Maha Sammelan
Mainne jo Dekha aur Sunna hai Uska Ek Rikord
April 2024 maha sammelan


Mainne jo Dekha aur Sunna hai Uska Ek Rikord

Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santo ka sadasye ban ne ke liye aaj se behatar samay kabhi nahin raha.

Kanoon skool se greduwat hone ke baad, mainne aur meri patni Marcia ne traayal(trial) kanoon mein visheshagyata(specialized) waali ek kanoon firm mein shaamil hone ka faisla kiya. Jaise hi mainne apna on-da-job training shuru kiya, mainne apna bahut sara samay bitaaya mukadame mein gawahi dene ke liye gawahon ko taeyaar karne me. Hamein jaldi hi pata chala ki tathye (facts) ka nirnay adaalat kaksh mein gawahon ke roop mein kiya jaata tha, shapath ke tahat(under oath), un donon ne jo kuch dekha aur suna tha uski sachchai ki gawahi dee. Jaisa ki gawahon ne gawahi dee, unke shabdon ko rikord kiya gaya aur surakshit kiya gaya. Meri taeyaari mein vishwasaniye gawahon ka mahatv hamesha sabse aage tha.

Mujhe yah mehsoos karne mein der nahin lagi ki ek vakil ke roop mein main har din jin shabdon ka upyog kar raha tha, wahi shabd main apne susamaachaar sambandhi vaartaalaapon mein bhi istemaal karta tha. “Saakshi” aur “gawahi” aise shabd hain jinka upyog ham Ishu Masih ke susamaachaar ki sachchaai ke baare mein apne gyaan aur bhaavanaon ko sheyar karte samay karte hain.

Jab mujhe ek nae Area Seventy ke roop mein kaayam kiya gaya, Main apne kartavyon ko sikhne ke liye dharamshaastra ko khol kar padha Doctrine and Covenants 107:25, jismen kaha gaya hai, “Sattar ko bhi bulaaya jata hai … Gentiles aur baaki sab duniya ke logo ke liye veh khaas gawahi dete hain.” Jaise aap kalpana sakte ho, meri nazar “vishesh gawah” shabd par padi.” Mere liye yah samajh ae ki gawahi dena mera zimmedaari hai, ki main duniya mein jaha bhi yaatra karoon, Ishu Masih ke naam ki gawahi doon.

Dharamshaastra mein un logon ke kai udhaaran hain jo gawah the aur jinhonne jo kuch dekha aur suna uskee gawahi dee.

Jab praacheen profat Mormon ne apna rikord shuru kiya, usne lika, “Aur jab main, Mormon, un cheezon ka abhilekha banaata hoon jo mainne dekhi aur sunni hai, aur isse Mormon kee Pustak kahunga.”

Uddhaarkarta ke Apostal Peter aur John ne Nazareth ke Ishu Masih ke naam par ek vyakti ko theek kiya. Jab weh Ishu ke naam par baat na karne ki aagya dee gai, to unhonne uttar diya:

“Ki kya yah Parmeshwar ke nikat bhalaa hai, ki ham Parmeshwar ki baat naa maankar tumhari baat maane.

“Kyunki yah toh ham se hee nahi ho sakta, ki jo hamne dekha aur sunna hai, wah nah kahe.”

Ek aur sammohak gawaha Mormon kee Pustak ke Santon se aati hai jo Uddhaarkarta Ishu Masih ki yaatra ke gawah the. Unke gawah ka yah matlab sunen: “Aur iss prakar unhonne gawahi dee: jab hamne dekha aur Ishu ko Pita se baat karte sunna tab itni mahan aur adhbhut cheeze hui jisse pahela ankho ne nah kabhi dekha tha, na hi kaano ne kabhi sunna tha.”

Bhaiyon aur bahanon, aaj main apni gawahi ghoshit karta hoon aur jo kuch ham Prabhu Ishu Masih ke Sattarven(Seventy) ke roop mein apne pavitr mantraalay ke dauraan dekha aur suna hai uska rikord banaata hoon. Aisa karke ham tumhe ek pyaare Swarg ke Pita aur Unke dayaalu Putr, Ishu Masih ki gawahi deta hoon, jo dukh saha, mar gae aur Parmeshwar ke bachchon ko shaashvat jeevan pradaan karne ke liye phir se jee uthe. Mein“adbhut kaarye aur aashcharye” ki gawahi deta hoon aur yah ki Prabhu ne Apne jeevit profats aur apostals ke maadhyam se prthvi par Apne susamaachaar ko punarsthaapit(restore) karne ke liye ek baar phir Apna haath badhaaya hai. Jo hamne dekha aur suna hai uske aadhaar par main iski gawahi deta hoon, Ishu Masih ke Antim-dinon ke Santo ka Girjaghar ke sadasye ban ne ke liye aaj se behatar samay kabhi nahin raha. Mein ise apne khud ke gyaan se jaanta hoon,aur kisi aur kee gyan se nahi, kyunki jo mainne dekha aur sunna hai.

