Maha Sammelan
Prabhu Ishu Masih Hume Dekh-rekh karna Sikhaata hai
April 2023 maha sammelan


11:29

Prabhu Ishu Masih Hume Dekh-rekh karna Sikhaata hai

Uddhaarkarta ki madat se, ham uskee bahumoolye bhedo se prem kar sakte hain aur unkee dekh-rekh kar sakte hain jaise woh chaahata hai.

Hamare Prabhu Ishu Masih ne kaha:

“Main achcha charwaaha hoon, aur achcha charwaaha apne bhedo ke liye jaan de sakta hai. …

“Jaise Pita mujhe jaante hai, vaise hi main Pita ko jaanta hu: aur main memno ke liye apni jaan de sakta hu.”1

Greek version ki dharamshastra mein, achche shabd ka arth ya bhee hai ki “khoobsurat, shaandar.” Toh aaj, main us achche Charwaaha ke vishay mein baat karna chahata hu, vah khoobsurat Charwaha, vah Shaandar Charwaaha, yaha tak ki Ishu Masih.

Naya Niyam mein, vah “mahaan charwaaha,”2 ke naam se jaana jaatha hai “mukhye Charwaaha,”3 aur “[hamaare] prano ka Charwaaha aur Bishop.4

Purane Niyam mein, Isaiah ne likha hai ki “Vah charwaaha ki tarah apne bhedo ko charaega.”5

Mormon Dharamshastra mein, “Use achcha charwaaha” bulaya jaata hai6 aur “mahaan aur sachcha charwaaha.”7

Doctrine and Covenants mein, vah ghoshna karta hai, “Isiliye, main tumhaare beech mein hoon, aur main achchha charwaaha hoon.”8

Hamaare dino mein, President Nelson ne goshna kee hai: “Achcha Charwaaha pyaar se Apnee bhedshaala kee sabhee memno kee dekh-bhaal karta hai, aur ham Uske sachche upcharvaahe(undershepherds) hain. Unka prem sehna hamaara saobhagy hai aur doston aur padosiyon ke saath apna pyaar bhi dene ke liye—unhein khaana khilaana, unka dekh-bhaal karna, aur unka paalan-poshan karna—jaisa ki Uddhaarkarta hamse karwaana chaahate hai.”9

Abhi haal hi mein, President Nelson ne kaha hai, “Prabhu ke sachche aur jeevit Girjaghar kee ek pehchaan hamesha ek sangathit, nirdeshit prayaas hogee jo Parmeshwar ke vyaktigat bachchon aur unke parivaaron kee sewa karegee. Kyunki yeh Uska Girjaghar hai, hum log Uske sewak banke uh ek ke sahayta dega, jaise Uh karis raha. Hum long dekh-rekh karega Uske naam par, Uske shakti aur adhikaar se, aur Uske premi-dayaa se.”4

Jab Pharisees aur shaastree(scribes) Prabhu ke khilaaph, “kahane lage, yah manushye paapiyon se milta hai, aur unke saath khaata bhee hai,”11 Unhonne teen sundar kahaaniyaan bataate hue uttar diya jinhen ham khoee huee memne ka kahani kehte hai, khoe hue sikke ka kahani aur udaoo(prodigal) putr ke kahani ke roop mein jaante hain.

Yah dhyaan rakhna dilchasp hai ki jab Luke, Susamaachaar lekhak, teen kahaaniyon ka parichay de raha hai, to vah kahani shabd ka prayog ekvachan(singular) mein karta hai, bahuvachan(plural) mein nahin.12 Aisa maaloom hota hai ki Prabhu teen kahaaniyon ke saath ek anokhee shiksha de rahe hain, kahaaniyaan jo alag-alag number, 100 bhed, 10 sikke aur 2 bete pesh karte hain.

Haalanki, in mein se pratyek kahaanee mein nirnaayak sankhya nambar ekhai. Aur ham us sankhya se ek sabak seekh sakte hain ki aap 100 elders ke liye ek upcharvaahe ho sakte hain aur prospective elders tumhaare elders quorum mein, ya 10 yuvatiyon kee salaahakaar, ya 2 praathamik bachchon ke liye ek shikshak, lekin tum hamesha, hamesha unka dekh-rekh karna, unkee dekh-bhaal karein aur unhen ek-ek karke, vyaktigat roop se pyaar karein. Aap kabhi nahi kahana ki, “Kya moork memna hai,” ya “Aakhirkaar, mujhe us sikke ki zazoorat nahi hai,” ya “Vah kitna bagawatee putr hai.” Agar tumhare aur mere paas “Masih ka shuddh prem hai,”13 ham, khoee huee memne kee kahaanee ke aadmee ke roop mein, “ninyaanbe(ninety and nine) ko chhod denge … aur jo kho gaya hai uska peecha karenge, jab tak, [… jab tak … jab tak ham] use khoj nahin lete.”14 Ya khoe hue sikke kee kahaanee mein mahila ke roop mein, ham “mombatti jalayenge, aur jhaadoo ghar mein lagayenge, aur lagan se kojenge, [… lagan se] jab tak, […jab tak … jab tak ham] ise nahin dhoondte.”15 Agar hamaare paas “Masih ka shuddh prem hai,” udaoo putr kee kahaanee mein ham Pita ke uddhaaran ka anusaran karenge, jab beta “abhee bahut door tha, … use dekha, aur taras khaakar, dauda, aur use gale lagakar, chooma.”16

Kya ham us aadmee ke dil mein atiavashyakta mehsoos kar sakte hain jisne keval ek bhed kho dee? Ya us stree ke hrday mein vah utaavlaapan jisne keval ek sikka kho diya? Ya udaoo putr ke pita ke dil mein akathaniye prem aur karuna?

