Hamare Samay ke Liye Shikshan
Melchizedek Purohiti aur Sahayak Sanstha ke chauthe Raviwaar ka paath “Hamare Samay ke liye Shikshan” par arpith hoga. Har ek paath ki tayyaari haal ki maha sammelan ke ek ya zyaada bhaashan se ki ja sakti hai (niche diya gaya chart dekho). Stake aur jila adhyaksh yeh chun sakte hai ki kaun se bhaashanon ka istemaal kiya jaaye, ya woh yeh zimmedaari bishop aur shaakha adhyaksh ko bhi de sakte hai. Netaaon ko yeh zor dena chahiye ki Melchizedek Purohiti ke bhai aur Sahayak Sanstha ki bahane in mahatvapurn bhaashan ko nirdeshit Raviwaar ko hi padhe.
Woh jo chauthe-Raviwaar ke paath mein bhaag lete hai unhein protsaahit kiya jaata hai ki woh maha sammelan ke haal ke patrika ko padhe aur saath laaye.
Bhaashan se Paath ki Tayyaari ke Liye Tippaniya
Prarthna karein ki Pavitra Aatma aap ke saath ho jab aap in bhaashan(on) ko padhe aur padhaae. Aap apna paath anye bhaashanon se tayyaar karne ke liye aakarshit ho sakte hain, magar maha sammelan ke bhaashan swikritik abhilekh hain. Aap ki niyukti hai ki aap auron ki madad karein susamachaar ko sikhne aur jeene ke liye jaise Girjaghar ki haal ki maha sammelan mein sikhlaaya gaya hai.
Gaurpurwak bhashan(on), ko padhe aur unmein un niyamon ko dhoondhe jo kaksha ke sadasyon ki zarooraton ki purti karta hai. Aur un kahaniyon, dharamshaastron ke sandarbh, bhaashan(on) ke un bayaanon ko dhoondhe jo in sachchaaiyon ko padhaane mein madad karein.
Kaise un niyamon aur siddhaanton ko padhaana hai uska naksha banaye. Tumhare nakshe mein kaksha sadasye ke madad ke liye sawaal hone chahiye:
-
Bhaashan(on) mein niyamo aur siddhaanton ko dhoondhiye.
-
Unke arth ke baare mein sochiye.
-
Apna jaankaari, vichaar, anubhav, aur bayaan baantein.
-
In niyamon aur siddhanton ko apne jiwan mein aazmaaen.
Paath Sikhlaaye Gaye Mahine |
Chauthe-Raviwaar ke Paath ke Utpaadan |
---|---|
April 2012–October 2012 |
April 2012 maha sammelan mein diye gaye bhaashan* |
October 2012–April 2013 |
October 2012 maha sammelan mein diye gaye bhaashan* |