2013
Ek Dost ke Saath Baatna
February 2013


Yuva

Ek Dost ke Saath Baatna

Ek din apne seminary kaksha ke liye padhte samay, mujhe ek sundar aur saaf vichaar huwa. Jab main dusre din ke paath ko padh rahi thi, mainne kaksha ke ek dost ka chehra dekha aur mujhe sujha ki main use apni gawahi kahun.

Bhale hi yeh vichaar itna saaf tha, main ghabraai. Mujhe chinta thi ki meri dost mujhe thukra degi, khaaskar is liye ki woh waisi ladki nahin dikhti thi jo Girjaghar ka sadasye banne mein dilchaspi rakhti ho.

Mainne Bahan Mary N.Cook jo Jawaan Mahilaaon ki maha adhyakshta ki hai ke ek bhaashan ke baare mein socha jismein usne hamein mehnat karne aur bahadur rehne ko kaha.1 Main waisa hi rehna chahati thi, isliye mainne is ladki ko ek patra likha aur Girjaghar ke sachchaai ka gawahi diya aur apne Mormon Dharamshaastra ke prati prem ko zahir kiya. Dusre din mainne Mormon Dharamshaastra ke ek copy ko liya, apne khat ke saath, aur uske bag mein chod diya.

Main achambhe mein padi, jab mera dost ne susamachaar ko sikhna chaha. Us din se lekar, woh mujhe batlane lagi ki usne Mormon Dharamshaastra ke adhyan mein kya sikha hai. Kuch hafte baad, mainne use prachaarakon se milwaya. Turant hi, use Pavitra Aatma se swikriti mili ki woh jo seekh rahi hai woh sachcha hai. Prachaarak aur main ro pade jab usne hamein apne ehsaas batlaaye. Mera dost ne jald hi baptisma le liya tha, aur uske maata-pita usmein huwe badlaao ko dekhkar ashcharyechakit reh gaye.

 Main kitni khush hoon ki mainne apne bhay pe kaabu paa liya aur uske jiwan mein susamachaar ko le ke jaa paayi.

Vivaran

  1. Dekhiye Mary N. Cook, “Never, Never, Never Give Up!” Liahona, May 2010, 117–19.