Meri patni, Maria Isabel, aur main Central America mein sewa kiye the, Guatemala Shahar mein reh kar. Wahan mujhe Julia se milne ka mauka mila, Girjaghar ka ek wafaadaar sadasye. Mujhe aisa laga ki main us se uske parivaar ke baare mein poochoo. 2011 mein unkee maa kee cancer se maut ho gaee thee. Uske pita apne stake mein ek wafadaar leader the, kaee varshon tak ek bishop ke roop mein aur apne stake president ke roop mein sewa kar chuke the. Woh Prabhu ka sachcha upcharvaaha tha. Julia ne mujhe milne, sewa karne, aur apne athak prayaason ke baare mein bataaya. Woh vaastav mein Prabhu kee bahumoolye bhedon ko charaane aur unkee dekhbhaal karne mein aanandit tha. Unhonne punarviwaah kiya aur Girjaghar mein sakriy(active) rahe.

Kuch saal baad, uska talaakh ho gaya aur ab use ek baar phir akele Girjaghar jaana pada. Woh akela mehsoos karta tha aur yah bhee mehsoos karta tha ki uske talaakh ke kaaran kuch log uskee aalochana(critical) kar rahe the. Usne Girjaghar jaana band kar diya kyonki ek nakaaraatmak(negative) aatma uske hrday mein bhar gaee thee.

Julia ne is adbhut upcharvaahe ke baare mein prashansa kee, jo ek mehnatee, pyaar karne waala, aur dayaalu vyakti tha. Mujhe spasht roop se yaad hai ki jab woh uska varnan(describing) kar rahee thee to mere mann mein atyaavashyakta ka bhaavna aaya. Main sirf us purush ke liye kuch karna chahata tha, ek purush jisne itne saalon mein itne logon ke liye bahut kuchh kiya tha.

Usne mujhe uska cell phone number diya aur main use call karne laga, unse vyaktigat roop se milne ka avsar milne kee ummeed mein. Kuch hafte baad aur kaee, kaee phone bina saphalta ke, ek din usne aakhirkaar phone ko answer kiya.

Maine unse kaha ki main Julia aur unki beti se mila, aur ki itne varshon tak jis tarah se usne dekh-rekh kee, sewa kee, aur Bhagwaan kee bahumoolye bhedo se prem kiya, us se main prabhawit ho gaya . Unhein is tarah kee tippani kee ummeed nahin thee. Maine us se kaha ki main vaastav mein uske saath aamne-saamne milna chaahata hoon. Unhone mujhse is tarah kee meeting ka prastaav karne ka mera uddeshy poochha. Maine jawaab diya, “Main vaastav mein aisee adbhut mahila ke pita se milna chaahata hoon. Phir kuch pal ke liye phone par khaamoshee chhaa gaee—woh kuch pal jo mujhe anant kaal (eternity) kee tarah lag rahe the. Usne bas ithna kaha, “Kab aur kaha?”

Jis din main unse mila, maine use Prabhu kee bahumoolye bhedon ke paas jaane, dekh-rekh karne, aur unkee sewa karne ke apne kuch anubhavon ko mere saath baatne ke liye aamantrit kiya. Jab woh kuch mehsoos karne waali kahaaniyaan suna raha tha, maine dekha ki uskee aawaaz ka swar badal gaya tha aur usee bhaavna ko usne kaee baar mehsoos kiya tha jab ek charwaaha waapas aaya tha. Ab uske aankh mein aasoo bhar aaya tha. Main janta tha ki yah samay mere liye uchit hai, lekin mujhe nahin pata ki kya kahana hai. Maine mann hee mann praathna kee, “Pita, meri madat karo.”

Achaanak, maine khud ko kahate hue suna, “Brother Florian, Prabhu ke sewak ke roop mein main aapke liye wahaan nahin hone ke liye kshama chaahata hoon. Kripya hamein maaf kare. Hamein ek mauka doh ki ham tumhe batta sake ki hum log tumse kithna prem karte hai. Ki hamein tumhari zaroorat hai. Ki tum hamaare liye mahatvapoorn ho.

Agle Raviwaar woh waapas aa gaya. Usne apne bishop ke saath lamba baat kiya aur sakriye raha. Kuch saal baad uska mrithyu ho gaya—lekin woh waapas aa gaya tha. Woh sach me waapas aa gaya thaa. Main gawahi deta hu ki Uddhaarkarta ki madat se, ham uskee bahumoolye bhedo se prem kar sakte hain aur unkee dekh-rekh kar sakte hain jaise woh chaahata hai. Aur isliye, Guatemala City mein Prabhu Ishu Masih ek aur keemtee bhed ko vaapas apne baade mein le aae. Aur usne mujhe sevakaee par ek aisa paath sikhaaya jise main bhool nahin sakata. Woh Achcha Charwaha, woh Khoobsurat Charwaaha, woh Shaandar Charwaha, yaha tak ki Ishu Masih ke naam, amen.