2013
Mandir ke Vaadein
April 2013


Shikshan Sandesh Bhent, April 2013

Mandir ke Vaadein

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye. Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Tasveer
Sahayak Sanstha mohar

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

“Mandir mein praapt hue bachne ke dharamsiddhaant jo kisi din hume anumati deta hai Swarg ke Pita ke paas waapis jaane mein ek anant parivaar sambandh se aur swarg se aashirwado ko praapt karke aur swarg se shakti sabhi balidaan aur koshish ke kaabil hai,”1 kaha Pradhaan Thomas S. Monson ne. Agar tum abhi mandir nahi gaye ho, tum tayaari kar sakte ho mandir ke pavitra siddhaanton ko praapt karne ke liye:

  • Swarg ke Pita, Ishu Masih, aur Pavitra Aatma mein Vishwaas karna.

  • Ishu Masih ke Praeshchit aur punaharsthapit susamachaar ke gawahi ko utpann karna.

  • Jiwit bhavishyevakta ko banaye raho aur piche chalo.

  • Mandir ke sifaarish ke laayak raho daswe hisse ko bharne se, shaaririk taur se saaf reh kar, sachche rehne se, Gyaan ke Shabd ko rakhne se, aur Girjaghar ke shikshanon se mil kar jiyo.

  • Prabhu ke raajye ko banaao samay, gunon, aur saadhanon ko dete hue.

  • Parivaar itihaas kaarye mein bhaag lena.2

Pradhaan Monson ne aage sikhlaya, “Jab hum un vaadon ko yaad karte hai jo hum [mandir] mein banate hai, hum sabhi musibaton ka saamna kar sakenge aur har ek behkaawe se bach sakenge.”3

Dharamshaastra mein se

Doctrine aur Covenants 14:7; 25:13; 109:22

Hamare Itihaas Se

“5,000 Santon se ziyaada ne Nauvoo Mandir ka istemaal kiya uske samarpan ke baad. …

“Woh bal, shakti, aur mandir vaadon ke ashirwaadein ne [banaaye rakha] Antim-din Santon ko unke [pakshim] safar ke dauraan, jab weh dhandi, garmi, gareebta, bimaariyon, durghatnaon, aur maut ko [jhele] the.”4

Kai Sahayak Sanstha bahanon ki tarah, Sarah Rich ne mandir kaaryekarta ki sewa ki. Usne apne anubhao ko batlayi: “Agar yah vishwaas aur gyaan ke liye nahi hota jo humare liye pradaan kiya gaya tha mandir mein … Prabhu ki Aatma dwara, humara safar us tarah hota jaese andhere mein teer chala rahe hai … Magar humare paas Swarg ke Pita mein vishwaas tha, … yah mahesoos kartey hue ki hum Uske chune hue log hai … , aur dukh ke bajaaye, humne khushi manaya ki humare mukti ke din aa gaya hai.”5

Exodus “andhere mein teer chalane” ki tarah nahi hai Antim-din Sant mahilaon ke liye. Weh apne mandir ke vaadon se bandhe hue the.

Vivaran

  1. Thomas S. Monson, “The Holy Temple—a Beacon to the World,” Liahona, May

  2. Dekhiye Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011), 21.

  3. Thomas S. Monson, Liahona, May 2011, 93.

  4. Daughters in My Kingdom, 29–30.

  5. Sarah Rich, Daughters in My Kingdom mein, 30.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Kya main mandir mein humesha bhakti karti hoon?

  2. Kya main apne bananon ko mandir ke ashirwaadon ko praapt karne mein aashwaasan deti hoon?

Chaapo