door Tahiti dweep par ek 17 varshiye ladki ki baat sunee jo saatwe-peedhi ki sadasye thee. Usne apne poorvajon ko shraddhaanjali arpit ki, jo 1845 me Tubuai me parivartit hue the, Girjaghar ke shuruaati sadasyon ke Salt Lake Valley me aane se do saal pahile.9
Hamaara siddhaant spasht hai ki sabhi logon ke liye susamaachaar sandesh praapt karne aur pratikriya dene ka ek samay aur ek mausam hoga. Ye udhaaran bahut badi tasveer ka ek hissa hai. President Nelson ne lagataar zor diya hai ki Israel ka ikattha hona “sabse badi chunaoti, … kaaran, aur … aaj prithvi par kaarye hai.”10
Ishu Masih ke Girjaghar ki Punahsthaapna tak, jisme Mormon Dharamshaastr ka aana aur Profat Joseph Smith ko diye gaye praktikaran aur pristhud ki chaabiyaan shaamil hai, Israel ko ikattha karne ki samajh khandit aur seemit thee.11
Jo vishisht naam “Israel” hai, Jacob ko pradaan ki gayi upaadhi thi.12 Yeh Isaac aur Jacob ke zariye Abraham ke vansh ka pratinidhitv karne aaya tha. Pita Abraham ke liye mool pratigya aur vachan Abraham 2:9–10, me nirdhaarit ki gayi hai, jo kuch ayse likha hai:
“Aur mai tujh se ek badi desh banaunga, …
“Aur mai tere naam ke dwara [sabhi deshon ko] ashieesh doonga; kyunki jitne is Susamachaar ko grahan karenge woh tere naam se pukaare jaenge, aur tere vansh gine jaaenge, aur uthakar tujhe apne pita ke samaan dhanye kahenge.”
Maransheel awastha se pehle jab Swarg me Salaah-Mashaora hua, uddhaar ki yojna par charcha ki gayi aur swikaara gaya. Ismen duniya ki neev se pehle sthaapit purohiti dwara ayojit kuch kaanoon aur adhyaadesh shaamil the aur ikattha hone par aadhaarit the.13 Ismen chunne ki shakti ke badalne waale siddhaant ko bhi shaamil kiya gaya tha.
Saul, David aur Solomon ke shaasankaal sahit kaee shataabdiyon ek shaktishaalee logon ke roop me ke baad, Israel vibhaajit ho gaya tha. Judah ka gotr(tribe) aur Benjamin ka gotr Judah ka raajye ban gaya. Bache kuche, das gotr(ten tribes) ke naam se jaane gaye, Israel ka raajye ban gaye.14 200 saalon ke alag astitv ke baad, Israel ka pehla bikhraav 721 BC poorv me hua jab Israel ke das gotron ko Assyrian raaja dwara bandi banakar le jaaya gaya.15 Woh baad me uttar ke deshon me gaye.16
600 BC me Morman ka Pustak ke shuruaat me, Pita Lehi Israelites ke ek colony ko America le gaya. Lehi Israel ke bikhraav ko samajh gaya jiska woh ek bhaag tha. Use Nephi dwara yeh kehte huwe dohraya gaya hai ki Israel ke gharane “kee tulna jaitoon ke ped se kee jaanee chahiye, jiski shakhaaon ko toda jaana chahiye aur poori prithvi par bikher dena chahiye.”17
Kahe-jaane waale Naye Duniya me, Mormon ka Pustak me jaise likha gaya hai Nephitiyon aur Lamanaitiyon ka itihaas lagbhag 400 AD me samaapt hota hai. Pita Lehi ke vanshaj poore America me faele huwe hain.18
Yeh Mormon dwara 3 Nephi 5:20 me spasht roop se batlaya gaya hai, jisme likha hai: “Mai Mormon hoon, aur Lehi ka suddh vanshaj hoon. Mere paas apne Parmeshwar aur apne Rakshak Ishu Masih ko dhanye kahane ka kaaran hai, ki woh hamare purwajon ko Jerusalem desh se nikaal le aaya.”19
Spasht roop se Israel ke chronological itihaas me uchch samay hai jab hamare Prabhu aur Rakshak, Ishu Masih ka janm, sandesh, prachaar kaarye aur mishaan hua.20
Rakshak ke anantkaal-ko-aakaar dene waale mrtyu aur Punarjiwan ke baad, Judah ka doosra prasiddh bikhraao 70 AD aur 135 AD ke beech hua, jab Roman utpeedan aur atyachaar ke kaaran Jews us-samay ki duniya bhar me bikhar gaye.
