Shikshan Sandesh Bhent, January 2014
Ishu Masih ka Divye Mission: Uddhaarak
Prarthnashilta se is utpadan ka adhyan karein aur dhoondo jo batlana hai. Kis tarah Uddhaarkarta ke jiwan aur mission ko samajhne se tumhari Us mein vishwaas badhegi aur unhein aashirwaad milegi jinhein tum bhent shikshan ke dwara dekhbhaal karte ho? Aur zyaada jaankaari ke liye, dekhiye reliefsociety.lds.org.
Jabki hum jaantein hai ki Ishu Masih hamare sabhi cheezon ke uddhaarak hai, hum Uske piche chalne ki chaahat ko badha sakte hai. Dharamshaastra Ishu ke nakshe kadam par chalne ke protsaahan se bhara hai. Nephites se, Masih ne kaha, “Kyunki tumne mujhe jo kaam kartey dekha wahi tum bhi karna” (3 Nephi 27:21). Thomas se, Ishu ne kaha, “Maarg aur sachchaai aur jiwan main hi hoon; bina mere dwara koi Pita ke paas nahin pahunch sakta” (John 14:6).
Aaj hamare netaaen hamein yaad dilatein hai ki Uddhaarkarta ko hamare uddhaarak ki tarah yaad rakho. Linda K. Burton, Sahayak Sanstha maha pradhaan, ne kaha, “Jab hum sab ke bheetar hriday mein Pashchataap ke siddhaant likh jaaenge, tab hum wah banenge jaesa insaan Prabhu chahata hai ki hum bane.”1
Pradhaan Thomas S. Monson ne kaha, “Hamare Prabhu aur Uddhaarkarta, Ishu Masih, hamare Uddhaarak aur hamare shakti hai.”2
Hum Ishu Masih ke nasdeek jaane ki ichcha rakhe, Uske aagyaon ka paalan karne ki, aur hamare Swarg ke Pita ke paas waapis jaane ki.
Dharamshaastra mein se
Hamare Itihaas Se
“Usne maarg dikhlaya aur aage chala,” Eliza R. Snow, Sahayak Sanstha ki dusri maha pradhaan ne likha, Ishu Masih ke maranshil dekhrekh par.3 Usne har ek ka dekhrekh kiya—ek ke baad ek. Usne sikhlaya ki hamein ninnanwe ko chodh dena chahiye us ek ko bachane ke liye (dekhiye Luke 15:3–7). Usne har ek ko theek kiya aur sikhlaya, bheedh ke sabhi 2,500 logon ke liye samay nikaalte hue (dekhiye 3 Nephi 11:13–15; 17:25).
Antim-din Sant mahilaon se, Pradhaan Dieter F. Uchtdorf, Dosre Salahkaar Pratham Adhyakshta ke, ne kaha: “Tum achchi bahanon dosron ko sewa pradaan karo kyunki unke ichchaaen tumhare vyaktigat laabh se zyaada hai. Is mein tum Uddhaarkarta ke uddhaaran par chalte ho. … Wah humesha yah sochta hai ki Wah kaese dusron ki madad kare.”4
© 2014 by Intellectual Reserve, Inc. Pure adhikaar surakchit. USA mein chaapa gaya. Angrezi swikriti: 6/13. Anuwaad swikriti: 6/13. Visiting Teaching Message, January 2014. Hindi/Fiji. 10861 298 ka anuwaad