2012
Zaroorat ke Samay Mein Kaarye ko Karna
August 2012


Shikshan Sandesh Bhent, August 2012

Zaroorat ke Samay Mein Kaarye ko Karna

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Tasveer
Sahayak Sanstha seal

Vishwaas, Parivaar, Sahayak

Bhent shikshakon ki tarah, humara ek lakshye hai ki hum parivaaron aur gharon ko mazboot karne mein madad karein. Bahanon hamein yeh kehna chahiye ki, “Agar mere paas koi musibat hai, mujhe pata hai ki mere bhent shikshak meri madad karenge bina mujhe unse kahe.” Sewa karne ke liye, hamare paas zimmedaari hai ki hum jaane un zarooraton ko jo bahanon ko zaroori hai jab hum bhent karte hai. Jab hum prerna dhoondhte hai, hum yeh jaanenge ki kis tarah se hum un har ek bahanon ki dhaarmik aur sharirik zarooraton ko pura kar sakte hai jinhe hume aagya mili hai bhent karne ko. Phir, apna samay, chamtaaon, yogyetaaon, vishwaas ki prarthna, aur dhaarmik aur sharirik madad ko istemaal kar sakte hai, hum unhe dayalu sewa bimaarion, mrityu, aur khaas stithiyon par pradaan kar sakte hai.1

Bhent shikshakon ki suchna ki madad se, Sahayak Sanstha pradhaan jaan lete hai jinhe khaas zaroorat hoti hai kyunki shaarirk aur ghambher bimaariyon, aapat-stithiyon, paedaish, mritiyon, aayogyata, akelapanon, ya dosre musibaton par. Sahayak Sanstha pradhaan phir apne suchna ko bishop ko deti hai. Uske maargdarshan par, woh madad pahunchati hai.2

Bhent Shikshakon ki tarah hume “mahaan kaaran … mil sakte hai khushi manane ke liye” kyunki “yahi woh ashrwaad hai jo hamein praapt hua hai ki is mahaan kaarye ko karne ke liye Parmeshwar ke haath mein saadhan ban kar” (Alma 26:1, 3).

Dharamshaastra mein se

Matthew 22:37–40; Luke 10:29–37; Alma 26:1–4; Doctrine and Covenants 82:18–19

Hamare Itihaas Se

Girjaghar ke hal hi ke saalon mein, sadasyetav chota aur mukhye tha. Sadasye jald hi suchna de sakte the jab ek ko zaroorat hoti thi. Aaj hamare sadasyetav 14 million se bhi zyaada hai aur duniya bhar mein fael chuki hai. Bhent shikshan Prabhu ki yojna ka ek bhaag hai Apne bachchon tak madad pahunchane ke liye.

“Ek hi tarika jo ek girjaghar ke sanket mein sahayta kar sakta aur daya de sakta hai puri duniya mein yah ho sakta hai vyaktigat sewakon se jo zarooratmand logon ke nazdeek hai,” Pradhaan Henry B. Eyring ne batlaya, Pratham Salahkaar Pratham Adhyakshta mein.

“… Har ek bishop aur har ek shakha pradhaan ke paas Sahayak Sanstha pradhaan hoti hai nirbhar hone ke liye,” usne aage batlaya. “Uske paas bhent shikshakein hai, jo sabhi bahanon ki musibatein aur zarooraton ko jaante hai. Woh, un ke dwara, vyaktigaton aur parivaaron ke dilon ko jaan sakti hai. Woh zarooraton ko pura kar sakti hai aur bishop ki madad kar sakti hai uske niyukti mein vyaktigaton aur parivaaron ki poshan mein.”3

Vivaran

  1. Dekhiye Handbook 2: Administering the Church (2010), 9.5.1; 9.6.2.

  2. Dekhiye Handbook 2, 9.6.2.

  3. Henry B. Eyring, Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011) mein, 110.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Kya mai dosron ko ashirwaad dene ke liye apne uphaaron aur gyaanon ka istemaal karti hoon?

  2. Kya un bahane jinhe main dekhbhaal karti hoon jaante hai ki main unki sewa ke liye taeyaar hoon jab unhe zaroorat hogi?

Chaapo