2012
Pahaad Chadhne ke Liye
May 2012


Shikshan Sandesh Bhent, May 2012

Pahaad Chadhne ke Liye

Agar hamare paas Ishu Masih mein vishwaas ho, sab musibaton aur sabse saral samay jiwan mein ashirwaad ho sakte hai.

Pradhaan Henry B. Eyring

Mainne suna Pradhaan Spencer W. Kimball ko, ek sammelan ke sabha mein, Parmeshwar se mangte hue ki use pahaad de chadhne ke liye. Usne kaha: “Hamare aage bahut chunaotiyaan hai, badi aosaren aane ko. Main us utejit aasha ka swaagat karta hoon aur yeh kehna chahata hoon Prabhu se, vimanrata se, ‘Mujhe yeh pahaad do,’ mujhe yeh chunaotiyaan do.”1

Mere dil mein prerna mili thi, kyun ki main, jaanta tha, kuch chunaotiyaan aur parikcha ko usne pehle hi jhela tha. Mainne ichcha mehsoos kiya un ki tarah banne mein, Parmeshwar ke ek bahadur sewak banne ke liye. Isliye ek raat mainne parikcha ke liye prarthna kiya apne himmat ko jaanne ke liye. Mujhe thoda kuch yaad hai. Raat ko main apne kamre mein ghutne par hua ek vishwaas ke saath jisse mera dil bharne waala tha.

Ek ya do din mein mera prarthna ka jawaab mil gaya tha. Sabse bada parikcha mere jiwan ka ne mujhe hayraan aur vinamar kiya. Usne mujhe dobhaag ka paath diya. Pehla, mere paas saaf saboot tha ki Parmeshwar ne mere prarthna ko suna aur jawaab diya. Magar dusra, mainne paath shuru kiya jo aaj bhi main sikh raha hoon yah jaanne ke liye ki kyun mainne us raat ko us tarah ki saahas ko mehsoos kiya tha ki ek mahaan aashirwaad musibat se mil sakta hai jo kisi aur kharche ko kam karta hai.

Woh parikcha jisne mujhe anubhao diya kai din pehle ab chote lagte hai uske milaan mein jo abhi hai-mere liye aur unke jinhe main pyaar karta hoon. Tum mein se kai sharirik, maansik, aur gambheer pariksha ko abhi jhel rahe ho jo tumhe rula sakta hai jis tarah ek mahaan aur vishwaasi Parmeshwar ke sewak ne kiya tha jise main achchi tarah se jaanta hoon. Uske nars ne use peeda ke khaat par se chilate hue suna, “Jab mainne apni puri jiwan mein achchaai karne ki koshish kiya hai, aysa mere saath kyun hua?”

Tum jaante ho ki kis tarah Prabhu ne us sawaal ka jawaab diya tha Bhavishyevakta Joseph Smith ke liye jel ke kamre mein:

“Aur agar use gaddhe mein feka gaya, ya khooniyon ke haathon mein diya gaya, aur maut ki saza hui; agar use gehre paani mein feka gaya; agar lehrein use kheench le gaya; agar gambheer hawaein uski dushman hui; agar swarg andheri ho jaaye, aur sabhi cheezein saath mein ho jaaye raasta rokne ke liye; aur phir, agar nark ka darwaaza uske liye khul jaaye, use jaanna chahiye ki yeh sabhi cheezein use anubhao dega, aur uske achchaai ke liye hoga.

“Prabhu ne kaha ki Insaan ke Putra unhe piche chod aaye hai. Kya Joseph un se mahaan tha?

“Prabhu ne kaha ki raaste par rukh jaao, aur purohiti uske saath hona chahiye; kyunki unke daaire bana liye gaye hai, woh paar nahin kar sakenge. Joseph ke dinon ko jana gaya, aur uske saalon ko kam ginti nahin ki gai; use us se darna nahin tha jo insaan kar sakte hai, kyunki Parmeshwar unke saath hoga hamesha hamesha ke liye.”2

Wahan par aur koi bhi achcha jawaab nahin tha ki kyun pariksha aati hai aur hamein kya karna hai Prabhu ke khud ke vaani se, kitne gambheer pariksha se guzra ki hum uski kalpana nahin kar sakte.

