2012
Susamachaar ko Dilon tak Pahunchaana
September 2012


Pratham Adhyakshata ka Sandesh, September 2012

Susamachaar ko Dilon tak Pahunchaana

Tasveer
Pradhaan Henry B. Eyring

Parmeshwar taeyaar logon ko Apne taeyaar sewakon ke aage laaega jo susamachaar ko baatna chahate hai. Tumne use apne khud ke jiwan mein hote hue dekha hai. Aysa kitni baar hota hai yeh tumhare man aur dil ki taeyaari par nirbhar hai.

Mera ek mitra hai jo har din prarthna karta hai ki woh unse milne paaye jo susamachaar paane ke liye taeyaar hai. Woh apne saath ek Mormon ki Dharamshaastra rakhta hai. Chote safar se pehle raat ko, usne socha ki woh ek copy apne saath na le jaaye balki suchi deni-waali card ko le jaaye. Magar jab woh taeyaar hue jaane ke liye, ek dhaarmik ehsaas usko mili: “Apne saath ek Mormon ki Dharamshaastra ko le jaao.” Usne apne beg mein ek rakha.

Jab ek mahila jise woh jaanta tha uske bagal mein baethi us safar ke daoraan, usne socha, “Kya yeh wahi hai?” Woh safar ke waapsi mein bhi uske saath lauti. Usne socha, “Kis tarah main susamachaar par baatein karun?”

Balki, usne usse kaha, “Tum apne girjaghar ko apne daswa-hissa bharte ho, ya nahin?” Usne kaha ki woh bharta hai. Us mahila ne kaha ki use bhi daswa-hissa apne girjaghar ko bharna tha magar usne nahin bhara hai. Phir us mahila ne kaha, “Tum Mormon ki Dharamshaastra ke vishay mein kya batla sakte ho?”

Usne samjhaya ki kitaab ek dharamshaastra hai, Ishu Masih ka dusra gawahi, Bhavishyevakta Joseph Smith dwara anuwaad kiya hua. Us mahila ne dilchaspi dikhlaai, to woh apne beg se use nikaala aur kaha, “Mujhe prerna mili thi is kitaab ko mere saath laane ke liye. Main sochta hoon ki yeh tumhare liye hai.”

Usne padhna shuru kiya. Jab woh vidaai lene waale the, us mahila ne kaha, “Tum aur main is kitaab par aur bhi baatein karenge.”

Jo mera mitra nahin jaan sakta tha—magar jo Parmeshwar jaanta—tha woh tha ki woh girjaghar ko dhoondh rahi thi. Parmeshwar jaanta tha ki usne mere mitra ko dekha tha aur socha ki uske girjaghar ne use itna khush kaise banaya tha. Parmeshwar jaanta tha ki woh Mormon ki Dharamshaastra ke vishay mein puchegi aur woh pracharakon se sikhne ke liye haan karegi. Woh taeyaar thi. Aur mera mitra bhi. Tum aur main bhi taeyaar reh sakte hai.

Woh zaroori taeyari hamare mann aur hamare dilon mein hai. Mahila ne Mormon ki Dharamshaastra ki shabd, Prabhu ka punaharsthapit Girjaghar, aur Parmeshwar ko daswa-hissa bharne ki aagya ko suna tha aur yaad kiya. Aur usne apne dil mein sachchaai ki gawahi ko mehsoos karna shuru kiya tha.

Prabhu ne kaha hai ki Woh hamein hamare mann aur dilon mein sachchaai ko dikhlaega Pavitra Aatma ke dwara (dekhiye D&C 8:2). Kai logon ko jinhe tum miloge us taeyaari ka shuruaat kar chuke honge. Unhonne Parmeshwar aur Unke vaani ko suna ya padha hoga. Agar unke dil utna naram hoga, unhonne mehsoos kiya hoga, bhale namrata se, sachchaai ke vaastavikta ko.

Mahila taeyaar thi. Aur mera mitra bhi, woh Antim-din ka Sant jisne Mormon ki Dharamshaastra ko sikha tha. Usne gawahi ko mehsoos kiya tha ki woh sachcha hai, aur usne Aatma se maargdarshan ko pehchana tha apne saath ek copy ko le jaane ke liye. Woh apne mann aur apne dil se taeyaar tha.

Parmeshwar logon ko taeyaar kar raha hai ki woh tumse punaharsthapit sachchaai ke gawahi ko praapt karein. Woh tumhare vishwaas aur tumhare kaarye se chahata hai ki nidar hoke batlaao jo tumhare liye aur jinhe tum pyaar karte ho ke liye anmol bann chuka hai.

Taeyaar rehna baatne ke liye apne mann ko har din susamachaar ki sachchaai se bhar kar. Jab tum apne aagyaaon ka paalan karte ho aur vaadon ko pura karte ho, tum aatma ke gawahi ko aur Uddhaarkarta ke pyaar ko aur zyaada mehsoos karoge apne liye aur unke liye jinhe tum miloge.

Agar tum apne bhaag ko pura karoge, tumhe zyaada woh meethe anubhav honge un logon ko milne ki jo taeyaar hai tumhare sachchaai ki gawahi ko sunne ke liye—jo tumhare dil se, unke dilon tak pahunchega.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Sandesh ko parivaar ke saath padho aur aakhri-bhaag-se-pehle waale bhaag par charcha karo, jahan Pradhaan Eyring batlate hai ki kis tarah dusron ke gawahi ko mazboot kar sakte hai. Parivaar ke saath gawahi ko bayaan karne ke zaroorat ko batlaao jab susamachaar ko baatte ho. Parivaar ke bachchein ko madad mil sakti hai mitron ko gawahi dene ke naatak ko dikhlane se.

Chaapo