High skool ke apne senior varsh ke dauraan, seminary se greduwat hone ke liye, mujhe Girjaghar ke sabhi 15 mandiron ki pahechan karni thee. Har ek mandir ki ek tasveer hamari kaksha ke saamne thee, aur mujhe yah jaanana tha ki har ek mandir kaha sthapit hai. Ab, varshon baad, 335 sanchaalit—aur ghoshit mandiron mein se har ek ki—pahechan karna ek badi chunauti hogi. Ham vyaktigat roop se Prabhu ke inme se kai gharon ko dekha hai aur gawahi deta hain ki Prabhu Apna aashirvaad de raha hai aur duniya bhar mein Uske adhik se adhik bachchon ke liye ordinensas ho raa hain.

FamilySearch mein mere doston ne mujhe sikhaya hai ki weh har din FamilySearch mein das laakh se adhik nae naam jodte hain. Agar tumhe kal apna poorvaj nahin mila, to ham tumhe kal phir se dekhne ke liye aamantrit karenge. Tab Israel ko veil ke dusri taraf ikattha karne ki baat aati hai, Ishu Masih ka Antim-dinon ke Santo ka Girjaghar ka sadasye banane ke liye aaj se behatar samay kabhi nahin raha.

Apne bachchon ka paalan-poshan Twin Falls, Idaho mein kiya, duniya bhar Girjaghar ke baare mein mera drshtikon seemit tha. Jab mujhe Jenral Adhyaksh ban ne ke liye bulaya gaya, to Marcia aur main Pacific Area mein sewa kar rahe the, ek aisi jagah jaha ham kabhi nahin gae the. Ham New Zealand ke oopar se lekar niche tak stakes paakar hamein ek mandir ke saath ko dekhkar khushi hue, jise 1958 mein samarpit kiya gaya tha. Yah un 15 mein se ek tha jinhe mujhe serminary mein yaad karna tha. Hamen Australia ke har pramukh shahar mein, us mahaadveep ke sabhi stakes mein mandir mile. Hamare paas Samoa mein kaam the, jaha 25 stakes hain, aur Tonga, jaha lagbhag aadhi aabaadi Girjaghar ke sadasye hain. Hamen Kiribati dveep par ek kaarye saupa gaya tha jaha hamne do stakes ko paya. Hamare paas Marshall Islands mein Ebeye aur Papua New Guinea mein Daru mein stakes ka daura karne ka kaarye tha.

Pacific Islands mein hamare sewa karne ke baad, hamen Philippines mein sewa karne ke liye niyukt kiya gaya. Mujhe aashcharye hua, ki Philippines mein Ishu Masih ka Girjaghar meri kalpana se kahi adhik badh raha tha. Ab 125 stakes, 23 mishans aur 13 ghoshit mandir hain. Mainne us desh 850,000 se adhik sadasyon wala ek girjaghar dekha. Hamne duniya bhar mein Masih ki Girjaghar ki sthaapana kaise miss kardiya?

Philippines mein teen saal bitaane ke baad, mujhe Missionary Department mein sewa karne ke liye kaha gaya. Mera kaam hamen duniya bhar ke mishanon mein le gaya. Uddhaarkarta ke duniyabhar Girjaghar ke baare mein mera drshtikon teji se badta gaya. Marcia aur maine Asia mein mishanon ka daura karne ke liye niyukt kiya gaya tha. Hamen adbhut, waphaadaar sadasyon ke saath Singapore mein ek sundar Stake sentar mila. Hamne Malaysia ke Kota Kinabalu mein ek chaipal mein sadasyon aur mishanariyon se mulaakaat ki. Ham Hong Kong mein mishanariyon se mile aur waphaadaar, samarpit Santon ke saath ek adbhut stake sammelan mein bhaag liya.

Jab ham pure Europe, Latin America, Caribbean aur Africa mein mishanariyon aur sadasyon se mile to yah anubhav dohraaya gaya. Ishu Masih ke Girjaghar Africa mein jabaradast vikaas ka anubhav kar raha hai.

Main Ishu Masih ke susamaachaar ki chal rahi Punahsthaapana aur Prabhu ke profat ki bhavishyavaani ki ankho dekha gawah hoon ki “Parmeshwar ka sachch saahaspurvak, mahan aur svatantr roop se aage badhega, jab tak ki yah har mahaadveep mein pravesh nahin kar leta, har mausam ka daura nahin kar leta, har desh mein bah nahi jaata, aur har kaan mein aavaaz sunai nahi deta. ”

Duniya bhar mein phaile hamare adbhut mishanariyon ki sankhya 71,000 hai. Sadasyon ke saath milkar kaam karte hue, weh har mahine 20,000 se adhik logon ko bapatisma dete hain. Haal hee mein 18-, 19- aur 20 saal ke yuva purushon aur yuvatiyon ne, Prabhu ki madad se, sabha ke is shaktishaali chamatkaar ko anjaam diya hai. Ham in yuvatiyon aur yuvakon ko Vanuatu ke chote gao aur New York Paris aur London ke bade shaharon mein paate hain. Hamne unhen Fiji mein antrik bhaag ki sabhaon aur Texas, California aur Florida jaisi jagahon par badi sabhaon mein Uddhaarkarta ke baare mein padhaate aur karte dekha hai.