President Nelson ne sikhaya hai, “Mormon Dharamshaatr ek chinh ke roop me saamne aaye ki Prabhu ne [un] vachanbadh bachchon ko ikattha karna shuru kiya tha.”21 Is prakaar, Mormon Dharamshaastr Parmeshwar ke uphaar aur shakti ke dwara Profat Joseph Smith dwara anuwaadit, Lehi ke vanshajon, bikhre Israel, aur Gentiles ko nirdeshit kee jaati hai jinhein Israel ki gotron me apnaaya gaya hai. 1 Nephi 22 ke shirshak me kuch aesa likha hai, “Israel prithvi ke poore chehre pe tithar-bithar ho jaaega—Gentiles anth ke dino me susamachaar ke saath Israel ka dekhbhaal aur paalan-poshan karenge.” Mormon Dharamshaastr ka shirshak paej me likha hai ki iska ek uddesh “Jews aur Gentiles ko yeh vishwaas dilaana hai ki Ishu hi Masih hai.” Punahsthaapna aur Mormon Dharamshaastr ke saath, Israel ko ikattha karne ka siddhant bahut bada ho gaya hai.22
Jo vansh ki parwaah kiye bina Ishu Masih, ke susamachaar ko swikaar karte hai, woh ikatthit Israel ka hissa ban jaate hai.23 Us ikattha hone aur kayi mandiron ke nirmaan aur ghoshna ke saath, hum Israel ko parde ke dono or ikattha karne ki ek anokhi stithi me hai, jaisa ki Pita ki yojna ke anusaar kabhi nahi tha.
President Spencer W. Kimball, Israel ke vaastavik ikattha hone pe bolte huwe, ne kaha: “Ab, Israel ke ikatthe hone me shaamil hai sachcha girjaghar me shaamil hona aur … sachche Parmeshwar ka gyaan paana. … Isliye, koi bhi insaan, jisne punahsthaapit susamachaar ko swikaar kar liya hai, aur jo ab apni bhaasha me aur anye deshon me jahan woh rehte hai, Santo ke saath Prabhu ki aaraadhna karna chahate hai, usne Israel ki sabha ke kaanoon ka paalan kiya hai aur sabhi ka utaradhikaari hai in antim dino me Santo ne jo ashirwaad dene ka waada kiya tha.”24
“Israel ka ikattha hona me ab parivartan shaamil hai.”25
Saaf roop se samjha jaae toh, Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dino ke Santo ka ke sadasye ko pyaar karne, baatne, aamantrit karne, aur Israel ko ikattha karne me madad karne ka mahaan saobhaagye hai, taaki woh Prabhu ke vachan sambandhit asheeshon ki paripoornata praapt kar sakein. Isme Africans aur Europeans, Dakshin aur Uttari Americans, Asians, Australians, aur woh jo samundar ke dweepon par rehte hai shaamil hai. “Kyunki Prabhu ki aawaaz sabhi manushye ke liye hai.”26 “Yeh ikattha hona tab tak chalti rahegi jab tak log sansaar ke anye deshon me Santo ki sabha me ikatthe na ho jaaye.”27
President Russell M. Nelson se zyaada khul kar kisi ne bhi ikattha hone par baat nahi ki hai: “Jab bhi aap kuch bhi karte hain jo koi bhi veil ke donon or—Parmeshwar ke saath anubandh banane aur unke aavashyak baptisma aur mandir dharamvidhiyon ko praapt karne ki disha me ek kadam uthaen, toh aap Israel ko ikattha karne me madad kar rahe hai. Yah itni hi saral hai.”28
Aaj Girjaghar kahan hai? 1960 me mishan sewa shuru karne ke 62 saalo baad, prophet ke call ke tahat sewa karne waale pure-samay ke prachaarakon ki sankhya 7,683 se badhkar 62,544 ho gayi hai. Mishans ki sankhya 58 se badhkar 411 ho gayi hai. Sadasyo ki sankhya 1,700,000 se badhkar 17,000,000 ho gayi hai.
