2013
Ishu Masih ka Divye Mission: Rachnakarta
October 2013


Shikshan Sandesh Bhent, october 2013

Ishu Masih ka Divye Mission: Rachnakarta

Prarthnashilta se is utpaadan ka adhyan karein aur, jaise upyukt ho, jin bahanon se aap bhent karti hai unse vichaar-vimarsh karein. In sawaalon ka istemaal karein apne bahanon ko mazboot karne mein madad karne ke liye aur Sahayak Sanstha ko apne jiwan ka chust bhaag banane ke liye. Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.

Vishwaas, Parivaar, Sahayta

Ishu Masih “ne swarg aur dharti ko racha hai” (3 Nephi 9:15). Usne purohiti ki shakti dwara yah kiya, Swarg ke Pita ke nirdeshan mein (dekhiye Moses 1:33).

“Hum kitne abhaari hai ki ek budhimaan Rachnakarta ne is duniya ko banaya aur hume yahan rakha,” Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha, “… ki hum parinaam ke samay ko anubhao karenge, ek aosar apne aap ko saabit karne ke liye taaki Parmeshwar ne jo humare liye taeyaar kiya hai ko praapt kar sakein.”1 Jab hum Parmeshwar ke aagyaon ka paalan karne ko chunte hai aur pashchataap kartein hai, hum Uske saath waapis ja kar rehne ke laayak bante hai.

Rachna par, Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Pratham Adhyakshta ke Dusre Salaahkaar, ne kaha:

“Hum woh wajah hai jiske liye Usne duniya banaya! …

“Yah insaan ke samajh se baahar hai: Parmeshwar ke aage, insaan kuch bhi nahi; phirbhi hum Parmeshwar ke liye sab kuch hai.”2 Yeh jaante hue ki Ishu Masih ne humare liye duniya banaya kyunki hum Swarg ke Pita ke liye sab kuch hai madad kar sakta hai Unke liye pyaar ko badhaane mein.

Dharamshaastra mein se

John 1:3; Hebrews 1:1--2; Mosiah 3:8; Moses 1:30--33, 35--39; Abraham 3:24--25

Hamare Itihaas Se

Hume Parmeshwar ne apni tarah racha hai (dekhiye Moses 2:26--27), aur humare paas Parmeshwar ki tarah banne ki shakti hai. Bhavishyevakta Joseph Smith ne Sahayak Sanstha ke bahanon ko “[apne] saobhaagye tak jine” ko kaha.3 Us neev ke saath badhanti, Ishu Masih ka Girjaghar Antim-din ke Santon ke bahanon ko sikhlaya gaya hai ki apne divye shakti se pura karein unke liye Parmeshwar ke kaarye ko karne se. “Jab weh jaan jaatey hai ki weh sahi mein kaun hai---Parmeshwar ke putriyaan, paydaish se pyaar aur poshan karne ki chamta---weh apni shakti ko pavitra mahila ki tarah bana letein hai.”4

“Tum us stithi mein ho jahan tum us tarah kaarye ko kar sakte ho jo Parmeshwar ne tumhare andar banaya hai,” Bhavishyevakta Joseph Smith ne kaha. “Aagar tum is siddhaanton par atal rahoge kitna mahaan aur mahima se bhara hoga!---agar tum apne saobhaagye tak jiyoge, devduton ko tumhare saathi banne se koi rokh nahi sakta.”5

Vivaran

  1. Thomas S. Monson, “The Race of Life,” Liahona, May 2012, 91.

  2. Dieter F. Uchtdorf, “You Matter to Him,” Liahona, Nov. 2011, 20.

  3. Joseph Fielding Smith, Daughters in My Kingdom: The History and Work of Relief Society (2011) mein, 171.

  4. Daughters in My Kingdom, 171.

  5. Joseph Smith, in Daughters in My Kingdom, 169.

Main Kya Kar Sakti Hoon?

  1. Kis tarah humare divye prakriti ko samajhna humare pyaar ko Uddhaarkarta ke liye badhaata hai?

  2. Hum kis tarah Parmeshwar ke rachnaao ke liye dhanyewad de sakte hai?

Chaapo