2013
Woh Ji Utha Hai
April 2013


Pratham Adhyakshta ka Sandesh, April 2013

Woh Ji Utha Hai

Pradhaan Henry B. Eyring

Ek gawahi Ishu Masih ke Punaharjiwan ki sachchaai dono asha aur pakka iraada ka ek srot hai. Aur yeh Parmeshwar ke kisi bhi bachche ke liye ho sakta hai. Yeh mere liye 1969 June ke ek garmi ke din mein hua tha jab meri maa guzar gayi thi, itne saal beet gaye hai, aur kitne saal beetenge jab tak main use dobara dekh sakta hoon.

Thode dinon ki judaai ki udaasi turant hi khushiyon se bhar gaya. Yeh aasha se badh kar tha khushi ka milaap. Kyunki Prabhu ne itna kuch Apne Bhavishyevakta dwara batlaya hai aur kyunki Pavitra Aatma ne mujhe Punharjiwan ke sachchaai ko santust kiya hai, main apne mann mein dekh sakta hoon ki kis tarah hoga jab hum dobara saath honge apne pavitra aur punaharjiwit pyare logon se:

“Yeh hai jo punaharjiwan ke sahi samay par aage aayenge. …

“Yeh woh hai jinke naamon ko swarg mein likha gaya hai, jahan Parmeshwar aur Masih sabhi ke nyayekarta hain.

Yeh woh hai jo sachche insaan hue hai Ishu jo madhyast hai ke naye vaade ke dwara, jisne is sahi praeshchit ko kiya tha apne khud ke lahoo ko baha kar” (D&C 76:65, 68–69).

Kyunki Ishu Masih ne maut ko haraya hai, Swarg ke Pita ke sabhi bachche jo is duniya mein paeda honge punaharjiwit honge us sharir ke saath jo kabhi nahi marega. Taaki mere aur tumhare us mahaan sachchaai ke gawahi pyare parivaar ya dost ke khone ke gam ko dur kare aur khushi ke pratiksha se aur sthir pakka iraade se bhare.

Prabhu ne hum sab ko punaharjiwan ka uphaar diya hai, jaha humare aatma ko aatmik apraadh ke bina shareer praapt hua hai (dekhiye Alma 11:42–44). Meri maa jawaan aur sundar dikhegi, umar aur saalon ke aatmik kasht ke prabhaao nahi rahenge. Punaharjiwan ka uphaar use aur hume praapt hoga.

Magar hum mein se jo chahate hai ki uske sang hamesha rahein ko chunaao karne padenge us sangathan ke yogye tehraaye jaae, wahan rehne ke liye jaha Swarg ke Pita aur Uske Pyare punaharjiwit putra upar rehta hai. Yah hi sirf woh sthaan hai jaha parivaar jiwan ant tak saath mein reh saktein hai. Us sachchaai ki gawahi ne mere iraade ko aur bhi pakka kiya hai apne aap ko sab se unchi divye raajye tak pyaar karta hoon ko yogye tehraau Ishu Masih ke Praeshchit ke dwara jo hamare jiwan ka bhaag hai (dekhiye D&C 76:70).

Prabhu hume ek maarg deta hai anant jiwan ko paane mein prabhubhoj ke prarthnaon dwara jo mujhe aur tumhe madad kar sakta hai. Hume sabhi prabhubhoj sabha mein amantrit kiya jaata hai ki hum apne baptisma ke vaade ko dohraen.

Hum vaada kartey hai ki hum humesha Uddhaarkarta ko yaad karenge. Uska balidaan hume madad karta hai dhanyewaad dene mein us peeda ke liye jo Usne humare liye jhela tha maut ko harane ke liye, hume daya dene, aur pashchataap pradaan karne ke liye humare saare paapiyon par agar hum chuntein hai pashchaataap.

Hum ne vaada kiya hai ki Uske aagyaon ka paalan karenge. Dharamshaastron aur jiwit bhavishyevaktaon ke vaaniyon ko padhane se aur prerit bhaashankartaon ko sun kar humare prabhubhoj sabhaon ne yaad dilaya humare vaadon ko aysa karne ke liye. Pavitra Aatma humare soch aur ehsaas mein us aagya ko laata hai jo hume us din rakhna zaroori hai.

Prabhubhoj ke prarthnaon mein, Parmeshwar vaada karta hai ki Pavitra Aatma ko bhejega humare saath rehne ke liye (dekhiye Moroni 4:3; 5:2; D&C 20:77, 79). Maine us chan mein paaya ki Parmeshwar mujhe ek vyaktigat jaanch ka ehsaas de sakta hai. Wah mujhe yaad dilata hai jo kuch maine kiya hai jo Use achcha lagata hai, mujhe pashchataap aur chama karne ki zaroorat, aur un logon ke naam aur chehron ko jinki Woh chahata hai ki main sewa karun Unke liye.

Beete huwe saalon mein, us dobara huwe anubhav ne aasha ko dayaluta ke ehsaas mein badal diya aur ek aashuwaasan diya ki daya pradaan hoga mere liye Uddhaarkarta ke Praeshchit aur Punaharjiwan se.

Main gawahi deta hoon ki Ishu humare jiwit Masih hai, humare Uddhaarkarta, aur humare sampurn udhaaran aur maargdarshan dene waale anant jiwan tak.

Is Sandesh Mein se Shikshan

Hume “un sabhi shaastra par vishwaas karna chahiye, jo hamein laabh aur shiksha ke liye, diye gaye hai” (1 Nephi 19:23). Prabhubhoj ke prarthnaon ko padho, jo paaya gaya hai Doctrine aur Covenants 20:76–79. Pradhaan Eyring ke shikshan prabhubhoj ke prarthnaon ko padhane ke baad, tum shaayad unhe amantrit karna chaaho jo shikshan de rahein hai tarikon ko sochne mein jaha yeh prarthnaein unke jiwan ko maargdarshan dega aur unhe madad karega dobara Swarg ke Pita aur Ishu Masih ke saath rehne mein.