Tumhe uski vaani yaad hogi jab usne salah diya tha ki hamein, Us mein vishwaas se, pashchataap karna hai:

“Isliye main tumhe aagya deta hoon ki pashchataap karo- pashchataap karo, ya main apne vaani ke talwaar se marunga, aur mere gusse aur mere krodh se, aur tumhara jhelna pidith hoga-kitna pidedaar tum nahin jaante, kitna mushkil hoga sunna tum jaan nahin sakte.

“Uddhaarkarta ne kaha ki usne in cheezon ko jhela hai taaki woh nahin jhele agar woh pashchataap kare;

“Uddhaarkarta ne kaha ki agar log pashchataap nahin karenge, woh usi tarah jhelege jis tarah usne jhela;

“Uske jhelna ne use, Parmeshwar ko bhi, sabhi se mahaan, ko girna pada peeda ke kaaran, sabhi chedh se khoon nikla, aur donon sharir aur aatma ne jhela—aur kaha ki kya ayesa ho sakta tha ki woh us peeda se bach sakein—

“Kuch bhi kam nahin, Usne Pita ko mahima diya. Usne jhela aur khatam kiya apne tayyaari ko hamare liye.”3

Tumhare aur mere paas vishwaas hai ki un musibaton ko jhelenge aur paar karenge ki “Gilead mein malham milega”4 aur Prabhu ne vaada kiya hai ki, Mai tujhe … na chodunga.”5 Woh wohi hai jo Pradhaan Thomas S. Monson ne hamein sikhlaya hai ki hum apni aur un ki madad kare jinki sewa karte hai seemit rup se akela aur mahaan musibaton mein.6

Magar Pradhaan Monson ne ya bhi sikhlaya hai ki vishwaas ki sachchai ka neev ko banana un vaadon ki vaastavikta mein samay lagta hai banane mein. Tumne us neev ki zaroorat ko dekha hoga, jaise mainne dekha, kisi ke khaat ke paas ant tak jhelne ke sangharsh ko chodne ke liye tayyaar rehna. Agar vishwaas ka neev hamare dil ka bhaag nahin, anth tak jhelne ki shakti mar jayegi.

Mera mahatva aaj hai ki main batlaau kya main jaanta hoon na hil sakne waali neev banane ke baare mein. Main bahut vinamrata ke saath karta hoon do kaaranon se. Pehla, jo main kahunga kuch ko niraash karega jo bade pariksha ke beech mein jhel rahe honge aur woh mehsoos karenge ki unke vishwaas ki neev gir rahi hai. Aur dusra, main jaanta hoon ki usse bada parikcha mere aage hai jiwan ke ant se pehle. Isliye, jo aadesh main tumhe de raha hoon abhi pura hona hai jiwan ke ant tak jhelne se.

Ek jawaan aadmi ki tarah mainne ghar bananewaale ke saath kaam kiya tha futings aur neev ko naye ghar ke liye banate hue. Garmi ke mausam ke garmi mein kathin tha kaam karna dharti ko us futing ke liye tayyaar karne ke liye jis mein cemant dala jaaega. Us samay koi mashin nahin tha. Humne kudaari aur sabbal ka istemaal kiya tha. Imaaraton ke tikaau neev ko banana un dinon mein kathin kaarye tha.

Uske dhaerye ki zaroorat bhi thi. Futing ko chodne ke baad, humne use sukhne ke liye intazaar kiya. Hum chahate the ki kaarye aage badhte rahe, humne neev mein girane ke baad aur intazaar kiya tha prakaar ko nikaalne se pehle.

Aur bhi zyaada aage badhane ka kaarye tha naye ghar bananewaale ke liye jo kathin aur samay lagnewaala kaarye karta prakaar mein lohe ki chadi ko rakhna neev ko shakti dene ke liye.

Hamara lagataar sahi chunna jab kabhi bhi hamare aage chunaao aata hai hamare vishwaas ke niche thos dharti ko banata hai. Yeh bachpan mein shuru ho sakti hai jabki sabhi aatma muft mein Masih ki Aatma ka uphaar paakar paeda hota hai. Us Aatma se hum jaan sakte ki humne sahi kiya hai Parmeshwar ke saamne aur jab humne bura kiya uski nazar mein.

Us chunaao, jo kai dinon mein saw baar hota hai, thos dharti ko tayyaar karti hai jis pe hum vishwaas ki ghar ko bana sakein. Lohe ki prakaar jismein hamara vishwaas choda jaata hai woh hai Ishu Masih ka susamachaar, uske sabhi vaadon, dharamsiddhaanton, aur mul ke saath.

