2012
Khaas Zarooratein aur Sewa Diya Gaya
September 2012


Shikshan Sandesh Bhent, September 2012

Khaas Zarooratein aur Sewa Diya Gaya

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye.

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

“Dusron ki zarooratein hamesha rehti hai,” Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha, “aur hum mein se har koi kuch kar sakta hai dusron ki madad ke liye. … Jabki hum dusron ki sewa mein apne aap ko bhool jaate hai, tab thoda hi mahatva reh jaata hai hamare khud ke jiwan ka.”1

Bhent shikshak ki tarah hum har ek bahan ko achchi tarah jaante aur pyaar karte hai jab bhent karne jaate hai. Jinhe hum sewa karne jaate hai unke liye hamare paas prakritik rup se pyaar hoga (dekhiye John 13:34–35).

Hum kis tarah apne bahanon ke dhaarmik aur sharirik zarooraton ko jaan sakte hai taaki hum madad kare jab unki zaroorat ho? Bhent shikshak ki tarah, hamein asaani se prerna milti hai jab hum unke liye prarthna karte hai jinhe hum bhent karte hai.

Hamesha apne bahanon ki jaankaari rakhna bhi zaroori hai. Vyaktigat bhent, telefone karna, ek sahara ki patri, e-mails, uske saath baethna, ek sachcha gungaan, girjaghar mein uske saath rehna, uski madad karna bimaari ya zaroorat ke samay par, aur dusre sewa ke dauran sabhi hamari madad karte hai har ek ki dekhbhaal aur mazboot karne mein.2

Bhent shikshakon se sabhi bahanon ki jaankari ko batlane ke liye kaha gaya hai, bahanon ki kisi bhi khaas zarooraton ko, aur jo kuch bhi sewa unko di jaati hai ko. Is tarah ki jaankariyan aur hamari sewa hamari madad karti hai bahanon ko hamare chelatav ko dikhlaane mein.3

Dharamshaastra mein se

John 10:14–16; 3 Nephi 17:7, 9; Moroni 6:3–4

Hamare Itihaas Se

Ek dusre ki sewa karna hamesha bhent shikshan ka mukhye bhaag raha hai. Sewa hamesha karne se hum daya aur mitrata banate hai jo mahine ke bhent se aage jaati hai. Yeh hamari parwaah hai jo maene rakhti hai.

“Meri ichcha hai ki main apne bahanon se guzaarish karun ki ek phone ki ya ek chauthe ya mahine ki bhent par chinta karna chodh dein,” Mary Ellen Smoot, 13th Sahayak Sanstha maha pradhaan ne kaha. Usne hum se kaha ki “is ke bajae hum komal aatmaaon ka poshan karne mein dhyaan dein.”4

Pradhaan Spencer W. Kimball (1895–1985) ne sikhlaya ki, “yeh zaroori hai ki hum ek dusre ki sewa karein is raajye mein.” Phir bhi usne jaana ki sabhi sewa zaroori sewa ke kaarye nahin hote. “Kaafi samay, hamare sewa ke kaarye sadhaaran protsaahan dene waale ya daan denewaale hote hai … sadhaaran kaaryon mein madad dene se,” usne kaha, “magar kitna mahaan parinaam ho sakta hai … chota magar mahatva se bhara hua kaarye!”5

Vivaran

  1. Thomas S. Monson, “What Have I Done for Someone Today?” Liahona, Nov. 2009, 85.

  2. Dekhiye Handbook 2: Administering the Church (2010), 9.5.1.

  3. Dekhiye Handbook 2, 9.5.4.

  4. Mary Ellen Smoot, Daughters in My Kingdom mein: The History and Work of Relief Society (2011), 117.

  5. Teachings of Presidents of the Church: Spencer W. Kimball (2006), 82.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Main vyaktigat prerna dhoond rahi hoon ya jaanne ke liye ki main kis tarah apne har ek bahanon ke dhaarmik aur sharirik zarooraton ko jaan sakoon jinki mujhe dekhbhaal ki zimmedari mili hai?

  2. Kis tarah woh bahanein jinhe main dekhbhaal karti hoon jaan sakti hai ki main unke aur unke parivaaron ki parwah karti hoon?

Chaapo