2012
Uddhaarkarta ki Niyukti Sewa ke Liye
August 2012


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, August 2012

Uddhaarkarta ki Niyukti Sewa ke Liye

Pradhaan Thomas S. Monson.

Sabhi jinhone maths ko padha hai woh jaante hai ki samaanye denominator kya hai. Antim-din ke Santon ke liye, yeh ek samaanye arth hai jo hamein saath jode rakhta hai. Yeh samaanye denominator vyaktigat niyukti hai jo hum sab praapt karte hai Parmeshwar ki yojna ko is dharti par pura karne ke liye.

Kya tum kabhi shikayat karte ho jab tumhe niyukti milti hai? Ya tum dhanyewaad ke saath swikaar karte ho har ek aosar ko apne bhaaiyon aur bahanon ki sewa karne ke liye, yeh jaante hue ki hamare Swarg ke Pita jinhe niyukt karte hai unhe Woh ashirwaad dete hai?

Mai asha karta hoon ki hum us sewa ke priye aosaron ke sahi maaine ko nahi bhulein. Is liye, woh annat lakshye, wahi hai jo Prabhu ne batlaya hai aur jo Pearl of Great Price mein paaya gaya hai: “Is kaaran, yeh mera kaarye aur mera mahima—hai ki manushye tak amaranshilta aur anant jiwan pahuncha sakoon.”1

Hamein yeh yaad rakhna chahiye ki Ishu Masih ka Girjaghar Antim-dinon ke Santon ko ki sadasyetav ka zimmedaari yeh nahi hai ki daya dikhlaaye balki zimmedariyon ko nibhaaye. Hamari zimmedaari, dosron ki sewa ke liye, hai ki hum dosron ko Parmeshwar ki divye yojna tak maargdarshan dein.

Khushi se Parmeshwar ki sewa ke raaste par chalne se, hum kabhi bhi Shakespeare ke Cardinal Wolsey ki sthaan par nahi honge. Apne jiwan ki shakti ko apne raaja ki sewa mein khone ke baad, usne udaasi se kaha:

Agar mainne sirf apne Parmeshwar ki sewa aadhe josh ke saath kiya hota

Mainne apne raaja ki sewa kiya, Woh mere umra mein nahi karta

Mere dushmanon ke saamne nihatta chod gaya.2

Swarg mein kis tarah ki sewa ki zaroorat hai? “Prabhu ko dil aur taeyaar mann ki zaroorat hai; aur taeyaar aur aagyakaari in antim dinon mein Zion ki dharti ki achchaai ko khayenge.”3

Main tham jaata hoon jab main Pradhaan John Taylor (1808–87) ki shabdon ko yaad karta hoon: “Agar tum apne niyukti ko badhaate nahi ho, Parmeshwar tumhe unke zimmedaar tehraega jinhe tum bachcha sakte the agar tumne apna kaarye kiya hota.”4

Ishu ka jiwan sachchaai ki jyoti ki tarah hai jab Woh logon ke beech dekhrekh kar raha tha. “Parantu main tumhare beech mein sewak ke samaan hoon,”5 Ishu ne dikhlaya jab Usne langdon ko chalne ki shakti di, andhon ko dekhne ki, behron ko sunne ki, aur mare hue ko jiwan diya.

Achche Samaritan ke uddhaaran ke saath, Swami ne hume sikhlaya ki tu apne padosi se apne samaan prem rakh.6 Apna jawaab mein usne dhanwaan se kaha, Usne apne swaarthparta ko chodne ko kaha.7 Paanch hazaar khaanewaalon ke saath, Usne hamein dosron ki zarooraton ko dekhne ke liye kaha.8 Pahaad par batlaane ke baad, Usne hamein sikhlaya ki pehle Parmeshwar ki raajye ki khoj karo.9

Nayi Duniya mein, punarjiwit Prabhu ne batlaaya ki, “aur tum jaante ho ki mere girja mein tumhe kya karna hai; kyunki tumne mujhe jo kaam karte dekha wahi tum bhi karna; aur un kaamon ko jis tarah mainne kiya usi prakaar se tum bhi karna.”10

Hum dosron ko ashirwaad dete hai jab hum “Nazareth ke Ishu ki parchaai par chalte hai … jo achcha karta firta tha.”11 Parmeshwar hamein ashirwaad dega khushi ko praapt karne mein Hamare Swarg ke Pita ki sewa ke dauraan jab hum Uske bachchon ki sewa dharti par karte hai.

Is Sandesh mein Se Shikshan

“[Prabhu] hamein asafal nahi hone dega agar hum apna bhaag pura karenge. Woh hamein aage badhaaega hamare apne gunon aur chamtaaon se.… Yah ek sabse achcha anubhao hai jo insaan ko mil sakta hai” (Ezra Taft Benson, Teaching, No Greater Call mein [1999], 20). Ek anubhao ko batlaao jab tum ya kisi aur ka bhi jinhe tum jaante ho ne Prabhu ke badhte hue gunon aur chamtaaon ko mehsoos kiya hoga. Parivaar ko amantrit karo ki woh apne khud ke achche anubhavon ko batlaaye jabki unhonne “Uddhaarkarta ki sewa karne ki niyukti” ko kiya tha.