Ant tak ke vishwaas ka ek chaabi hai ki sahi jhanjh kare jamne ke samay ka. Yeh woh kaaran hai ki main jald apne jiwan mein prarthna karne mein murakh tha ki unche pahaadon par chadhne aur bade pariksha paane ke liye.

Woh sansadhan khud samay ke saath nahin aata, magar wahan samay lagta hai. Budha hona akele nahin hota. Yeh Parmeshwar aur dusron ki sewa hamesha pure dil aur aatma se karne se milti hai jo hamare sachchai ke gawahi ko dhaarmik shakti mein badal kar tootne nahin deti.

Ab, main unhe shakti dena chahata hoon jo musibaton ke beech mein hai, jo mehsoos karte ki unki vishwaas kam ho rahi hai musibaton ke dabaao se. Pariksha khud hi tumhara raasta ho sakta hai shakti ka aur kabhi na tootne waali vishwaas ka. Moroni, Mormon ki Dharamshaastra mein Mormon ka putra, ne hamein batlaaya ki kis tarah woh atal aashirwaad mil sakta hai. Woh saadharan aur meethe sachchaai ko sikhlaata hai ki sirf vishwaas ki ek daali par amal karke Parmeshwar ko aagya milta hai use badhane ka:

“Aur ab, main, Moroni, in baaton ke vishye mein kuch kahoonga; main jag ko dikhaunga ki vishwaas ayesi cheeze hai jis ki aasha ki jaati hai, woh dikhaai nahin deta, isliye agar woh dikhaai nahin deta tab us par sandeh mat karo, kyunki iske liye tumhe tab tak shaakshi nahin mil sakti jab tak ki tumhare vishwaas ki pariksha na ho jaaye.

“Mrit hokar ji uthne ke pashchaat vishwaas ke kaaran hi Masih ne hamare purwajon ko darshan diya tha; aur unse apne aap ko tab tak nahin dikhaaya jab tak ki unhonne us par vishwaas nahin kiya; isliye us par kuch logon ka hi vishwaas tha, isliye usne apne aap ko saare sansaar ko nahin dikhaaya.

“Isliye tum bhi aasha karo aur agar tumne vishwaas kiya tab tum bhi us uphaar ke hissedaar ho jaaoge.”7

Vishwaas ka woh chota sa ansh bahut hi anmol hai aur jise tumhe bachana hai aur istemaal karna hai kisi bhi tarike se jo tum kar sakte ho Prabhu Ishu Masih mein vishwaas se. Moroni ne vishwaas ke shakti ko is tarah batlaaya: “Aur vishwaas se pehle koi bhi chamatkaar ke kaam nahin hue the; isliye unhonne pehle Parmeshwar ke Putra par vishwaas kiya.”8

Mainne ek mahila ke sang bhent kiya jinhone paryaapt shakti ke chamatkaar ko paaya tha na kalpana kiye nuksaan ko ant tak jhelte hue sirf ek sadhaaran chamta ke saath in shabdon ko dohrati rahi “Main jaanti hoon ki mera Muktidaata jiwit hai.”9 Woh vishwaas aur un shabdon ke gawahi abhi bhi hai jabki uske bachpan ki yaadein mit chuki hai magar puri tarah se nahin.

Usne dhire se kaha, “Yeh sabse badhi cheeze hai jo mainne kabhi kiya hai, magar mujhe pata tha ki mujhe yeh karna hai. To mainne kiya.” Uski vishwaas ki Uddhaarkarta use maaf kar dega agar usne dusron ko maaf kiya shaanti ke ehsaas se aur aasha se use tayyaar kiya jab woh kuch hi mahinon baad guzar gayi thi apne pashchataap na karnewaale dushman ko maaf karne ke baad.

Usne mujhse pucha, “Jab main wahan pahunchungi, swarg kaisa hoga?”

Aur mainne kaha, “Main aapke vishwaas azmaane aur maaf karne ki chamta ko dekhkar jaanta hoon ki woh tumhare liye badhiya ghar prawesh hoga.”

Mere paas ek aur protsaahan hai jo main unko dena chahata hoon jo jaanna chahate hai ki unke Ishu Masih mein vishwaas kitna hoga ki woh anth tak jhel sakenge. Tum mein se kuch jo abhi sunn rahe ho, jab tum jawaan the ko sunn kar mujhe aashirwaad, shakti, zyaada uphaar mili hai tumhare ird-gird ke kai logon se, phir bhi tumne woh jana jo Uddhaarkarta ne kiya hota. Tumhare kai aashirwaadon mein se tumne tarikon ko paaya madad aur dekhrekh karne ke liye jinhe tumne andekha ya buri nazar se dekha hoga apni jiwan mein.