Sabhi ko prthvee ke har kone mein 60 alag-alag bhaashaen bolne vaale mishanari mil jaayenge aur Matthew 28 mein Uddhaarkarta ke mahan aadesh ko pura karte hue: “Tum jao, aur sabhi raashtron ko sikhao, ki ve Putra, aur Pavitra Aatma ke naam se baptisma lein.” Ham Girjaghar ke ateet aur vartamaan mishanariyon ko sammaan deta hoon aur hamari badhti peedhi ko President Russell M. Nelson’ ke Israel ko ikattha karne ke nimantran ko yaad dilaata hoon.

Main aaj gawahi deta hoon ki mainne Uddhaarkarta ke susamaachaar ki is gahan Punahsthaapana ko apni aankhon se dekha hai aur ise apne kaano se sunna hai. Main duniya bhar mein Parmeshwar ke kaarye ka gawah hoon. Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santo ka sadasye ban ne ke liye aaj se behatar samay kabhi nahin raha.

Shaayad Punahsthaapana ka sabse preranaadaayak chamatkaar jo mainne dekha hai woh aap hain, har desh mein Girjaghar ke vaphaadaar sadasye. Tum, Antim-dinon ke Santon, Nephi dwara Mormon kee Pustak mein varnit hain, jaisa ki unhonne hamare din ko dekha aur gawahe dee, “Aur aysa hua ki mai, Nephi ne, Parmeshwar ke Memne ki shakti ko dekha, ki wah Memne ke girja ke santon ke upar aur Parmeshwar ke shartnaama ke antargat, aane waale logon ke upar aayijo saare jagat mein faele huwe the; aur weh satyanishta ke hatiyaar liye huwe aur Parmeshwar ke shakti ke saath the mahaan mahima mein.”

Main gawahi deta hoon ki mainne apni aankhon se wahi dekha hai jo Nephi ne dekha tha—aap, har desh mein vachan Santon, dhaarmikata aur Parmeshwar ki shakti se lais. Jab main duniya ke in mahan raashtron mein se ek mein manch par tha, Prabhu ne mere man mein vah baat ankit kar dee jo Raaja Benjamin ne Mormon kee Pustak Mosiah 2 mein sikhai thee. Brent, “Aur iske alaava, me chaahunga ki tum un logon ki dhanye aur khushahaal sthiti par vichaar karo jo Parmeshwar ki aagyaon ko maanate hai. Dekho, unko sabhi baaton mein aashirwaaad praapt hota hai chahe woh shaaririk ho ya aatmik ”

Main tumhe gawahi deta hoon ki mainne ise apni aankhon se dekha hai aur ise apne kaanon se suna hai kyunki main aapse mila hoon, prthvee bhar mein Parmeshwar ke vaphaadaar Santon jo aagyaon ka palan karte hain. Tum Swargiye Pita ki vachan ke bachche hai. Tum Ishu Masih ke shishye ho. Tum bhi vahi jaante hain jo main jaanta hoon kyunki tumhe Ishu Masih ke punarsthaapit susamaachaar ki sachchai ki apni vyaktigat gawahi mil gai hai. Uddhaarkarta ne sikhaya ki: “Dhanye hai tumhare aankhein, jo dekh sakte hai, aur kaan, ko sun sakte hai.”

Prabhu ke nirdeshan aur Unke profats aur apostal ke netrtv mein ham mishanariyon ko taeyaar karna, pavitr anubandh banaana aur unka paalan karna, duniya bhar mein Masih ke Girjaghar ki sthaapana karna aur Parmeshwar ki aagyaon ka palan karne se milne vaale aashirvaad praapt karna jaari rakhenge. Ham ekjutt hai. Ham Parmeshwar ke bachche hain. Ham Unko jaante hai aur Unko pyaar karte hai.

Ham sab doston ek saath milkar,ekjutt hokar gawahi dete hain ki ye baaten sach hain. Mainne jo dekha aur sunna hai uska ek rikord. Tum aur main gawah hain jo gawahi dete hain. Is ekajut gawahi ki shakti se hi ham Prabhu Ishu Masih aur Unke susamaachaar mein vishwaas ke saath aage badhte rahte hain. Mein gawahi deta hoon ki Ishu Masih jiwit hai. Woh hamare Uddhaarkarta aur Muktidaata hai. Ishu Masih ke naam se, amen.

Chaapo