COVID-19 mahamaari ne susamachaar ko baatne ke hamare kuch maokon ko kuch dino ke liye roka tha. Isne nayi techneek ka upyog karne ka anubhao bhi pradaan kiya, jo ikattha hone ko bahut badhaega. Hum abhaari hai ki sadasye aur mishanariyaan ab bikhre huwe Israel ko ikattha karne ke koshishon ko badha rahe hai. Badhanti har jagah jaari hai, khaas kar ke Dakshin America aur Africa me. Hum is baat ki bhi saraahna karte hai ki duniya bhar me bahut se logon ne mishanari sewa me badhanti laai President Nelson ke shaktishaali nimantran ke jawaab me. Phir bhi, pyaar karne aur amantrit karne ki hamari lagan ka bahut badhanti kiya jaa sakta hai.
Is mishaneri koshish ka ek zaroori hissa yeh hai ki har ek sadasye prakaashniye-uddhaaran bane29jahan bhi hum rehte hain.30 Hum chup kar nahi baeth sakte. Sabhi logon ke liye dayaluta, dhaarmikta, khushi, aur sachche prem ka hamara Masih jaisa uddharan na kewal unke liye ek maargdarshak prakaash stambh(beacon) bana sakta hai balki yeh samajh bhi hai ki Ishu Masih ke punahsthaapit susamachaar ke uddhaar aur utkarsh ki dharamvidhiyon me ek surakshit aashray hai.
Kripya samjhein ki Ishu Masih ke susamachaar ko batlaane me badhiya ashirwaadein hai. Dharamshaastr anand aur shaanti. paapo ki chama, behkaawon se suraksha, aur Parmeshwar ki shakti ko banae rakhne ki baat karte hain.31 Is maransheel jiwan se baahar dekhte huwe, hum unke saath susamachaar baatne ke liye taeyaar rahenge “mritkon ki aatmaon ke mahaan sansaar me andhere me aur paap ke bandhan me.”32
Aaj mera vishisht praathna har ek bachche, yuwak, yuwatee, parivaar, aur quorum, Sahayak Sanstha, aur kaksha ke liye hai ki woh is baat ko ikattha karne me madad karne ke liye naatakiye paramarsh ko swikaar karte hai jo ki Prabhu aur hamare priye profat dwara jaari kiya gaya hai.
Hum ajency ka sammaan karte hai. Is dharnirpejsh sansaar me, bahut se log pratikriya nahi denge aur Israel ke ikattha hone me bhaag nahi lenge. Lekin bahut se log karenge, aur Prabhu un logon se apeksha karte hai jinhonne Unke susamachaar ko praapt kiya hai woh tatkaal ek prakaash-stambh banne ka prayaas karein jo doosron ko Parmeshwar ke paas aane me madad karega. Yeh prithvi bhar me hamare bhaaiyon aur bahano ko Ishu Masih ke punahsthaapit susamachaar ki alaukik asheeshon aur vidhiyon ka anand lene aur surakshit roop se ghar pe milne ki anumati deta hai.
Mai Ishu Masih ki divyeta aur Ishu Masih ke naam par hamare liye swarg ki yojna me hamare Pita ki sahi aur achchi devdut ki gawahi deta hoon, amen.