Jab badi pariksha aati hai, use anth tak ke liye jhelne ka vishwaas wahan rahega, bana hua jo ab tum dekhoge magar pehle jab tumne Masih ke sachche pyaar ko aazmaya hoga woh wahan nahin tha, sewa aur auron ko maaf karna jis tarah Uddhaarkarta ne kiya hoga. Tum apne vishwaas ke neev ko us tarah pyaar karne se banaya jis tarah Uddhaarkarta ne pyaar kiya tha aur Uski sewa karne se. Tumhara Us mein vishwaas ne tumhe daan ke kaarye tak pahunchaya jo tumhe aasha dega.

Kabhi der nahin hui hai vishwaas ke neev ko mazboot karne ke liye. Hamare paas hamesha samay hai. Uddhaarkarta mein vishwaas ke saath, tum pashchataap kar sakte ho aur chama maang sakte ho. Wahan par koi hai jise tum maaf kar sakte ho. Wahan par koi hai jise tum dhanyewaad kar sakte ho. Wahan par koi hai jiski tum sewa kar sakte ho. Tum woh kar sakte ho tum jaha kahi par ho aur kitne bhi akele aur viraan tum mehsoos kar rahe ho.

Main tumhare kathinaai ke liye anth nahin vaada kar sakta is jiwan mein. Main tumhe yeh batla nahin sakta ki tumhare parikcha kuch hi chan ke liye hoga. Jiwan mein parikcha ka ek charitra hai ki woh hamare samay ke anusaar dhimi hoti aur phir lagbhag ruk hi jaati.

Us ke liye kaaran hai. Un karanon ko jaanne se sukh bahut nahin milta, magar woh tumhe dhaerye ki ehsaas de sakta hai. Woh kaaran ek hi sachchai se milta hai: unke tumhare liye Apna sachcha pyaar, Swarg ke Pita aur Uddhaarkarta tumse chahata hai ki tayyaar raho Unke saath rehne ke liye parivaaron ke sang sabhi samay. Sirf woh jo Ishu Masih ke Praeshchit se puri tarah saaf hue hai wahan par reh sakte hai.

Meri maa ne cansar ki bimaari ko10 saalon ke liye jhela. Ilaaj aur aupreshan aur anth mein khaat par hi rehna uske kuch pariksha the.

Mujhe yaad hai mere pitaji kehte hue jab usne uske aakhri saans ko lete hue dekha tha ki, “Ek choti si ladki apne ghar chali gayi araam karne ke liye.”

Uske shaoyaatra mein ek batlanewaale uska ek bahan ka pati aur mitra tha Pradhaan Spencer W. Kimball. Un gungaan jo unhonne kiya, mujhe us mein se ek yaad hai jo aysa tha: “Tumne socha hoga ki Mildred itne dinon tak tadpi aur itna zyaada kyunki usne kuch galat kiya tha jiske liye pariksha zaroori thi.” Usne tab kaha, “Nahin, woh tha ki Parmeshwar use aur achcha banana chahate the.” Mujhe yaad hai main us samay socha karta tha, “Agar ek mahila jo itni achchi hai ko itna pariksha ki zaroorat hai, to mere liye kya hoga?”

Agar hamare paas vishwaas hai Ishu Masih mein, sab musibaton aur sabse saral samay jiwan mein ashirwaad ho sakte hai. Sabhi stithiyon mein, hum sahi ko chunn sakte hai Aatma ke maargdarshan ke saath. Hamare paas Ishu Masih ka susamachaar hai jo hamare jiwan ko rup aur sanchalan karte hai agar hum chunte hai. Aur bhavishyevaktaon ko hamare saath mukti ke yojna mein hamare sthaan ko batlaane se, hum sahi aasha aur shaanti ko mehsoos karne ke saath jiwan ko bita sakte hai. Hamein kabhi yeh na mehsoos karna padega ki hum Prabhu ki sewa mein akele ya pyaare nahin hai, kyunki hum kabhi hai hi nahin. Hum Parmeshwar ke pyaar ko mehsoos kar sakte hai. Uddhaarkarta ne vaada kiya hai ki hamare daaye aur baay devdut rahenge, hamein sunne ke liye.10 Aur Woh hamesha Apne vaadon ko pura karta hai.