2012
Mandir mein Sewa karna
August 2012


Yuva

Mandir mein Sewa karna

Jab mai 17 ka hua, mainne apne bhavishye ke baare mein gambheerta se sochna shuru kiya, aur Swarg ke Pita se prarthna kiya ki main kya kar sakta tha mission par jaane ke liye aur Melchizedek Purohiti ko paane ke liye. Mainne mehsoos kiya ki mujhe aur zyaada mandir jaana chahiye kyunki woh Prabhu ka ghar hai woh wohi sthaan hai jahan main Swarg ke Pita ke sab se kareeb mehsoos kar sakta hoon.

To mainne lakshye banaya ki main 1,000 baptisma ko ek saal mein karunga. Mainne is lakshye ko banane ki zaroorat ko sachchaai se mehsoos kiya tha; mainne upwaas rakha yeh jaanne ke liye ki kya yeh sahi hai jo mujhe karna chahiye. Hamare Swarg ke Pita ne mujhe jawaab diya, aur mainne sabhi Shanivaar ko Tampico Mexico Mandir jaana shuru kiya.

500 baptisma ko karne ke baad, mainne lakshye banaya ki main apne purwajon ki parivaar itihaas ko dhoondunga, aur mainne us dhoondne ki khoj ko itna pasand kiya ki main so nahi paata tha kyunki main naamon ko dhoondhta tha. Mainne 50 naamon ko paaya aur apne parivaar itihaas ke ant peediyon ko; mainne unke sabhi mandir kaarye ko pura karne mein madad kiya.

Mainne lag-bhag 1,300 baptisma se bhi zyaada kiya, aur mainne seminary ko pura kiya, Melchizedek Purohiti ko praapt kiya, aur ab main pure-samay ki pracharak ki tarah sewa karta hoon, jo mere jiwan ka sabse bada lakshye tha.

Chaapo